الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب العلم
Kitab: Ilm ke bayan mein
باب من سمع شيئا فراجع حتى يعرفه:
Bab: Is bare mein ke jo log maujood hain woh gha’ib shakhs ko ilm pahunchaen.
Show diacritics
Hadith Number: 103
حدثنا سعيد بن ابي مريم، قال: اخبرنا نافع بن عمر، قال: حدثني ابن ابي مليكة،" ان عائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم كانت لا تسمع شيئا لا تعرفه إلا راجعت فيه حتى تعرفه، وان النبي صلى الله عليه وسلم، قال: من حوسب عذب، قالت عائشة: فقلت اوليس يقول الله تعالى: فسوف يحاسب حسابا يسيرا سورة الانشقاق آية 8، قالت، فقال: إنما ذلك العرض، ولكن من نوقش الحساب يهلك".
Hum se Sa’eed bin Abi Maryam ne bayan kiya, unhein Nafi’ bin Umar ne khabar di, unhein Ibn-e-Abi Mulaikah ne batlaaya ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki biwi Aisha Radhiallahu Anha jab koi aisi baatein suntien jis ko samajh na paatien to dobarah us ko ma’loom kartien taake samajh len. Chunanche (ek martaba) Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke jis se hisaab liya gaya use ’azaab kiya jaayega. Aisha Radhiallahu Anha farmaati hain ke (yeh sun kar) main ne kaha ke kya Allah ne yeh nahi farmaaya ke an-qareeb us se aasaan hisaab liya jaayega? Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke yeh sirf (Allah ke darbaar mein) peshi ka zikr hai. Lekin jis ke hisaab main jaanch padtaal ki gayi (samjho) woh ghaarat ho gaya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4939
حدثنا عمرو بن علي، حدثنا يحيى، عن عثمان بن الاسود، قال: سمعت ابن ابي مليكة، سمعت عائشة رضي الله عنها، قالت: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Amr bin Ali ne byaan kiya , kaha hum se Yahya ne byaan kiya , un se Usman bin Aswad ne byaan kiya , unhon ne Ibn Abi Mulaykah se suna aur unhon ne Aisha razi Allahu anha se suna , unhon ne byaan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6536
حدثنا عبيد الله بن موسى، عن عثمان بن الاسود، عن ابن ابي مليكة، عن عائشة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من نوقش الحساب عذب"، قالت: قلت: اليس يقول الله تعالى: فسوف يحاسب حسابا يسيرا سورة الانشقاق آية 8 قال:" ذلك العرض"،
Hum se Ubaidullah bin Musa ne bayan kiya , in se Usman bin Aswad ne bayan kiya , in se Ibn Abi Mulaykah ne , in se Umm al-Momineen Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jis ke hisab mein khod-kureed ki gayi us ko zaroor azab ho ga .“ Woh kehti hain ke main ne arz kiya: ya Rasool Allah! kiya Allah Ta'ala ka yeh farman nahi hai «fasaufa yuhaasabu hisaabany-yaseeran» ”phir anqareeb in se halka hisab liya jaye ga .“ Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is se murad sirf peshi hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6537
حدثني إسحاق بن منصور، حدثنا روح بن عبادة، حدثنا حاتم بن ابي صغيرة، حدثنا عبد الله بن ابي مليكة، حدثني القاسم بن محمد، حدثتني عائشة: ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" ليس احد يحاسب يوم القيامة، إلا هلك"، فقلت: يا رسول الله، اليس قد قال الله تعالى: فاما من اوتي كتابه بيمينه {7} فسوف يحاسب حسابا يسيرا {8} سورة الانشقاق آية 7-8 فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إنما ذلك العرض، وليس احد يناقش الحساب يوم القيامة، إلا عذب".
Mujh se Ishaq bin Mansoor ne bayan kiya , kaha hum se Rauh bin Ubadah ne bayan kiya , kaha hum se Hatim bin Abu Sagheera ne bayan kiya , kaha hum se Abdullah bin Abi Mulaykah ne bayan kiya , kaha mujh se Qasim bin Muhammad ne bayan kiya aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jis shakhs se bhi Qayamat ke din hisab liya gaya pas woh halak hua . Main ne arz kiya: ya Rasool Allah! kiya Allah Ta'ala ne khud nahi farmaya hai «fa-ammaa man ootiya kitaabahoo bi-yameenihee fasaufa yuhaasabu hisaabany-yaseeran» ke ”pas jis ka naama e aamal is ke dayein hath mein diya gaya to anqareeb is se ek aasaan hisab liya jaye ga .“ Is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh to sirf peshi ho gi . (Allah Rabb-ul-Izzat ke kehne ka matlab yeh hai ke) Qayamat ke din jis ke bhi hisab mein khod-kureed ki gayi us ko azab yaqeeni ho ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة