الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التوحيد
Kitab: Allah ki tawheed, us ki zaat aur sifat ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {كل يوم هو فى شأن} :
Allah Taala ka (Surat Ar-Rahmaan mein) farmaan "Parwardigaar har din ek naya kaam kar raha hai".
Hadith Number: Q7522
وقال ابن مسعود: عن النبي صلى الله عليه وسلم إن الله يحدث من امره ما يشاء وإن مما احدث ان لا تكلموا في الصلاة.
Aur (Surah Ambiya mein) farmaya «maa ya-teehim-min zhikrim-mir-rab-bihim muh-dasin» ke ”in ke paas in ke Rabb ki taraf se koi naya hukm nahi aata .“ Aur Allah Ta'ala ka (Surah al-Talaq mein) farman «la-al-lal-laaha yuh-disu ba-da zhaalika amran» ”mumkin hai ke Allah is ke baad koi nayi baat paida kar de .“ Sirf itni baat hai ke Allah ka koi naya kaam karna makhlooq ke naye kaam karne se mushabahat nahi rakkhta . Kyunke Allah Ta'ala ne (Surah al-Shura) mein farmaya hai «laisa ka-mis-lihee shay-un-wa huwas-samee-ul-baseeru» ”is jaisi koi cheez nahi (na zaat mein , na sifaat mein) aur woh bahut sunne wala , bahut dekhne wala hai .“ Aur Ibn Masood razi Allahu anhune Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki yeh hadees bayan ki ke Allah Ta'ala jo naya hukm chahta hai deta hai aur is ne naya hukm yeh diya hai ke tum namaz mein baatein na karo .
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 7522
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا حاتم بن وردان، حدثنا ايوب، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" كيف تسالون اهل الكتاب عن كتبهم، وعندكم كتاب الله اقرب الكتب عهدا بالله تقرءونه محضا لم يشب".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya , kaha hum se Hatim bin Wardan ne bayan kiya , kaha hum se Ayub ne bayan kiya , in se Ikrimah ne aur in se Ibn Abbas raziAllahu anhuma ne bayan kiya ke tum Ahl e Kitab se in ki kitabon ke masail ke baare mein kyunkar sawal karte ho , tumhare paas khud Allah kikitab maujood hai jo zamana ke aitbar se bhi tum se sab se zyada qareeb hai , tum usay parhte ho , woh khalis hai is mein koi milawat nahi .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| عبد الله بن العباس القرشي، أبو العباس | صحابي | |
| عكرمة مولى ابن عباس، أبو مجالد، أبو عبد الله | ثقة | |
| أيوب السختياني، أبو عثمان، أبو بكر | ثقة ثبتت حجة | |
| حاتم بن وردان السعدي، أبو صالح | ثقة | |
| علي بن المديني، أبو الحسن | ثقة ثبت إمام أعلم أهل عصره بالحديث وعلله |