الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاعتصام بالكتاب والسنة
Kitab: Allah aur Sunnat-e-Rasool (S.A.W) ko mazbooti se thame rehna
باب ما ذكر النبى صلى الله عليه وسلم وحض على اتفاق أهل العلم:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ne ulama ke ittefaaq karne ka jo zikr farmaya hai us ki targhib di hai aur Makkah aur Madinah ke ulama ke ijmaa ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 7323
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد الواحد، حدثنا معمر، عن الزهري، عن عبيد الله بن عبد الله، قال: حدثني ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" كنت اقرئ عبد الرحمن بن عوف، فلما كان آخر حجة حجها عمر، فقال عبد الرحمن: بمنى لو شهدت امير المؤمنين اتاه رجل، قال: إن فلانا، يقول: لو مات امير المؤمنين لبايعنا فلانا، فقال عمر: لاقومن العشية، فاحذر هؤلاء الرهط الذين يريدون ان يغصبوهم، قلت: لا تفعل فإن الموسم يجمع رعاع الناس يغلبون على مجلسك فاخاف ان لا ينزلوها على وجهها، فيطير بها كل مطير، فامهل حتى تقدم المدينة دار الهجرة ودار السنة، فتخلص باصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم من المهاجرين، والانصار فيحفظوا مقالتك وينزلوها على وجهها، فقال: والله لاقومن به في اول مقام اقومه بالمدينة، قال ابن عباس: فقدمنا المدينة، فقال: إن الله بعث محمدا صلى الله عليه وسلم بالحق وانزل عليه الكتاب فكان فيما انزل آية الرجم".
`Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Wahid bin Ziyad ne bayan kiya, kaha hum se Ma'mar bin Rashid ne bayan kiya, un se Zuhri ne, un se Ubaidullah bin Abdullah ne, un se Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke mein Abdur Rahman bin Auf Radi Allahu Anhu ko (Quran Majeed) parhaya karta tha. Jab wo aakhri hajj aaya jo Umar Radi Allahu Anhu ne kiya tha to Abdur Rahman ne Mina mein mujh se kaha kash tum Ameerul Momineen ko aaj dekhte jab un ke paas ek shakhs aaya aur kaha ke falan shakhs kehta hai ke agar Ameerul Momineen ka intiqal ho jaye to hum falan se bai'at kar lein ge. Yeh sun kar Umar Radi Allahu Anhu ne kaha ke mein aaj se-pehar ko khade ho kar logon ko khutba sunaoon ga aur un ko daraoon ga jo (aam musalmanon ke haq ko) gasab karna chahte hain aur khud apni raye se ameer muntakhab karne ka irada rakhte hain. Mein ne arz kiya ke aap aisa na karein kyunke mausam-e-hajj mein har tarah ke na-waqif aur mamooli log jama ho jate hain. Yeh sab kasrat se aap ki majlis mein jama ho jayein ge aur mujhe darr hai ke wo aap ki baat ka sahih matlab na samajh kar kuch aur ma'ni na kar lein aur ise munh dar munh udate phirein. Is liye abhi tawaffuq kijiye. Jab aap Madine pahunche jo Dar al-Hijrat aur Dar al-Sunna hai to wahan aap ke mukhatab Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke sahabah, Muhajireen o Ansar khalis aise hi log milein ge wo aap ki baat ko yaad rakhein ge aur is ka matlab bhi theek bayan karein ge. Is par Ameerul Momineen ne kaha ke wallah! mein Madinah pahunch kar jo pehla khutba doon ga is mein is ka bayan karoon ga. Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke phir hum Madine aaye to Umar Radi Allahu Anhu jumua ke din dopahar dhale baramad hue aur khutba sunaya. Unhon ne kaha: Allah Ta'ala ne Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم ko saccha rasool bana kar bheja aur Aap par Quran utara, is Quran mein rajm ki ayat bhi thi.


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
عبد الله بن العباس القرشي، أبو العباسصحابي
عبيد الله بن عبد الله الهذلي، أبو عبد اللهثقة فقيه ثبت
محمد بن شهاب الزهري، أبو بكرالفقيه الحافظ متفق على جلالته وإتقانه
معمر بن أبي عمرو الأزدي، أبو عروةثقة ثبت فاضل
عبد الواحد بن زياد العبدي، أبو بشرثقة
موسى بن إسماعيل التبوذكي، أبو سلمةثقة ثبت
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
7323
لأقومن العشية فأحذر هؤلاء الرهط الذين يريدون أن يغصبوهم قلت لا تفعل فإن الموسم يجمع رعاع الناس يغلبون على مجلسك فأخاف أن لا ينزلوها على وجهها فيطير بها كل مطير فأمهل حتى تقدم المدينة دار الهجرة ودار السنة فتخلص بأصحاب رسول الله