الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاعتصام بالكتاب والسنة
Kitab: Allah aur Sunnat-e-Rasool (S.A.W) ko mazbooti se thame rehna
باب الاقتداء بسنن رسول الله صلى الله عليه وسلم:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ki sunnaton ki pairwi karna.
Hadith Number: 7286
حدثني إسماعيل، حدثني ابن وهب، عن يونس، عن ابن شهاب، حدثني عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، ان عبد الله بن عباس رضي الله عنهما قال:" قدم عيينة بن حصن بن حذيفة بن بدر، فنزل على ابن اخيه الحر بن قيس بن حصن وكان من النفر الذين يدنيهم عمر وكان القراء اصحاب مجلس عمر ومشاورته كهولا كانوا او شبانا، فقال عيينة لابن اخيه: يا ابن اخي هل لك وجه عند هذا الامير، فتستاذن لي عليه؟، قال: ساستاذن لك عليه، قال ابن عباس: فاستاذن لعيينة فلما دخل، قال: يا ابن الخطاب والله ما تعطينا الجزل وما تحكم بيننا بالعدل، فغضب عمر حتى هم بان يقع به، فقال الحر: يا امير المؤمنين، إن الله تعالى، قال لنبيه صلى الله عليه وسلم: خذ العفو وامر بالعرف واعرض عن الجاهلين سورة الاعراف آية 199 وإن هذا من الجاهلين فوالله ما جاوزها عمر حين تلاها عليه وكان وقافا عند كتاب الله".
Mujh se Ismail bin Abi Oways ne bayan kiya, kaha mujh se Abdullah bin Wahb ne bayan kiya, in se Yunus bin Yazid Aili ne, in se Ibn Shihab ne, in se Ubaidullah bin Abdullah bin Utbah ne, in se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Uyaynah bin Hudhaifa bin Badr Madinah aaye aur apne bhateejay al-Hurr bin Qays bin Hisn ke yahan qiyam kiya. Al-Hurr bin Qays in logon mein se thay jinhein Umar razi Allahu anhu apne qareeb rakhte thay. Quran Majeed ke ulama Umar razi Allahu anhu ke shareek e majlis wa mashwara rehte thay, khwah woh burhay hon ya jawan. Phir Uyaynah ne apne bhateejay Hurr se kaha: bhateejay! kya Ameer-ul-Momineen ke yahan kuch rasookh haasil hai ke tum mere liye in ke yahan haziri ki ijazat le do? Unhon ne kaha ke main Aap ke liye ijazat maangoon ga. Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke phir unhon ne Uyaynah ke liye ijazat chahi (aur Aap ne ijazat di) phir jab Uyaynah majlis mein pahunche to kaha ke Ae Ibn al-Khattab, wallah! tum hamain bahut zyada nahi dete aur na hamare darmiyan insaf ke saath faisla karte ho. Is par Umar razi Allahu anhu ghussa ho gaye, yahan tak ke Aap ne unhein saza dene ka irada kar liya. Itne mein al-Hurr ne kaha: Ameer-ul-Momineen! Allah Ta'ala ne apne Nabi salla Allahu alaihi wasallam se farmaya «khuzhil-afwa wa'-mur bil-urfi wa a-ridh an-il-jaahileena» ke ”maaf karne ka tariqa ikhtiyar karo aur bhalayi ka hukm do aur jahilon se iraz karo.“ Aur yeh shakhs jahilon mein se hai. Pas wallah! Umar razi Allahu anhu ke samne jab yeh aayat unhon ne tilawat ki to Aap thande ho gaye aur Umar razi Allahu anhu ki aadat thi ke Allah ki kitab par furan amal karte.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| عبد الله بن العباس القرشي، أبو العباس | صحابي | |
| عبيد الله بن عبد الله الهذلي، أبو عبد الله | ثقة فقيه ثبت | |
| محمد بن شهاب الزهري، أبو بكر | الفقيه الحافظ متفق على جلالته وإتقانه | |
| يونس بن يزيد الأيلي، أبو يزيد، أبو بكر | ثقة | |
| عبد الله بن وهب القرشي، أبو محمد | ثقة حافظ | |
| إسماعيل بن أبي أويس الأصبحي، أبو عبد الله | صدوق يخطئ |