الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التعبير
Kitab: Khwabon ki tabeer ke bayan mein
باب أول ما بدئ به رسول الله صلى الله عليه وسلم من الوحي الرؤيا الصالحة:
Aur Rasool Allah Sallallahu alaihi wasallam par wahi ki ibtida sache khwaab ke zariye hui.
Show diacritics
Hadith Number: 6982
حدثنا يحيى بن بكير حدثنا الليث عن عقيل عن ابن شهاب. وحدثني عبد الله بن محمد حدثنا عبد الرزاق حدثنا معمر قال الزهري فاخبرني عروة عن عائشة رضي الله عنها انها قالت اول ما بدئ به رسول الله صلى الله عليه وسلم من الوحي الرؤيا الصادقة في النوم، فكان لا يرى رؤيا إلا جاءت مثل فلق الصبح، فكان ياتي حراء فيتحنث فيه- وهو التعبد- الليالي ذوات العدد، ويتزود لذلك ثم يرجع إلى خديجة فتزوده لمثلها، حتى فجئه الحق وهو في غار حراء فجاءه الملك فيه فقال اقرا. فقال له النبي صلى الله عليه وسلم: «فقلت ما انا بقارئ فاخذني فغطني حتى بلغ مني الجهد ثم ارسلني. فقال اقرا. فقلت ما انا بقارئ. فاخذني فغطني الثانية حتى بلغ مني الجهد، ثم ارسلني فقال اقرا. فقلت ما انا بقارئ. فغطني الثالثة حتى بلغ مني الجهد، ثم ارسلني فقال اقرا باسم ربك الذي خلق» . حتى بلغ: {ما لم يعلم} فرجع بها ترجف بوادره حتى دخل على خديجة فقال: «زملوني زملوني» . فزملوه حتى ذهب عنه الروع فقال: «يا خديجة ما لي» . واخبرها الخبر وقال: «قد خشيت على نفسي» . فقالت له كلا ابشر، فوالله لا يخزيك الله ابدا، إنك لتصل الرحم، وتصدق الحديث، وتحمل الكل، وتقري الضيف، وتعين على نوائب الحق. ثم انطلقت به خديجة حتى اتت به ورقة بن نوفل بن اسد بن عبد العزى بن قصي- وهو ابن عم خديجة اخو ابيها، وكان امرا تنصر في الجاهلية، وكان يكتب الكتاب العربي فيكتب بالعربية من الإنجيل ما شاء الله ان يكتب، وكان شيخا كبيرا قد عمي- فقالت له خديجة اي ابن عم اسمع من ابن اخيك. فقال ورقة ابن اخي ماذا ترى فاخبره النبي صلى الله عليه وسلم ما راى فقال ورقة هذا الناموس الذي انزل على موسى، يا ليتني فيها جذعا اكون حيا، حين يخرجك قومك. فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: «اومخرجي هم» . فقال ورقة نعم، لم يات رجل قط بما جئت به إلا عودي، وإن يدركني يومك انصرك نصرا مؤزرا. ثم لم ينشب ورقة ان توفي، وفتر الوحي فترة حتى حزن النبي صلى الله عليه وسلم فيما بلغنا حزنا غدا منه مرارا كي يتردى من رءوس شواهق الجبال، فكلما اوفى بذروة جبل لكي يلقي منه نفسه، تبدى له جبريل فقال يا محمد إنك رسول الله حقا. فيسكن لذلك جاشه وتقر نفسه فيرجع، فإذا طالت عليه فترة الوحي غدا لمثل ذلك، فإذا اوفى بذروة جبل تبدى له جبريل فقال له مثل ذلك. قال ابن عباس: {فالق الإصباح} ضوء الشمس بالنهار، وضوء القمر بالليل.
`Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya ‘ unhon ne kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya ‘ un se Aqeel bin Khalid ne bayan kiya ‘ aur un se Ibn Shihab ne bayan kiya (doosri sanad Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha) ke mujh se Abdullah bin Muhammad Musnadi ne bayan kiya ‘ unhon ne mujh se Abdur Razzaq ne bayan kiya ‘ un se Ma'mar ne bayan kiya ‘ un se Zuhri ne kaha ke mujhe Urwa ne khabar di aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم par wahi ki ibtida sone ki halat mein sacche khwab ke zariya hui. Chunancha Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم jo khwab bhi dekhte to wo subah ki roshni ki tarah samne aa jata aur Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم Gar-e-Hira mein chale jate aur is mein tanha Allah ki yaad karte thay chand muqarrara dinon ke liye (yahan aate) aur in dinon ka tosha bhi saath late. Phir Khadija Radi Allahu Anha ke paas wapas tashreef le jate aur wo phir itna hi tosha Aap ke saath kar deteen yahan tak ke haqq Aap ke paas achanak aa gaya aur Aap Gar-e-Hira hi mein thay. Chunancha is mein farishta Aap ke paas aaya aur kaha ke parhiye. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne us se farmaya ke mein parha hua nahi hoon. Aakhir us ne mujhe pakad liya aur zor se daba aur khoob daba jis ki wajah se mujh ko bahut takleef hui. Phir us ne mujhe chhod diya aur kaha ke parhiye Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne phir wahi jawab diya ke mein parha hua nahi hoon. Us ne mujhe aisa daba ke mein be-qabu ho gaya ya unhon ne apna zor khatm kar diya aur phir chhod kar us ne mujh se kaha ke parhiye apne Rabb ke naam se jis ne paida kiya hai. Alfaz «Ma lam ya'lam» tak. Phir jab Aap صلی اللہ علیہ وسلم Khadija Radi Allahu Anha ke paas aaye to Aap ke mondhon ke gosht (darr ke maare) phadak rahe thay. Jab ghar mein Aap صلی اللہ علیہ وسلم dakhil hue to farmaya ke mujhe chadar adha do ‘ mujhe chadar adha do, chunancha Aap ko chadar adha di gayi aur jab Aap صلی اللہ علیہ وسلم ka khauf door ho gaya to farmaya ke Khadija mera haal kya ho gaya hai? Phir Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne apna sara haal bayan kiya aur farmaya ke mujhe apni jaan ka darr hai. Lekin Khadija Radi Allahu Anha ne kaha Allah ki qasam aisa hargiz nahi ho sakta, Aap khush rahiye Allah Ta'ala Aap ko kabhi ruswa nahi kare ga. Aap to sila-rahmi karte hain, baat sacchi bolte hain, nadaron ka bojh uthate hain, mehman-nawazi karte hain aur haqq ki wajah se pesh aane wali museebaton par logon ki madad karte hain. Phir Aap ko Khadija Radi Allahu Anha Waraqa bin Nawfal bin Asad bin Abdul Uzza bin Qusay ke paas laayin jo Khadija Radi Allahu Anha ke walid Khuwailid ke bhai ke bete thay. Jo zamana-e-jahiliyat mein Isai ho gaye thay aur Arabi likh lete thay aur wo jitna Allah Ta'ala chahta Arabi mein Injeel ka tarjuma likha karte thay, wo is waqt bahut boodhe ho gaye thay aur binayi bhi jati rahi thi. In se Khadija Radi Allahu Anha ne kaha: bhai! apne bhatije ki baat suno. Waraqa ne poocha: bhatije tum kya dekhte ho? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne jo dekha tha wo sunaya to Waraqa ne kaha ke yeh to wahi farishta (Jibrail Alaihis Salam) hai jo Musa Alaihis Salam par aaya tha. Kaash mein is waqt jawan hota jab tumhein tumhari qaum nikal de gi aur zinda rehta Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne poocha: kya yeh mujhe nikalein ge? Waraqa ne kaha ke haan. Jab bhi koi Nabi o Rasul wo paigam le kar aaya jise le kar Aap aaye hain to is ke saath dushmani ki gayi aur agar mein ne tumhare wo din pa liye to mein tumhari bharpoor madad karoon ga lekin kuch hi dinon baad Waraqa ka intiqal ho gaya aur wahi ka silsila kat gaya aur Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ko is ki wajah se itna gam tha ke Aap ne kai martaba pahad ki buland choti se apne aap ko gira dena chaha lekin jab bhi Aap kisi pahad ki choti par chadhe taake is par se apne aap ko gira dein to Jibrail Alaihis Salam Aap ke samne aa gaye aur kaha ke ya Muhammad! Aap yaqeenan Allah ke Rasul hain. Is se Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ko sukoon hota aur Aap wapas aa jate lekin jab wahi zyada dinon tak ruki rahi to Aap ne ek martaba aur aisa irada kiya lekin jab pahad ki choti par chadhe to Jibrail Alaihis Salam samne aaye aur isi tarah ki baat phir kahi. Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne kaha (Surah al-An'am) mein lafz «Faliqul Isbah» se murad din mein sooraj ki roshni aur raat mein chand ki roshni hai.


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة