الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحيل
Kitab: Sharai hilon ke bayan mein
باب فى الزكاة وأن لا يفرق بين مجتمع، ولا يجمع بين متفرق، خشية الصدقة:
Zakat mein hila karne ka bayaan. (Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya) zakat ke dar se jo maal ikattha ho usay juda juda na karen aur jo juda juda ho usay ikattha na karen.
Hadith Number: 6958
وقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: إذا ما رب النعم لم يعط حقها، تسلط عليه يوم القيامة، فتخبط وجهه باخفافها"، وقال بعض الناس: في رجل له إبل، فخاف ان تجب عليه الصدقة، فباعها بإبل مثلها، او بغنم، او ببقر، او بدراهم، فرارا من الصدقة بيوم احتيالا، فلا باس عليه، وهو يقول: إن زكى إبله قبل ان يحول الحول بيوم او بستة، جازت عنه.
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Janwaron ke malik jinhon ne un ka shar'i haq ada nahi kiya ho ga qayamat ke din un par wo janwar galib kar diye jayein ge aur wo apni khuron se is ke chehre ko nochein ge. Aur baaz logon ne yeh keh diya ke agar ek shakhs ke paas oont hain aur ise khatra hai ke Zakat is par wajib ho jaye gi aur is liye wo kisi din Zakat se bachne ke liye heela ke taur par usi jaise oont ya bakri ya gaye ya darahim ke badle mein bech de to is par koi Zakat nahi aur phir is ka yeh bhi kehna hai ke agar wo apne oont ki Zakat saal poore hone se ek din ya ek saal pehle dede to Zakat ada ho jati hai.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة