الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب استتابة المرتدين
Kitab: Baghiyon aur murtadon se tauba karane ka bayan
باب ما جاء فى المتأولين:
Taweel karne walon ke baare mein bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 6936
قال ابو عبد الله، وقال الليث، حدثني يونس، عن ابن شهاب، اخبرني عروة بن الزبير، ان المسور بن مخرمة، وعبد الرحمن بن عبد القاري، اخبراه انهما سمعا عمر بن الخطاب، يقول: سمعت هشام بن حكيم يقرا سورة الفرقان في حياة رسول الله صلى الله عليه وسلم، فاستمعت لقراءته، فإذا هو يقرؤها على حروف كثيرة لم يقرئنيها رسول الله صلى الله عليه وسلم كذلك، فكدت اساوره في الصلاة، فانتظرته حتى سلم، ثم لببته بردائه او بردائي، فقلت: من اقراك هذه السورة، قال: اقرانيها رسول الله صلى الله عليه وسلم، قلت له: كذبت فوالله إن رسول الله صلى الله عليه وسلم اقراني هذه السورة التي سمعتك تقرؤها، فانطلقت اقوده إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلت يا رسول الله: إني سمعت هذا يقرا بسورة الفرقان على حروف لم تقرئنيها وانت اقراتني سورة الفرقان، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: ارسله يا عمر، اقرا يا هشام، فقرا عليه القراءة التي سمعته يقرؤها، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: هكذا انزلت، ثم قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: اقرا يا عمر، فقرات، فقال: هكذا انزلت، ثم قال: إن هذا القرآن انزل على سبعة احرف فاقرءوا ما تيسر منه.
`Aur Abu Abdullah Imam Bukhari Rahimahullah ne bayan kiya, un se Laith bin Saad ne bayan kiya unhon ne kaha ke mujh se Yunus ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh ko Urwa bin Zubair ne khabar di, unhein Miswar bin Makhrama aur Abdur Rahman bin Abdul Qari ne khabar di, in donon ne Umar bin al-Khattab Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke mein ne Hisham bin Hakeem ko Nabi Akram صلی اللہ علیہ وسلم ki zindagi mein Surah al-Furqan parhte suna jab gaur se suna to wo bahut si aisi qira'aton ke saath parh rahe thay jin se Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne mujhe nahi parhaya tha. Qareeb tha ke namaz hi mein, mein un par hamla kar deta lekin mein ne intezar kiya aur jab unhon ne salam phera to un ki chadar se ya (unhon ne yeh kaha ke) apni chadar se mein ne un ki gardan mein phanda daal diya aur un se poocha ke is tarah tumhein kis ne parhaya hai? Unhon ne kaha ke mujhe is tarah Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne parhaya hai. Mein ne un se kaha ke jhoot bolte ho, wallah yeh surat mujhe bhi Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne parhayi hai jo mein ne tumhein abhi parhte suna hai. Chunancha mein unhein kheenchta hua Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke paas laya aur arz kiya: ya Rasul Allah! mein ne ise Surah al-Furqan aur tarah par parhte suna hai jis tarah Aap ne mujhe nahi parhayi thi. Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne mujhe bhi Surah al-Furqan parhayi hai. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke Umar! unhein chhod do. Hisham surat parho. Unhon ne usi tarah parh kar sunaya jis tarah mein ne unhein parhte suna tha. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne is par farmaya ke isi tarah nazil hui thi phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke Umar! ab tum parho. Mein ne parha to Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke isi tarah nazil hui thi phir farmaya yeh Quran saat qira'aton mein nazil hua hai pas tumhein jis tarah aasani ho parho.


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة