الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأيمان والنذور
Kitab: Qasmon aur nazron ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {لا يؤاخذكم الله باللغو فى أيمانكم ولكن يؤاخذكم بما عقدتم الأيمان فكفارته إطعام عشرة مساكين من أوسط ما تطعمون أهليكم أو كسوتهم أو تحرير رقبة فمن لم يجد فصيام ثلاثة أيام ذلك كفارة أيمانكم إذا حلفتم واحفظوا أيمانكم كذلك يبين الله لكم آياته لعلكم تشكرون} :
Allah Taala ne Surat Al-Maida mein farmaya "Allah Taala laghw qasmon par tum ko nahin pakde ga, balkeh un qasmon par pakde ga jinhen tum pakke taur se khao. Pas us ka kaffara das miskeenon ko mamooli khana khilana hai, us ausat khane ke mutabiq jo tum apne ghar walon ko khilate ho ya un ko kapra pehnana ya ek ghulam aazaad karna. Pas jo shakhs yeh cheezen na paaye to us ke liye teen din ke roze rakhna hai. Yeh tumhari qasmon ka kaffara hai jis waqt tum qasam khao aur apni qasmon ki hifazat karo. Isi tarah Allah Taala apne hukmon ko khol kar bayaan karta hai. Shayad ke tum shukr karo.
Show diacritics
Hadith Number: 6621
حدثنا محمد بن مقاتل ابو الحسن اخبرنا عبد الله اخبرنا هشام بن عروة عن ابيه عن عائشة ان ابا بكر رضي الله عنه لم يكن يحنث في يمين قط، حتى انزل الله كفارة اليمين وقال لا احلف على يمين فرايت غيرها خيرا منها، إلا اتيت الذي هو خير، وكفرت عن يميني.
Hum se Abu al-Hasan Muhammad bin Muqatil Marwazi ne bayan kiya , kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , kaha hum ko Hisham bin Urwah ne khabar di , unhein in ke walid ne aur unhein Aisha razi Allahu anha ne ke Abu Bakr razi Allahu anhu kabhi apni qasam nahi torte thay , yahan tak ke Allah Ta'ala ne qasam ka kaf-fara utara . Is waqt unhon ne kaha ke اب agar main koi qasam khaoon ga aur is ke siwa koi cheez bhalayi ki ho gi to main wahi kaam karoon ga jis mein bhalayi ho aur apni qasam ka kaf-fara de doon ga .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة