الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الرقاق
Kitab: Dil ko narm karne wali baaton ke bayan mein
باب فى الحوض:
Hauz Kausar ke bayaan mein.
Hadith Number: 6584
قال ابو حازم: فسمعني النعمان بن ابي عياش، فقال: هكذا سمعت من سهل، فقلت: نعم، فقال: اشهد على ابي سعيد الخدري، لسمعته وهو يزيد فيها، فاقول: إنهم مني فيقال:" إنك لا تدري ما احدثوا بعدك"، فاقول: سحقا سحقا لمن غير بعدي، وقال ابن عباس: سحقا: بعدا، يقال: سحيق: بعيد سحقه، واسحقه: ابعده،
Abu Hazim ne bayan kiya ke yeh hadees mujh se Nu-man bin Abi Ay-yash ne suni aur kaha ke main gawahi deta hoon ke main ne Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu se yeh hadees isi tarah suni thi aur woh is hadees mein kuch zyadi ke saath bayan karte thay . (yani yeh ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam farmayein ge ke) main kahoon ga ke yeh to mujh mein se hain) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kaha jaye ga ke Aap ko nahi maloom ke unhon ne Aap ke baad deen mein kiya kiya nayi cheezin ijaad kar li thien . Is par main kahoon ga ke door ho woh shakhs jis ne mere baad deen mein tabdeeli kar li thi . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke «suhqan» bamaani «budan» hai , «saheequn» yani «baeedun» , «as-haquhoo» yani «aba-duhoo» .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| أبو سعيد الخدري، أبو سعيد | صحابي | |
| النعمان بن أبي عياش الزرقي، أبو سلمة | ثقة | |
| سلمة بن دينار الأعرج، أبو حازم | ثقة |