الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأدب
Kitab: Akhlaq ke bayan mein
باب من كان يؤمن بالله واليوم الآخر فلا يؤذ جاره:
Jo Allah aur aakhirat ke din par imaan rakhta ho woh apne padosi ko takleef na pahunchaye.
Hadith Number: 6019
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، قال: حدثني سعيد المقبري، عن ابي شريح العدوي، قال: سمعت اذناي وابصرت عيناي حين تكلم النبي صلى الله عليه وسلم فقال:" من كان يؤمن بالله واليوم الآخر فليكرم جاره، ومن كان يؤمن بالله واليوم الآخر فليكرم ضيفه جائزته"، قال: وما جائزته يا رسول الله؟ قال:" يوم وليلة، والضيافة ثلاثة ايام فما كان وراء ذلك فهو صدقة عليه، ومن كان يؤمن بالله واليوم الآخر فليقل خيرا او ليصمت".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Saeed Muqbiri ne bayan kiya, in se Abu Shuraih Adawi razi Allahu anhu ne bayan kiya unhon ne kaha ke mere kaanon ne suna aur meri aankhon ne dekha jab Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam guftagu farma rahe thay. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo shakhs Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta ho woh apne parosi ka ikram kare aur jo shakhs Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta ho woh apne mehman ki dastoor ke muwafiq har tarah se izzat kare. Poochha: ya Rasool اللہ! Dastoor ke muwafiq kab tak hai. Farmaya ek din aur ek raat aur mezbani teen din ki hai aur jo is ke baad ho woh is ke liye sadqa hai aur jo Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta ho woh behtar baat kahe ya khamosh rahe.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| خويلد بن شريح الخزاعي، أبو شريح | صحابي | |
| سعيد بن أبي سعيد المقبري، أبو سعيد، أبو سعد | ثقة | |
| الليث بن سعد الفهمي، أبو الحارث | ثقة ثبت فقيه إمام مشهور | |
| عبد الله بن يوسف الكلاعي، أبو محمد | ثقة متقن من أثبت الناس في الموطأ |