الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مواقيت الصلاة
Kitab: Auqat-e-namaz ke bayan mein
باب فضل العشاء:
Bab: Namaz-e-isha (ke liye intezar karne) ki fazilat.
Hadith Number: 567
حدثنا محمد بن العلاء، قال: اخبرنا ابو اسامة، عن بريد، عن ابي بردة، عن ابي موسى، قال: كنت انا واصحابي الذين قدموا معي في السفينة نزولا في بقيع بطحان والنبي صلى الله عليه وسلم بالمدينة، فكان يتناوب النبي صلى الله عليه وسلم عند صلاة العشاء كل ليلة نفر منهم، فوافقنا النبي صلى الله عليه وسلم انا واصحابي وله بعض الشغل في بعض امره، فاعتم بالصلاة حتى ابهار الليل، ثم خرج النبي صلى الله عليه وسلم فصلى بهم، فلما قضى صلاته، قال لمن حضره على رسلكم:" ابشروا إن من نعمة الله عليكم انه ليس احد من الناس يصلي هذه الساعة غيركم، او قال ما صلى هذه الساعة احد غيركم"، لا يدري اي الكلمتين، قال: قال ابو موسى: فرجعنا ففرحنا بما سمعنا من رسول الله صلى الله عليه وسلم.
Hum se Muhammad bin Alaa ne bayan kiya kaha hum se Abu Usama ne Buraid ke wastay se , unhon ne Abi Burda se unhon ne Abu Moosa Ashari raziyallahu anhu se , aap ne farmaya ke mein ne apne un sathiyon ke sath jo kashti mein mere sath Habsha se aaye thay Baqi Bathan mein qiyam kiya . Is waqt Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam Madina mein tashreef rakhte thay . Hum mein se koi na koi isha ki namaz mein rozana bari muqarrar kar ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ki khidmat mein hazir hua karta tha . Ittifaq se mein aur mere ek sathi ek martaba aap salla Allahu alaihi wa sallam ki khidmat mein hazir hue . Aap salla Allahu alaihi wa sallam apne kisi kaam mein mashghool thay . Kisi milli muamle mein aap salla Allahu alaihi wa sallam aur Abu Bakr Siddiq raziyallahu anhu guftugu farma rahe thay jis ki wajah se namaz mein der ho gayi aur taqreeban aadhi raat guzar gayi . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam tashreef laye aur namaz parhayi . Namaz poori kar chukay to hazireen se farmaya ke apni apni jagah par waqar ke sath baithe raho aur ek khushkhabri suno . Tumhare siwa duniya mein koi bhi aisa aadmi nahi jo is waqt namaz parhta ho , ya aap salla Allahu alaihi wa sallam ne yeh farmaya ke tumhare siwa is waqt kisi ummat ne bhi namaz nahi parhi thi . Yeh yaqeen nahi ke aap ne in do jumlon mein se kon sa jumla kaha tha . Phir raawi ne kaha ke Abu Moosa raziyallahu anhu ne farmaya . Pas hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se yeh sun kar bohot hi khush ho kar lote .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| عبد الله بن قيس الأشعري، أبو موسى | صحابي | |
| أبو بردة بن أبي موسى الأشعري، أبو بردة | ثقة | |
| بريد بن عبد الله الأشعري، أبو بردة | ثقة | |
| حماد بن أسامة القرشي، أبو أسامة | ثقة ثبت | |
| محمد بن العلاء الهمداني، أبو كريب | ثقة حافظ |
Referencing of the Hadith:
Book Name | Number | Short Arabic Text |
|---|---|---|
صحيح البخاري |
567
| أبشروا إن من نعمة الله عليكم أنه ليس أحد من الناس يصلي هذه الساعة غيركم |
صحيح مسلم | 1451 | أبشروا أن من نعمة الله عليكم أنه ليس من الناس أحد يصلي هذه الساعة غيركم |