الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الذبائح والصيد
Kitab: Zabeeh aur shikar ke bayan mein
باب النحر والذبح:
Nahr aur zabah ke bayaan mein.
Hadith Number: Q5510
وقال ابن جريج، عن عطاء:" لا ذبح ولا منحر، إلا في المذبح والمنحر"، قلت: ايجزي ما يذبح ان انحره؟ قال: نعم ذكر الله ذبح البقرة فإن ذبحت شيئا ينحر جاز، والنحر احب إلي والذبح قطع الاوداج، قلت: فيخلف الاوداج حتى يقطع النخاع؟ قال: لا إخال، واخبرني نافع ان ابن عمر نهى عن النخع، يقول: يقطع ما دون العظم ثم يدع حتى تموت، وقول الله تعالى: وإذ قال موسى لقومه إن الله يامركم ان تذبحوا بقرة سورة البقرة آية 67، وقال: فذبحوها وما كادوا يفعلون سورة البقرة آية 71 وقال سعيد: عن ابن عباس:" الذكاة في الحلق واللبة"، وقال ابن عمر، وابن عباس، وانس:" إذا قطع الراس فلا باس".
Aur Jurayj ne Ata se bayan kiya ke zibah aur nahar, sirf zibah karne ki jagah yani (halaq par) aur nahar karne ki jagah yani (seene ke oopar ke hissa) mein hi ho sakta hai. Main ne poochha kiya jin janwaron ko zibah kiya jata hai (halaq par chhurri pher kar) unhein nahar karna (seene ke oopar ke hissa mein chhurri maar kar zibah karna) kafi ho ga? Unhon ne kaha ke haan Allah ne (Quran Majeed mein) gaye ko zibah karne ka zikr kiya hai pas agar tum kisi janwar ko zibah karo jise nahar kiya jata hai (jaise oont) to jaiz hai lekin meri rai mein usay nahar karna hi behtar hai zibah gardan ki ragon ka kaatna hai. Main ne kaha ke gardan ki ragon kaatte huay kiya haram-maghaz bhi kaat diya jaye ga? Unhon ne kaha ke main usay zaroori nahi samajhta aur mujhe Nafi ne khabar di ke Ibn Umar razi Allahu anhuma ne haram-maghaz kaatne se mana kiya hai. Aap ne farmaya sirf gardan ki haddi tak (ragon ko) kaata jaye ga aur chhorr diya jaye ga taake janwar mar jaye aur Allah Ta'ala ka (Surah al-Baqarah mein) farman «wa izha qaala Musa li-qaumihi innallaha ya-murukum an tazh-bahoo baqaratan» ”aur jab Musa alaihissalam ne apni qaum se kaha ke bilashubha Allah tumhein hukm deta hai ke tum ek gaye zibah karo.“ Aur farmaya «fazh-bahooha wama kaadoo yaf-aloona» ”phir unhon ne zibah kiya aur woh karne wale nahi thay.“ Saeed ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se bayan kiya zibah halaq mein bhi kiya ja sakta hai aur seene ke oopar ke hissa mein bhi. Ibn Umar, Ibn Abbas aur Anas razi Allahu anhum ne kaha ke agar sar kat jaye ga to koi haraj nahi.
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 5510
حدثنا خلاد بن يحيى، حدثنا سفيان، حدثنا هشام بن عروة، قال: اخبرتني فاطمة بنت المنذر امراتي، عن اسماء بنت ابي بكر رضي الله عنهما، قالت:" نحرنا على عهد النبي صلى الله عليه وسلم فرسا فاكلناه".
Hum se Khallad bin Yahya ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, in se Hisham bin Urwah ne kaha ke mujhe meri biwi Fatima bint Munzhir ne khabar di in se Asmaa bint Abi Bakr razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke hum ne Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ke zamane mein ek ghora nahar kiya aur usay khaya.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| أسماء بنت أبي بكر القرشية، أم عبد الله | صحابي | |
| فاطمة بنت المنذر الأسدية | ثقة | |
| هشام بن عروة الأسدي، أبو المنذر، أبو عبد الله، أبو بكر | ثقة إمام في الحديث | |
| سفيان الثوري، أبو عبد الله | ثقة حافظ فقيه إمام حجة وربما دلس | |
| خلاد بن يحيى السلمي، أبو محمد | صدوق حسن الحديث |