الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الطلاق
Kitab: Talaq ke masail ka bayan
باب تحد المتوفى عنها زوجها أربعة أشهر وعشرا:
Bab: Jis aurat ka shauhar mar jaye woh chaar mahine das din tak saug manaye.
Hadith Number: 5337
قال حميد فقلت لزينب وما ترمي بالبعرة على راس الحول فقالت زينب كانت المراة إذا توفي عنها زوجها دخلت حفشا، ولبست شر ثيابها، ولم تمس طيبا حتى تمر بها سنة، ثم تؤتى بدابة حمار او شاة او طائر فتفتض به، فقلما تفتض بشيء إلا مات، ثم تخرج فتعطى بعرة فترمي، ثم تراجع بعد ما شاءت من طيب او غيره. سئل مالك ما تفتض به قال تمسح به جلدها.
`Humaid ne bayan kiya ke mein ne Zainab bint Umm-e-Salama Radi Allahu Anha se poocha ke is ka kya matlab hai ke ”Saal bhar tak meingni phenkni parti thi?“ Unhon ne farmaya ke zamana-e-jahiliyat mein jab kisi aurat ka shohar mar jata to wo ek nihayat tang o tareek kothri mein dakhil ho jati. Sab se bure kapre pehenti aur khushbu ka istemal tark kar deti. Yahan tak ke isi halat mein ek saal guzar jata phir kisi chaupaye gadhe ya bakri ya parinda ko is ke paas laya jata aur wo iddat se bahar aane ke liye is par haath pherti. Aisa kam hota tha ke wo kisi janwar par haath pher de aur wo mar na jaye. Is ke baad wo nikali jati aur ise meingni di jati jise wo phenkti. Ab wo khushbu wagaira koi bhi cheez istemal kar sakti thi. Imam Malik se poocha gaya ke «Taftazzu bihi» ka kya matlab hai to Aap ne farmaya wo is ka jism chooti thi.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة