الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الطلاق
Kitab: Talaq ke masail ka bayan
باب قصة فاطمة بنت قيس:
Bab: Fatimah bint Qais Razi Allahu Anha ka waqi’ah.
Hadith Number: Q5321-2
وقال إبراهيم فيمن تزوج في العدة فحاضت عنده ثلاث حيض بانت من الاول ولا تحتسب به لمن بعده، وقال الزهري: تحتسب وهذا احب إلى سفيان يعني قول الزهري، وقال معمر: يقال: اقرات المراة إذا دنا حيضها واقرات إذا دنا طهرها، ويقال: ما قرات بسلى قط إذا لم تجمع ولدا في بطنها".
Aur Ibrahim ne is shakhs ke baare mein farmaya jis ne kisi aurat se iddat hi mein nikah kar liya aur phir woh is ke paas teen haiz ki muddat guzarne tak rahi ke is ke baad woh pehle hi shohar se juda ho gi . (aur yeh sirf is ki iddat samjhi jaye gi) doosre nikah ki iddat ka shumar is mein nahi ho ga lekin Zuhri ne kaha ke isi mein doosre nikah ki iddat ka shumar bhi ho ga , yahi yani Zuhri ka qaul Sufyan ko zyada pasand tha . Mamar ne kaha ke «aqra-ati-l-imra-atu» is waqt bolte hain jab aurat ka haiz qareeb ho . Isi tarah «aqra-at» is waqt bhi bolte hain jab aurat ka tuhr qareeb ho , jab kisi aurat ke pait mein kabhi koi hamal na hua ho to is ke liye Arab kehte hain «ma qara-at bi-salan qattu» yani is ko kabhi pait nahi raha .
تخریج الحدیث:
Hadith Number: Q5321
وقول الله: واتقوا الله ربكم لا تخرجوهن من بيوتهن ولا يخرجن إلا ان ياتين بفاحشة مبينة وتلك حدود الله ومن يتعد حدود الله فقد ظلم نفسه لا تدري لعل الله يحدث بعد ذلك امرا سورة الطلاق آية 1 اسكنوهن من حيث سكنتم من وجدكم ولا تضاروهن لتضيقوا عليهن وإن كن اولات حمل فانفقوا عليهن حتى يضعن حملهن إلى قوله: بعد عسر يسرا سورة الطلاق آية 1 - 7.
Aur Allah Ta'ala ka farman ”aur apne Parvardigar Allah se darte raho , unhein in ke gharon se na nikalo aur na woh khud niklein , bajuz is surat ke ke woh kisi khuli be-hayayi ka irtikaab karein . Yeh Allah ki muqarrar ki hui hadein hain aur jo koi Allah ki hudood se barhe ga , us ne apne oopar zulm kiya . Tujhe khabar nahi shayad ke Allah is ke baad koi nayi baat paida kar de .“ In mutallaqat ko apni haisiyat ke mutabiq rehne ka makan do jahan tum rehte ho aur unhein tang karne ke liye unhein takleef mat pahunchao aur agar woh hamal waliyaan hon to unhein kharch bhi dete raho . In ke hamal ke paida hone tak . Aakhir aayat Allah Ta'ala ke irshad «ba-da usrin yusran» tak .
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 5321
حدثنا إسماعيل، حدثنا مالك، عن يحيى بن سعيد، عن القاسم بن محمد، وسليمان بن يسار، انه سمعهما يذكران،" ان يحيى بن سعيد بن العاص طلق بنت عبد الرحمن بن الحكم، فانتقلها عبد الرحمن، فارسلت عائشة ام المؤمنين إلى مروان بن الحكم وهو امير المدينة: اتق الله وارددها إلى بيتها"، قال مروان في حديث سليمان: إن عبد الرحمن بن الحكم غلبني، وقال القاسم بن محمد: اوما بلغك شان فاطمة بنت قيس، قالت: لا يضرك ان لا تذكر حديث فاطمة، فقال مروان بن الحكم: إن كان بك شر فحسبك ما بين هذين من الشر.
Hum se Ismail bin Abi Oways ne byaan kiya , kaha hum se Imam Malik ne byaan kiya , kaha hum se Yahya bin Saeed Ansari ne , in se Qasim bin Muhammad aur Sulayman bin Yasar ne , woh donon byaan karte thay ke Yahya bin Saeed bin al-Aas ne Abdur Rahman bin Hakam ki sahibzadi (Umrah) ko talaq de di ku aur in ke baap Abdur Rahman unhein in ke (shohar ke) ghar se le aaye (iddat ke ayyam guzarne se pehle) . Aisha razi Allahu anha ko jab maloom hua to unhon ne Marwan bin Hakam ke yahan , jo is waqt Madinah ka ameer tha , kahlwaya ke Allah se dro aur larki ko is ke ghar (jahan usay talaq hui hai) pahuncha do . Jaisa ke Sulayman bin Yasar ki hadees mein hai . Marwan ne is ko jawab yeh diya ke larki ke walid Abdur Rahman bin Hakam ne meri baat nahi maani aur Qasim bin Muhammad ne byaan kiya ke (Marwan ne Umm al-Momineen ko yeh jawab diya ke) kiya Aap ko Fatima bint Qays razi Allahu anha ke muamla ka ilm nahi hai ? (unhon ne bhi apne shohar ke ghar iddat nahi guzari thi) . Aisha razi Allahu anha ne batlaya ke agar tum Fatima ke waqia ka hawala na dete tab bhi tumhara kuch na bigarta (kyunke woh tumhare liye daleel nahi ban sakta) . Marwan bin Hakam ne is par kaha ke agar Aap ke nazdeek (Fatima razi Allahu anha ka in ke shohar ke ghar se muntaqil karna) in ke aur in ke shohar ke rishta-dari ke darmiyan kasheedgi ki wajah se thu to yahan bhi yahi wajah kafi hai ke donon (miyan biwi) ke darmiyan kasheedgi thi .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| عائشة بنت أبي بكر الصديق، أم عبد الله | صحابي | |
| سليمان بن يسار الهلالي، أبو عبد الله، أبو عبد الرحمن، أبو أيوب | ثقة | |
| القاسم بن محمد التيمي، أبو محمد، أبو عبد الرحمن | ثقة أفضل أهل زمانه | |
| يحيى بن سعيد الأنصاري، أبو سعيد | ثقة ثبت | |
| مالك بن أنس الأصبحي، أبو عبد الله | رأس المتقنين وكبير المتثبتين | |
| إسماعيل بن أبي أويس الأصبحي، أبو عبد الله | صدوق يخطئ |