الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل القرآن
Kitab: Quran ke fazail ka bayan
باب فضل البقرة:
Bab: Surah Al-Baqarah ki fazilat ke bayan mein.
Hadith Number: 5010
وقال عثمان بن الهيثم: حدثنا عوف، عن محمد بن سيرين، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: وكلني رسول الله صلى الله عليه وسلم بحفظ زكاة رمضان، فاتاني آت فجعل يحثو من الطعام، فاخذته، فقلت: لارفعنك إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقص الحديث، فقال: إذا اويت إلى فراشك فاقرا آية الكرسي، لن يزال معك من الله حافظ ولا يقربك شيطان حتى تصبح، وقال النبي صلى الله عليه وسلم:" صدقك وهو كذوب ذاك شيطان".
Aur Usman bin Haizam ne kaha ke hum se Auf bin Abi Jameelah ne byaan kiya, un se Muhammad bin Sireen ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe sadqa e fitr ki hifazat par muqarrar farmaya. Phir ek shakhs aaya aur donon hathon se (khajoorein) samaitne laga. Main ne usay pakar liya aur kaha ke main tujhe Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein pesh karoon ga. Phir unhon ne yeh poora qissa byaan kiya (mufassal hadees is se pehle Kitab-ul-Wakala mein guzar chuki hai) (jo sadqa e fitr churane aaya tha) us ne kaha ke jab tum raat ko apne bistar par sone ke liye jao to Ayat-ul-Kursi parh liya karo, phir subah tak Allah Ta'ala ki taraf se tumhari hifazat karne wala ek farishta muqarrar ho jaye ga aur Shaytan tumhare paas bhi na aa sake ga. (Abu Hurairah razi Allahu anhu ne yeh baat Aap se byaan ki to) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya us ne tumhein yeh theek baat batayi hai agarchay woh bara jhoota hai, woh Shaytan thu.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| أبو هريرة الدوسي | صحابي | |
| محمد بن سيرين الأنصاري، أبو بكر | ثقة ثبت كبير القدر لا يرى الرواية بالمعنى | |
| عوف بن أبي جميلة الأعرابي، أبو سهل | صدوق رمي بالقدر والتشيع | |
| عثمان بن عمر العبدي، أبو عمرو | صدوق حسن الحديث |