الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل القرآن
Kitab: Quran ke fazail ka bayan
باب جمع القرآن:
Bab: Quran Majeed ke jama’ karne ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 4986
حدثنا موسى بن إسماعيل، عن إبراهيم بن سعد، حدثنا ابن شهاب، عن عبيد بن السباق، ان زيد بن ثابت رضي الله عنه، قال: ارسل إلي ابو بكر مقتل اهل اليمامة، فإذا عمر بن الخطاب عنده، قال ابو بكر رضي الله عنه: إن عمر اتاني، فقال:" إن القتل قد استحر يوم اليمامة بقراء القرآن، وإني اخشى ان يستحر القتل بالقراء بالمواطن فيذهب كثير من القرآن، وإني ارى ان تامر بجمع القرآن. قلت لعمر: كيف تفعل شيئا لم يفعله رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال عمر: هذا والله خير، فلم يزل عمر يراجعني حتى شرح الله صدري لذلك ورايت في ذلك الذي راى عمر"، قال زيد: قال ابو بكر: إنك رجل شاب عاقل لا نتهمك وقد كنت تكتب الوحي لرسول الله صلى الله عليه وسلم فتتبع القرآن فاجمعه، فوالله لو كلفوني نقل جبل من الجبال ما كان اثقل علي مما امرني به من جمع القرآن، قلت: كيف تفعلون شيئا لم يفعله رسول الله صلى الله عليه وسلم؟ قال: هو والله خير، فلم يزل ابو بكر يراجعني حتى شرح الله صدري للذي شرح له صدر ابي بكر وعمر رضي الله عنهما، فتتبعت القرآن اجمعه من العسب واللخاف وصدور الرجال حتى وجدت آخر سورة التوبة مع ابي خزيمة الانصاري، لم اجدها مع احد غيره لقد جاءكم رسول من انفسكم عزيز عليه ما عنتم سورة التوبة آية 128 حتى خاتمة براءة فكانت الصحف عند ابي بكر حتى توفاه الله، ثم عند عمر حياته، ثم عند حفصة بنت عمر رضي الله عنه.
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha hum se Ibrahim bin Saad ne byaan kiya , kaha hum se Ibn Shihab ne byaan kiya , un se Ubaid bin Sabbaq ne aur un se Zayd bin Sabit razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Jang e Yamama mein (sahabah ki bahut bari tadaad ke) shaheed ho jaane ke baad Abu Bakr razi Allahu anhu ne mujhe bula bheja . Is waqt Umar razi Allahu anhu mere paas aaye aur unhon ne kaha ke Yamama ki jang mein bahut bari tadaad mein Quran ke qaariyon ki shahadat ho gayi hai aur mujhe darr hai ke isi tarah kuffar ke saath doosri jangon mein bhi qura e Quran bari tadaad mein qatl ho jayein ge aur yun Quran ke jaanne walon ki bahut bari tadaad khatam ho jaye gi . Is liye mera khayal hai ke Aap Quran Majeed ko (ba-qayda kitabi shakal mein) jama karne ka hukm de dein . Main ne Umar razi Allahu anhu se kaha ke Aap ek aisa kaam kis tarah karein ge jo Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne (apni zindagi mein) nahi kiya ? Umar razi Allahu anhu ne is ka yeh jawab diya ke Allah ki qasam! Yeh to ek kaar e khair hai . Umar razi Allahu anhu yeh baat mujh se baar baar kehte rahe . Aakhir Allah Ta'ala ne is masle mein mera bhi seena khol diya aur ab meri bhi wahi rai ho gayi jo Umar razi Allahu anhu ki thi . Zayd razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Abu Bakr razi Allahu anhu ne kaha Aap (Zayd razi Allahu anhu) jawan aur aqalmand hain , Aap ko muamla mein mut-taham bhi nahi kiya ja sakta aur Aap Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki wahi likhte bhi thay , is liye Aap Quran Majeed ko poori talash aur mehnat ke saath ek jagah jama kar dein . Allah ki qasam! Ke agar yeh log mujhe kisi pahar ko bhi is ki jagah se doosri jagah hatane ke liye kehte to mere liye yeh kaam itna mushkil nahi tha jitna ke in ka yeh hukm ke main Quran Majeed ko jama kar doon . Main ne is par kaha ke Aap log ek aise kaam ko karne ki himmat kaise karte hain jo Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne khud nahi kiya thu . Abu Bakr razi Allahu anhu ne kaha: Allah ki qasam! Yeh ek amal e khair hai . Abu Bakr razi Allahu anhu yeh jumla barabar dohrate rahe , yahan tak ke Allah Ta'ala ne mera bhi in ki aur Umar razi Allahu anhu ki tarah seena khola diya . Chunanche main ne Quran Majeed (jo mukhtalif cheezon par likha hua maujood thu) ki talash shuru kar di aur Quran Majeed ko khajoor ki chhilli hui shakhon , patle pattharon se , (jin par Quran Majeed likha gaya tha) aur logon ke seenon ki madad se jama karne laga . Surah at-Tauba ki aakhri aayatein mujhe Abu Khuzaymah Ansari razi Allahu anhu ke paas likhi hui milien , yeh chand aayatein maktoob shakal mein in ke siwa aur kisi ke paas nahi thien «laqad ja'akum rasoolum min anfusikum azeezun alayhi ma anittum» se Surah Baraat (Surah Tauba) ke khatma tak . Jama ke baad Quran Majeed ke yeh sahifay Abu Bakr razi Allahu anhu ke paas mahfooz thay . Phir un ki wafat ke baad Umar razi Allahu anhu ne jab tak woh zinda rahe apne saath rakkha phir woh Umm al-Momineen Hafsa bint Umar razi Allahu anha ke paas mahfooz rahe .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
زيد بن ثابت الأنصاري، أبو سعيد، أبو عبد الله، أبو خارجة، أبو عبد الرحمنصحابي
عبيد بن السباق الثقفي، أبو سعيدثقة
محمد بن شهاب الزهري، أبو بكرالفقيه الحافظ متفق على جلالته وإتقانه
إبراهيم بن سعد الزهري، أبو إسحاقثقة حجة
موسى بن إسماعيل التبوذكي، أبو سلمةثقة ثبت