الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {ولا تخزني يوم يبعثون} :
Bab: Ayat ki tafseer“Ibrahim ne ye bhi dua ki thi ke ya Allah! mujhe ruswa na karna us din jab hisaab ke liye sab jama kiye jayenge”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4768
وقال مجاهد: تعبثون: تبنون، هضيم: يتفتت إذا مس مسحرين المسحورين ليكة، والايكة جمع ايكة وهي جمع شجر، يوم الظلة: إظلال العذاب إياهم، موزون: معلوم، كالطود: كالجبل، وقال غيره لشرذمة: الشرذمة طائفة قليلة، في الساجدين: المصلين، قال ابن عباس: لعلكم تخلدون: كانكم الريع الايفاع من الارض، وجمعه ريعة وارياع واحده ريعة، مصانع: كل بناء فهو مصنعة، فرهين: مرحين فارهين بمعناه، ويقال: فارهين حاذقين، تعثوا: هو اشد الفساد عاث يعيث عيثا الجبلة الخلق جبل خلق، ومنه جبلا وجبلا وجبلا يعني الخلق، قاله ابن عباس.
Mujahid ne kaha lafz «ta'basoona» ka maani banate ho . «hadeemun» woh cheez jo chhoone se reza reza ho jaye . «musah-hareena» ka maani jadoo kiye gaye . «laykatu» aur «al-aykatu» jama hai «aykatin» ki aur lafz «aykatun» sahih hai . «shajarun» yani darakht . «yawmiz-zhullati» yani woh din jis mein azab ne un par saya kiya tha . «mauzoonun» ka maani maloom . «kat-taudi» yani pahar ki tarah . «ash-shirzhima» yani chhota giroh . «fis-saajideena» yani namaziyon mein . Ibn Abbas ne kaha «la'allakum takhludoona» ka maani yeh hai ke jaise hamesha duniya mein raho ge . «ree-un» buland zameen jaise teela «ree-un» mufrad hai is ki jama «reeatun» aur «arya-un» aati hai . «masaniu» har imarat ko kehte hain (ya oonche oonche mahallon ko) . «fariheena» ka maani itrate huay khush o khurram . «fatiha» fariheena ka bhi yahi maani hai . Baazon ne kaha «faariheena» ka maani karigar hoshiyar tajurba-kar . «ta'sau» jaise «aasa» , «yaeesu» , «aysan» , «aysun» kehte hain sakht fasad karne ko (dhund machana) . «ta'sau» ka wahi maani hai yani sakht fasad na karo . «khuliqta jibil» yani paida kiya gaya hai . Isi se «jibilan» aur «jubullan» aur «jibillan» nikla hai yani «khuliqta» .


تخریج الحدیث:
Show diacritics
Hadith Number: 4768
وقال إبراهيم بن طهمان: عن ابن ابي ذئب، عن سعيد بن ابي سعيد المقبري، عن ابيه، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" إن إبراهيم عليه الصلاة والسلام يرى اباه يوم القيامة عليه الغبرة، والقترة الغبرة هي القترة".
Aur hum se Ibrahim bin Tahman ne kaha ke un se Ibn Abi Zib ne byaan kiya , un se Saeed bin Abi Saeed Maqburi ne , un se un ke walid ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ibrahim alayhis-salatu was-salamu apne walid (Azar) ko Qayamat ke din gard-aalood kala kaloota dekhein ge . Imam Bukhari rahmahullah ne kaha «ghabaratun» aur «qataratun» hum-maani hain .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة