الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {براءة من الله ورسوله إلى الذين عاهدتم من المشركين} :
Bab: Ayat ki tafseer“I’laan-e-barat hai Allah aur us ke Rasool ki taraf se un mushrikeen se jin se tum ne ahd kar rakha hai (aur ab ahd ko unhon ne tor diya hai)”.
Hadith Number: Q4654-2
وليجة: كل شيء ادخلته في شيء، الشقة: السفر الخبال الفساد والخبال الموت، ولا تفتني: لا توبخني، كرها: وكرها واحد، مدخلا: يدخلون فيه، يجمحون: يسرعون، والمؤتفكات: ائتفكت انقلبت بها الارض، اهوى: القاه في هوة، عدن: خلد عدنت بارض، اي اقمت ومنه معدن، ويقال في معدن صدق في منبت صدق، الخوالف: الخالف الذي خلفني فقعد بعدي، ومنه يخلفه في الغابرين، ويجوز ان يكون النساء من الخالفة، وإن كان جمع الذكور فإنه لم يوجد على تقدير جمعه، إلا حرفان فارس وفوارس وهالك وهوالك الخيرات، واحدها خيرة وهي الفواضل، مرجئون مؤخرون الشفا شفير وهو حده، والجرف ما تجرف من السيول والاودية، هار هائر يقال تهورت البئر إذا انهدمت وانهار مثله لاواه شفقا وفرقا، وقال الشاعر: إذا قمت ارحلها بليل تاوه آهة الرجل الحزين
«waleejatun» woh cheez jo kisi doosri cheez ke andar dakhil ki jaye (yahan murad bhedi hai) . «ash-shuqqatu» safar ya door daraz rasta . «khabaalan» ke maani fasad aur «khabaalan» maut ko bhi kehte hain . «wa la taftinni» yani mujh ko mat jharak , mujh par khafa mat ho . «karhan» aur «kurhan» donon ka maani ek hai yani zabardasti na-khushi se . «mud-dakhalan» ghus baithne ka maqam (maslan surang waghaira) . «yajmahoona» daurte jayein . «mu'tafikaatun» yeh «itafakat inqalabat bihal ardu» se nikla hai yani is ki zameen ulat di gayi . «ahwa» yani is ko ek garhay mein dhakel diya . «adnun» ka maani hameshi ke hain . Arab log bolte hain «adantu bi-ardin» yani main is sar zameen mein reh gaya . Is se «madin» ka lafz nikla hai . (jis ka maani sone ya chaandi ya kisi aur dhaat ki kaan ke hain) . «madinu sidqin» . Yani is sar zameen mein jahan sachayi ugti hai . «al-khawalifu» , «khalifun» ki jama hai . «khalifun» woh jo mujh ko chhor kar peeche baith raha . Isi se hai yeh hadees «yakh-lufuhu fil ghabireen» yani jo log mayyit ke baad baqi reh gaye to un mein is ka qaim-maqam ban (yani un ka muhafiz aur nigran ho) . Aur «al-khawalifu» se auratein murad hain is surat mein yeh «yakh-lufuhu» ki jama ho gi (jaise «failatun» ki jama «fawailu» aati hai) . Agar «khalifun» muzakkar ki jama ho to yeh «shaaz» ho gi aise muzakkar ki zaban e Arab mein do hi «jama» aati hain jaise «farisun» aur «fawarisun» aur «halikun» aur «hawaliku» . «al-khayratu» , «khayratun» ki jama hai . Yani naikiyaan bhalaiyaan . «murja'oona» dheel mein diye gaye . «ash-shafa» kehte hain «shafeerun» ko yani kinara . «al-jurufu» woh zameen jo nadi naalon ke bahao se khud jati hai . «haarin» girne wali isi se hai «tahawwaratil birru» yani kunway gir gaya . «la-awwaahun» yani Khuda ke khauf se aur darr se aah o zari karne wala jaise shair ( «mushqibu abdee») kehta hai .
تخریج الحدیث:
Hadith Number: Q4654
وقال ابن عباس: اذن: يصدق، تطهرهم وتزكيهم بها: ونحوها كثير والزكاة الطاعة والإخلاص، لا يؤتون الزكاة: لا يشهدون ان لا إله إلا الله، يضاهون: يشبهون.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke «uzhunun» is shakhs ko kehte hain jo har baat sun le is par yaqeen kar le «tutahhiruhum» aur «tuzakkeehim biha» ke ek maani hain . Quran Majeed mein aise mutaradif alfaz bahut hain . «az-zakatu» ke maani bandagi aur ikhlas ke hain . «la yutoona-zzakata» ke maani yeh ke kalma «la ilaha illallah» ki gawahi nahi dete . «yudahoona» ay «yushabihoona» yani agle kafiron ki si baat karte hain .
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 4654
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، قال: سمعت البراء رضي الله عنه، يقول:" آخر آية نزلت يستفتونك قل الله يفتيكم في الكلالة سورة النساء آية 176، وآخر سورة نزلت براءة".
Hum se Abu al-Waleed Hisham bin Abdul Malik ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Abu Ishaq ne ke main ne Bara bin Azib razi Allahu anhu se suna . Unhon ne kaha ke sab se aakhir mein yeh aayat nazil hui thi «yastaftoonaka qulillahu yuftikum fil kalalati» aur sab se aakhir mein Surah Baraat nazil hui .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| البراء بن عازب الأنصاري، أبو عمارة، أبو الطفيل، أبو عمرو | صحابي | |
| أبو إسحاق السبيعي، أبو إسحاق | ثقة مكثر | |
| شعبة بن الحجاج العتكي، أبو بسطام | ثقة حافظ متقن عابد | |
| هشام بن عبد الملك الباهلي، أبو الوليد | ثقة ثبت |