الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {يا أيها النبى حرض المؤمنين على القتال إن يكن منكم عشرون صابرون يغلبوا مائتين وإن يكن منكم مائة يغلبوا ألفا من الذين كفروا بأنهم قوم لا يفقهون} :
Bab: Ayat ki tafseer“Ay Nabi! mominon ko qitaal par aamada kijiye, agar tum mein se bees aadmi bhi sabr karne wale honge to woh do sau par ghalib aa jayenge aur agar tum mein se sau honge to ek hazaar kafiron par ghalib aa jayenge is liye ke ye aise log hain jo kuch nahi samajhte”.
Hadith Number: 4652
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن عمرو، عن ابن عباس رضي الله عنهما: لما نزلت إن يكن منكم عشرون صابرون يغلبوا مائتين وإن يكن منكم مائة سورة الانفال آية 65، فكتب عليهم ان لا يفر واحد من عشرة، فقال سفيان غير مرة: ان لا يفر عشرون من مائتين، ثم نزلت الآن خفف الله عنكم سورة الانفال آية 66 الآية، فكتب ان لا يفر مائة من مائتين، وزاد سفيان مرة نزلت حرض المؤمنين على القتال إن يكن منكم عشرون صابرون سورة الانفال آية 65، قال سفيان: وقال ابن شبرمة: وارى الامر بالمعروف، والنهي عن المنكر، مثل هذا".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , un se Amr bin Dinar ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke jab yeh aayat nazil hui «in yakun minkum ishroona sabiroona yaghliboo mi'ataini» ke ”agar tum mein se bees aadmi bhi sabr karne wale hon to woh do sau par ghalib aa jayein ge .“ To Musalmanon ke liye farz qarar de diya gaya ke ek Musalman das kafiron ke muqable se na bhage aur kai martaba Sufyan Sawri ne yeh bhi kaha ke bees do sau ke muqable se na bhagein . Phir Allah Ta'ala ne yeh aayat utari «al-aana khaffafallahu ankum» ”ab Allah ne tum par takhfeef kar di .“ Is ke baad yeh farz qarar diya ke ek sau , do sau ke muqable se na bhagein . Sufyan Sawri ne ek martaba is ziyadati ke saath riwayat byaan ki ke aayat nazil hui «harridil momineena alal qitali in yakun minkum ishroona sabiroona» ke ”Ae Nabi mominon ko qital par aamada karo . Agar tum mein se bees aadmi sabr karne wale hon ge .“ Sufyan Sawri ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Shubrumah (Kufa ke qazi) ne byaan kiya ke mera khayal hai amr bil-maroof aur nahi anil munkar mein bhi yahi hukm hai .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| عبد الله بن العباس القرشي، أبو العباس | صحابي | |
| عمرو بن دينار الجمحي، أبو محمد | ثقة ثبت | |
| سفيان بن عيينة الهلالي، أبو محمد | ثقة حافظ حجة | |
| علي بن المديني، أبو الحسن | ثقة ثبت إمام أعلم أهل عصره بالحديث وعلله |