الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {خذ العفو وأمر بالعرف وأعرض عن الجاهلين} ، العرف المعروف:
Bab: Ayat ki tafseer“Ay Nabi! maafi ikhtiyar kar aur nek kaamon ka hukm dete raho aur jahilon se munh moriyo «al-urf» , «al-ma’roof» ke ma’ni mein hai jis ke ma’ni nek kaamon ke hain.
Show diacritics
Hadith Number: 4642
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، ان ابن عباس رضي الله عنهما، قال: قدم عيينة بن حصن بن حذيفة، فنزل على ابن اخيه الحر بن قيس، وكان من النفر الذين يدنيهم عمر، وكان القراء اصحاب مجالس عمر، ومشاورته كهولا كانوا او شبانا، فقال عيينة لابن اخيه: يا ابن اخي، هل لك وجه عند هذا الامير فاستاذن لي عليه؟ قال: ساستاذن لك عليه، قال ابن عباس: فاستاذن الحر لعيينة فاذن له عمر، فلما دخل عليه، قال: هي يا ابن الخطاب، فوالله ما تعطينا الجزل، ولا تحكم بيننا بالعدل، فغضب عمر، حتى هم ان يوقع به، فقال له الحر: يا امير المؤمنين، إن الله تعالى، قال لنبيه صلى الله عليه وسلم: خذ العفو وامر بالعرف واعرض عن الجاهلين سورة الاعراف آية 199، وإن هذا من الجاهلين، والله ما جاوزها عمر حين تلاها عليه، وكان وقافا عند كتاب الله.
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , un se Zuhri ne byaan kiya , unhein Ubaydullah bin Abdullah bin Utbah ne khabar di aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Uyaynah bin Hisn bin Huzayfah ne apne bhatije Hur bin Qays ke yahan aa kar qiyam kiya . Hur , in chand khaas logon mein se thay jinhein Umar razi Allahu anhu apne bahut qareeb rakhte thay jo log Quran Majeed ke zyada aalim aur qaari hote . Umar razi Allahu anhu ki majlis mein unhein ko zyada nazdeeki haasil hoti thi aur aise log Aap ke musheer hote . Is ki koi qaid nahi thi ke woh umr-raseeda hon ya naujawan . Uyaynah ne apne bhatije se kaha ke tumhein is ameer ki majlis mein bahut nazdeeki haasil hai . Mere liye bhi majlis mein haziri ki ijazat le do . Hur bin Qays ne kaha ke main Aap ke liye bhi ijazat maangoon ga . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya . Chunanche unhon ne Uyaynah ke liye bhi ijazat maangi aur Umar razi Allahu anhu ne unhein majlis mein aane ki ijazat de di . Majlis mein jab woh pahunche to kehne lage: Ae Khattab ke bete! Allah ki qasam! Na to tum hamain maal hi dete ho aur na adl o insaf ke saath faisla karte ho . Umar razi Allahu anhu ko un ki is baat par bara ghussa aaya aur aage barh hi rahe thay ke Hur bin Qays ne arz kiya: ya Ameer al-Momineen! Allah Ta'ala ne apne Nabi se khitab kar ke farmaya hai ”Maafi ikhtiyar kar aur naik kaam ka hukm de aur jahilon se kinara-kash ho jaya kijiye .“ Aur yeh bhi jahilon mein se hain . Allah ki qasam! Ke jab Hur ne Quran Majeed ki tilawat ki to Umar razi Allahu anhu bilkul thande par gaye aur Kitab Allah ke hukm ke samne Aap ki yahi halat hoti thi .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
عبد الله بن العباس القرشي، أبو العباسصحابي
عبيد الله بن عبد الله الهذلي، أبو عبد اللهثقة فقيه ثبت
محمد بن شهاب الزهري، أبو بكرالفقيه الحافظ متفق على جلالته وإتقانه
شعيب بن أبي حمزة الأموي، أبو بشرثقة حافظ متقن
الحكم بن نافع البهراني، أبو اليمانثقة ثبت
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
4642
ما تعطينا الجزل ولا تحكم بيننا بالعدل فغضب عمر حتى هم أن يوقع به فقال له الحر يا أمير المؤمنين إن الله قال لنبيه خذ العفو وأمر بالعرف وأعرض عن الجاهلين