الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصلاة
Kitab: Namaz ke ahkam o masail
باب بنيان المسجد:
Bab: Masjid ki imarat.
Hadith Number: Q446
وقال ابو سعيد: كان سقف المسجد من جريد النخل، وامر عمر ببناء المسجد، وقال: اكن الناس من المطر وإياك ان تحمر او تصفر فتفتن الناس، وقال انس: يتباهون بها ثم لا يعمرونها إلا قليلا، وقال ابن عباس: لتزخرفنها كما زخرفت اليهود والنصارى.
Abu Saeed ne kaha ke masjid Nabwi ki chhat khajoor ki shakhon se banayi gayi thi . Umar raziyallahu anhu ne masjid ki tameer ka hukm diya aur farmaya ke mein logon ko barish se bachana chahta hun aur masjidon par surkh laal , zard rang , mat karo kyunke is se log fitna mein par jayenge . Anas raziyallahu anhu ne farmaya ke is tarah pukhta banwane se log masajid par fakhr karne lagenge . Magar un ko aabad bohot kam log karenge . Ibn Abbas raziyallahu anhuma ne farmaya ke tum bhi masajid ki isi tarah zibayish karoge jis tarah yahood wa nasara ne ki .
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 446
حدثنا علي بن عبد الله، قال: حدثنا يعقوب بن إبراهيم بن سعد، قال: حدثني ابي، عن صالح بن كيسان، قال: حدثنا نافع، ان عبد الله اخبره،" ان المسجد كان على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم مبنيا باللبن، وسقفه الجريد، وعمده خشب النخل، فلم يزد فيه ابو بكر شيئا، وزاد فيه عمر، وبناه على بنيانه في عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم باللبن والجريد واعاد عمده خشبا، ثم غيره عثمان فزاد فيه زيادة كثيرة وبنى جداره بالحجارة المنقوشة والقصة وجعل عمده من حجارة منقوشة وسقفه بالساج".
Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Yaqoob bin Ibrahim bin Saeed ne bayan kiya , unhon ne kaha mujh se mere walid Ibrahim bin Saeed ne Saleh bin Kaisan ke wastay se , hum se Nafi ne , Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma ke wastay se khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ke zamane mein masjid Nabwi kachi eenton se banayi gayi thi . Is ki chhat khajoor ki shakhon ki thi aur sutun isi ki kariyon ke . Abu Bakr raziyallahu anhu ne is mein kisi qisam ki zyadti nahi ki . Albatta Umar raziyallahu anhu ne isay barhaya aur is ki tameer Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ki banayi hui bunyadon ke mutabiq kachi eenton aur khajooron ki shakhon se ki aur is ke sutun bhi kariyon hi ke rakhe . Phir Usman raziyallahu anhu ne is ki imarat ko badal diya aur is mein bohot si zyadti ki . Is ki deewaren munqash pattharon aur gach se banaye . Is ke sutun bhi munqash pattharon se banwaye aur chhat sagwan se banayi .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| عبد الله بن عمر العدوي، أبو عبد الرحمن | صحابي | |
| نافع مولى ابن عمر، أبو عبد الله | ثقة ثبت مشهور | |
| صالح بن كيسان الدوسي، أبو محمد، أبو الحارث | ثقة ثبت | |
| إبراهيم بن سعد الزهري، أبو إسحاق | ثقة حجة | |
| يعقوب بن إبراهيم القرشي، أبو يوسف | ثقة | |
| علي بن المديني، أبو الحسن | ثقة ثبت إمام أعلم أهل عصره بالحديث وعلله |
Referencing of the Hadith:
Book Name | Number | Short Arabic Text |
|---|---|---|
صحيح البخاري |
446
| المسجد كان على عهد رسول الله مبنيا باللبن وسقفه الجريد وعمده خشب النخل |
سنن أبي داود | 451 | المسجد كان على عهد رسول الله مبنيا باللبن والجريد |