الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب قصة وفد طيئ وحديث عدي بن حاتم:
Bab: Qabila Tayy ke wafd aur Adi bin Hatim Radiallahu Anhu ka qissa.
Show diacritics
Hadith Number: 4394
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا ابو عوانة، حدثنا عبد الملك، عن عمرو بن حريث، عن عدي بن حاتم، قال: اتينا عمر في وفد، فجعل يدعو رجلا رجلا ويسميهم، فقلت: اما تعرفني يا امير المؤمنين؟" قال:" بلى، اسلمت إذ كفروا، واقبلت إذ ادبروا، ووفيت إذ غدروا، وعرفت إذ انكروا"، فقال عدي:" فلا ابالي إذا".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha hum se Abu Awanah ne byaan kiya , kaha hum se Abdul Malik bin Umayr ne byaan kiya , un se Amr bin Hurays ne aur un se Adi bin Hatim razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hum Umar razi Allahu anhu ki khidmat mein (un ki daur e khilafat mein) ek wafd ki shakal mein aaye . Woh ek ek shakhs ko naam le le kar bulate jate thay) main ne un se kaha kya Aap mujhe pehchante nahi ? Ae Ameer al-Momineen! Farmaya kya tumhein bhi nahi pehchanoon ga , tum is waqt Islam laye jab yeh sab kufr par qaim thay . Tum ne is waqt tawajjo ki jab yeh sab munh morr rahe thay . Tum ne is waqt wafa ki jab yeh sab be-wafayi kar rahe thay aur is waqt pehchana jab in sab ne inkar kiya tha . Adi razi Allahu anhu ne kaha bas ab mujhe koi parwah nahi .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
عدي بن حاتم الطائي، أبو طريف، أبو وهبصحابي
عمرو بن حريث القرشي، أبو سعيدصحابي صغير
عبد الملك بن عمير اللخمي، أبو عمرو، أبو عمرصدوق حسن الحديث
الوضاح بن عبد الله اليشكري، أبو عوانةثقة ثبت
موسى بن إسماعيل التبوذكي، أبو سلمةثقة ثبت