الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب: {ثم أنزل عليكم من بعد الغم أمنة نعاسا يغشى طائفة منكم وطائفة قد أهمتهم أنفسهم يظنون بالله غير الحق ظن الجاهلية يقولون هل لنا من الأمر من شيء قل إن الأمر كله لله يخفون فى أنفسهم ما لا يبدون لك يقولون لو كان لنا من الأمر شيء ما قتلنا هاهنا قل لو كنتم فى بيوتكم لبرز الذين كتب عليهم القتل إلى مضاجعهم وليبتلي الله ما فى صدوركم وليمحص ما فى قلوبكم والله عليم بذات الصدور} :
Bab: (Allah Taala ka farman)“Phir us ne us gham ke baad tumhare oopar raahat yani ghunoodagi nazil ki ke us ka tum mein se ek jamaat par ghalba ho raha tha aur ek jamaat woh thi ke use apni jaanon ki pari hui thi, ye Allah ke bare mein khilaf-e-haq aur jahiliyyat ke khayalat qaim kar rahe the aur ye keh rahe the ke kya hum ko bhi kuch ikhtiyar hai? Aap keh dijiye ke ikhtiyar to sab Allah ka hai, ye log dilon mein aisi baat chhupaye hue hain jo Aap par zahir nahi karte aur kehte hain ke kuch bhi hamara ikhtiyar chalta to hum yahan na maare jate, Aap keh dijiye ke agar tum gharon mein hote tab bhi woh log jin ke liye qatl muqaddar ho chuka tha, apni qatl-gahon ki taraf nikal hi parte aur ye sab is liye hua ke Allah tumhare dilon ki azmaish kare aur taake jo kuch tumhare dilon mein hai use saaf kare aur Allah Taala dil ki baaton ko khoob jaanta hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4068
وقال لي خليفة حدثنا يزيد بن زريع حدثنا سعيد عن قتادة عن انس عن ابي طلحة رضي الله عنهما قال كنت فيمن تغشاه النعاس يوم احد، حتى سقط سيفي من يدي مرارا، يسقط وآخذه، ويسقط فآخذه.
Aur mujh se Khalifa ne bayan kiya, kaha hum se Yazid Bin Zurai ne bayan kiya, un se Saeed ne bayan kiya, unhon ne Qatada se suna aur un se Anas Radi Allahu Anhu ne aur un se Abu Talha Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke mein in logon mein tha jinhein Ghazwa Uhud ke mauqe par oongh ne aa ghera tha aur isi halat mein meri talwar kai martaba (hath se choat kar be-ikhtiyar) gir pari thi. Mein ise utha leyta, phir gir jati aur mein ise phir utha leyta
.


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة