الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مناقب الأنصار
Kitab: Ansar ke manaqib
باب القسامة فى الجاهلية:
Bab: Zamanah-e-Jahiliyyat ki qasamat ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 3845
حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث، حدثنا قطن ابو الهيثم، حدثنا ابو يزيد المدني، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" إن اول قسامة كانت في الجاهلية لفينا بني هاشم كان رجل من بني هاشم استاجره رجل من قريش من فخذ اخرى , فانطلق معه في إبله , فمر رجل به من بني هاشم قد انقطعت عروة جوالقه، فقال: اغثني بعقال اشد به عروة جوالقي لا تنفر الإبل , فاعطاه عقالا فشد به عروة جوالقه , فلما نزلوا عقلت الإبل إلا بعيرا واحدا، فقال الذي استاجره: ما شان هذا البعير لم يعقل من بين الإبل، قال: ليس له عقال، قال: فاين عقاله؟ قال: فحذفه بعصا كان فيها اجله فمر به رجل من اهل اليمن، فقال: اتشهد الموسم؟ قال: ما اشهد وربما شهدته، قال: هل انت مبلغ عني رسالة مرة من الدهر؟ قال: نعم، قال: فكتب إذا انت شهدت الموسم فناد يا آل قريش فإذا اجابوك فناد يا آل بني هاشم فإن اجابوك فسل عن ابي طالب فاخبره ان فلانا قتلني في عقال ومات المستاجر , فلما قدم الذي استاجره اتاه ابو طالب، فقال: ما فعل صاحبنا؟ قال: مرض فاحسنت القيام عليه فوليت دفنه، قال: قد كان اهل ذاك منك فمكث حينا , ثم إن الرجل الذي اوصى إليه ان يبلغ عنه وافى الموسم، فقال: يا آل قريش، قالوا: هذه قريش، قال: يا آل بني هاشم، قالوا: هذه بنو هاشم، قال: اين ابو طالب؟ قالوا: هذا ابو طالب، قال: امرني فلان ان ابلغك رسالة ان فلانا قتله في عقال , فاتاه ابو طالب، فقال: له اختر منا إحدى ثلاث إن شئت ان تؤدي مائة من الإبل فإنك قتلت صاحبنا وإن شئت حلف خمسون من قومك إنك لم تقتله , فإن ابيت قتلناك به فاتى قومه، فقالوا: نحلف , فاتته امراة من بني هاشم كانت تحت رجل منهم قد ولدت له، فقالت: يا ابا طالب احب ان تجيز ابني هذا برجل من الخمسين ولا تصبر يمينه حيث تصبر الايمان , ففعل , فاتاه رجل منهم، فقال: يا ابا طالب اردت خمسين رجلا ان يحلفوا مكان مائة من الإبل يصيب كل رجل بعيران , هذان بعيران فاقبلهما عني ولا تصبر يميني حيث تصبر الايمان , فقبلهما وجاء ثمانية واربعون فحلفوا، قال ابن عباس: فوالذي نفسي بيده ما حال الحول ومن الثمانية واربعين عين تطرف".
Hum se Abu Ma'mar ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Waris ne bayan kiya, kaha hum se Qatan Abu-ul-Haisam ne kaha, hum se Abu Yazid Madani ne, un se Ikrimah ne aur un se Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya jahiliyat mein sab se pehla Qasamah hamare hi qabila Banu Hashim mein hua tha, Banu Hashim ke ek shakhs Amr Bin Alqamah ko Quraish ke kisi doosre khandan ke ek shakhs (Khadash Bin Abdullah Aamiri) ne naukri par rakkha, ab ye Hashimi naukar apne sahib ke sath is ke oont le kar Sham ki taraf chala wahan kahin is naukar ke paas se ek doosre Hashimi shakhs guzra, is ki bori ka bandhan toot gaya tha. Us ne apne naukar bhai se iltija ki meri madad kar oont bandhne ki mujhe ek rassi dede, mein is se apna theila bandhoon agar rassi na ho gi to wo bhag thore jaye ga. Us ne ek rassi ise de di aur is ne apni bori ka munh is se bandh liya (aur chala gaya). Phir jab is naukar aur sahib ne ek manzil par parao kiya to tamam oont bandhe gaye lekin ek oont khula raha. Jis sahib ne Hashimi ko naukri par apne sath rakkha tha is ne poocha sab oont to bandhe, ye oont kyun nahi bandha gaya kya baat hai? Naukar ne kaha is ki rassi mojood nahi hai. Sahib ne poocha kya hua is ki rassi? Aur gusse mein aa kar ek lakri is par phenk maari is ki maut aa pahunchi. Is ke (marne se pehle) wahan se ek Yamani shakhs guzar raha tha. Hashimi naukar ne poocha kya hajj ke liye har saal tum Makkah jaate ho? Us ne kaha abhi to irada nahi hai lekin mein kabhi jata rehta hoon. Is naukar ne kaha jab bhi tum Makkah pahuncho kya mera ek paigham pahuncha do ge? Us ne kaha haan pahuncha doon ga. Is naukar ne kaha ke jab bhi tum hajj ke liye jao to pukarna: Ay Quraish ke logo! Jab wo tumhare paas jama ho jayein to pukarna: Ay Bani Hashim! Jab wo tumhare paas aa jayein to un se Abu Talib poochna aur unhein batlana ke falan shakhs ne mujhe ek rassi ke liye qatl kar diya. Is wasiyat ke baad wo naukar mar gaya, phir jab is ka sahib Makkah aaya to Abu Talib ke yahan bhi gaya. Janab Abu Talib ne daryaft kiya hamare qabila ke jis shakhs ko tum apne sath naukri ke liye le gaye thay is ka kya hua? Us ne kaha ke wo bimar ho gaya tha mein ne khidmat karne mein koi kasar nahi utha rakkhi (lekin wo mar gaya to) mein ne ise dafan kar diya. Abu Talib ne kaha ke is ke liye tumhari taraf se yahi hona chahiye tha. Ek muddat ke baad wahi Yamani shakhs jise Hashimi naukar ne paigham pahunchane ki wasiyat ki thi, mausam-e-hajj mein aaya aur aawaz di: Ay Quraish ke logo! Logon ne bata diya ke yahan hain Quraish is ne aawaz di, ay Banu Hashim! Logon ne bataya ke Banu Hashim ye hain is ne poocha Abu Talib kahan hain? Logon ne bataya to is ne kaha ke falan shakhs ne mujhe ek paigham pahunchane ke liye kaha tha ke falan shakhs ne ise ek rassi ki wajah se qatl kar diya hai. Ab Janab Abu Talib is sahib ke yahan aaye aur kaha ke in teen cheezon mein se koi cheez pasand kar lo agar tum chaho to sau oont deet mein de do kyunke tum ne hamare qabila ke aadmi ko qatl kiya hai aur agar chaho to tumhari qaum ke pacchas aadmi is ki qasam kha lein ke tum ne ise qatl nahi kiya. Agar tum is par tayyar nahi to hum tumhein is ke badle mein qatl kar dein ge. Wo shakhs apni qaum ke paas aaya to wo is ke liye tayyar ho gaye ke hum qasam kha lein ge. Phir Banu Hashim ki ek aurat Abu Talib ke paas aayi jo isi qabila ke ek shakhs se biyahi hui thi aur apne is shohar se is ka baccha bhi tha. Us ne kaha: Ay Abu Talib! Aap meherbani karein aur mere is larke ko in pacchas aadmiyon mein maaf kar dein aur jahan qasmein li jati hain (yani Rukn aur Maqam-e-Ibrahim ke darmiyan) is se wahan qasam na lein. Abu Talib ne ise maaf kar diya. Is ke baad un mein ka ek aur shakhs aaya aur kaha: Ay Abu Talib! Aap ne sau oonton ki jagah pacchas aadmiyon se qasam talab ki hai, is tarah har shakhs par do do oont parte hain. Ye do oont meri taraf se aap qabool kar lein aur mujhe is maqam par qasam khane ke liye majboor na karein jahan qasam li jati hai. Abu Talib ne ise bhi manzoor kar liya. Is ke baad baqiya jo artalees aadmi aaye aur unhon ne qasam khayi. Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne kaha: Is zaat ki qasam! Jis ke hath mein meri jaan hai abhi is waqia ko poora saal bhi nahi guzra tha ke in artalees aadmiyon mein se ek bhi aisa nahi raha jo aankh hilata
.


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
عبد الله بن العباس القرشي، أبو العباسصحابي
عكرمة مولى ابن عباس، أبو مجالد، أبو عبد اللهثقة
أبو يزيد المديني، أبو يزيدمقبول
قطن بن كعب القطعي، أبو الهيثمثقة
عبد الوارث بن سعيد العنبري، أبو عبيدةثقة ثبت
عبد الله بن عمر التميمي، أبو معمرثقة ثبت قدري