الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المناقب
Kitab: Fazeelaton ke bayan mein
باب علامات النبوة فى الإسلام:
Bab: Nabi Karim ﷺ ke mu’jizaat yani nubuwwat ki nishaniyon ka bayan.
Hadith Number: 3617
حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث، حدثنا عبد العزيز، عن انس رضي الله عنه، قال:" كان رجل نصرانيا فاسلم وقرا البقرة وآل عمران فكان يكتب للنبي صلى الله عليه وسلم فعاد نصرانيا فكان، يقول: ما يدري محمد إلا ما كتبت له فاماته الله فدفنوه فاصبح وقد لفظته الارض، فقالوا: هذا فعل محمد واصحابه لما هرب منهم نبشوا عن صاحبنا فالقوه فحفروا له فاعمقوا فاصبح وقد لفظته الارض، فقالوا: هذا فعل محمد واصحابه نبشوا عن صاحبنا لما هرب منهم فالقوه فحفروا له واعمقوا له في الارض ما استطاعوا فاصبح وقد لفظته الارض فعلموا انه ليس من الناس فالقوه".
Hum se Abu Moammar ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Warith ne bayan kiya kaha hum se Abdul Aziz ne bayan kiya aur un se Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke ek shakhs pehle Isayi tha. Phir woh Islam mein dakhil ho gaya tha. Us ne Surah al-Baqarah aur Aal-e-Imran parh li thi aur woh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka munshi ban gaya lekin phir woh shakhs murtad ho kar Isayi ho gaya aur kehne laga ke Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ke liye jo kuch mein ne likh diya hai is ke siwa unhein aur kuch bhi maloom nahi. Phir Allah Ta'ala ke hukm se us ki maut waqia ho gayi aur is ke aadmiyon ne ise dafan kar diya. Jab subah hui to unhon ne dekha ke is ki lash qabar se nikal kar zameen ke upar padi hai. Isayi logon ne kaha ke yeh Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) aur is ke sathiyon ka kaam hai. Chunke in ka deen us ne chhor diya tha is liye unhon ne is ki qabar khodi hai aur lash ko bahar nikal kar phenk diya hai. Chunanche doosri qabar unhon ne khodi jo bahut zyada gehri thi. Lekin jab subah hui to phir lash bahar thi. Is martaba bhi unhon ne yahi kaha ke yeh Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) aur un ke sathiyon ka kaam hai chunke in ka deen us ne chhor diya tha is liye is ki qabar khod kar unhon ne lash bahar phenk di hai. Phir unhon ne qabar khodi aur jitni gehri in ke bas mein thi kar ke ise is ke andar daal diya lekin subah hui to phir lash bahar thi. Ab unhein yaqeen aaya ke yeh kisi insan ka kaam nahi hai (balkay yeh mayyat Allah Ta'ala ke azab mein giraftar hai) chunanche unhon ne ise yunhi (zameen par) daal diya.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| أنس بن مالك الأنصاري، أبو حمزة، أبو النضر | صحابي | |
| عبد العزيز بن صهيب البناني، أبو حمزة | ثقة | |
| عبد الوارث بن سعيد العنبري، أبو عبيدة | ثقة ثبت | |
| عبد الله بن عمر التميمي، أبو معمر | ثقة ثبت قدري |
Referencing of the Hadith:
Book Name | Number | Short Arabic Text |
|---|---|---|
صحيح البخاري |
3617
| يكتب للنبي فعاد نصرانيا فكان يقول ما يدري محمد إلا ما كتبت له |
صحيح مسلم | 7040 | يكتب لرسول الله فانطلق هاربا حتى لحق بأهل الكتاب قال فرفعوه قالوا هذا قد كان يكتب لمحمد فأعجبوا به فما لبث أن قصم الله عنقه فيهم فحفروا له فواروه فأصبحت الأرض قد نبذته على وجهها ثم عادوا فحفروا له فواروه فأصبحت الأرض قد نبذته على وجهها |