الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المناقب
Kitab: Fazeelaton ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {يا أيها الناس إنا خلقناكم من ذكر وأنثى وجعلناكم شعوبا وقبائل لتعارفوا إن أكرمكم عند الله أتقاكم} :
Bab: Allah Taala ka (Surah Al-Hujurat mein) irshad“Ay logo! Hum ne tum sab ko ek hi mard Adam aur ek hi aurat Hawwa se paida kiya hai aur tum ko mukhtalif qaumein aur khandanan bana diya hai taake tum butaur rishta-dari ek doosre ko pehchaan sako, beshak tum sab mein se Allah ke nazdeek mu’azzaz-tar woh hai jo zyada parhezgaar ho”.
Hadith Number: Q3489
وقوله: {واتقوا الله الذي تساءلون به والارحام إن الله كان عليكم رقيبا}. وما ينهى عن دعوى الجاهلية الشعوب النسب البعيد والقبائل دون ذلك.
Aur Allah Ta'ala ka Surah Nisa mein irshad «wat-taqullah-allazi tasa-aluna bihi wal-arhama innallaha kana alaikum raqiban» "Aur Allah se daro jis ka naam le kar tum ek doosre se maangte ho aur nata torne se daro. Beshak Allah tumhare upar nigraan hai, aur Jahilliyat ki tarah baap dadon par fakhr karna mana hai, is ka bayan «shu-ubun» , «sha-bin» ki jama hai jis se upar ka khandan murad hai aur «qabailu» is se utar kar neeche ka yani is ki shakh murad hai
.
.
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 3489
حدثنا خالد بن يزيد الكاهلي، حدثنا ابو بكر، عن ابي حصين، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما" وجعلناكم شعوبا وقبائل لتعارفوا سورة الحجرات آية 13، قال: الشعوب: القبائل العظام، والقبائل: البطون".
Hum se Khalid Bin Yazid Al-Kahili ne bayan kiya, kaha hum se Abu Bakr Bin Ayash ne bayan kiya, un se Abu Hasin (Usman Bin Asim) ne, un se Saeed Bin Jubair ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne aayat «wa ja-alnakum shu-uban wa qabaila» ke mutaliq farmaya ke «shu-ubun» bare qabilon ke maani mein hai aur «qabailu» se kisi bare qabile ki shakhein murad hain
.
.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| عبد الله بن العباس القرشي، أبو العباس | صحابي | |
| سعيد بن جبير الأسدي، أبو محمد، أبو عبد الله | ثقة ثبت | |
| عثمان بن عاصم الأسدي، أبو الحصين | ثقة ثبت سنى | |
| أبو بكر بن عياش الأسدي، أبو بكر | صدوق حسن الحديث | |
| خالد بن يزيد الأسدي، أبو الهيثم | صدوق حسن الحديث |