الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الوصايا
Kitab: Wasiyaton ke masail ka bayan
باب إذا قال أرضي أو بستاني صدقة عن أمي. فهو جائز، وإن لم يبين لمن ذلك:
Bab: Kisi ne kaha ke meri zameen ya mera bagh meri (marhooma) maa ki taraf se sadaqa hai to ye bhi jaiz hai khwah is mein bhi is ki wazahat na ki ho ke kis ke liye sadaqa hai.
Hadith Number: Q2756-3
لان عمر رضي الله عنه اوقف، وقال: لا جناح على من وليه ان ياكل ولم يخص، إن وليه عمر، او غيره، قال النبي صلى الله عليه وسلم لابي طلحة:" ارى ان تجعلها في الاقربين، فقال: افعل، فقسمها في اقاربه وبني عمه".
Is liye ke Umar (Radi Allahu Anhu) ne (Khaibar ki apni zameen) waqf ki aur farmaya ke agar is mein se is ka mutawalli bhi khaye to koi mazaqa nahi hai. Yahan aap ne is ki koi takhsees nahi ki thi ke khud aap hi is ke mutawalli hon ge ya koi doosra. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Abu Talhah (Radi Allahu Anhu) se farmaya tha ke mera khayal hai ke tum apni zameen (bagh Bir-ha sadqa karna chahte ho to) apne azeezon ko de do. Unhon ne arz kiya ke mein aisa hi karoon ga. Chunancha unhon ne apne azeezon aur chacha ke larkon mein baant diya
.
.
تخریج الحدیث:
Hadith Number: Q2756-2
قال النبي صلى الله عليه وسلم لابي طلحة حين قال احب اموالي إلي بيرحاء، وإنها صدقة لله، فاجاز النبي صلى الله عليه وسلم ذلك. وقال بعضهم لا يجوز حتى يبين لمن والاول اصح.
Jab Abu Talhah (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke mere amwal mein mujhe sab se zyada pasandida Bir-ha ka bagh hai aur wo Allah ke raste mein sadqa hai to Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ise jaiz qarar diya tha (halankey unhon ne koi tayeun nahi ki thi ke wo ye kise dein ge) lekin baaz log (Shafi'iyah) ne kaha ke jab tak ye na bayan kar de ke sadqa kis liye hai, jaiz nahi hoga aur pehla qaul zyada sahih hai
.
.
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 2756
حدثنا محمد بن سلام، اخبرنا مخلد بن يزيد، اخبرنا ابن جريج، قال: اخبرني يعلى، انه سمع عكرمة، يقول: انبانا ابن عباسرضي الله عنهما، ان سعد بن عبادة رضي الله عنه توفيت امه وهو غائب عنها، فقال: يا رسول الله، إن امي توفيت وانا غائب عنها، اينفعها شيء إن تصدقت به عنها؟ قال: نعم، قال: فإني اشهدك ان حائطي المخراف صدقة عليها".
Hum se Muhammad Bin Salam ne bayan kiya, kaha hum ko Makhlad Bin Yazid ne khabar di, unhein Ibn Juraij ne khabar di, kaha ke mujhe Ya'la Bin Muslim ne khabar di, unhon ne Akrimah se suna, wo bayan karte thay ke humein Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne khabar di ke Saad Bin Ubadah (Radi Allahu Anhu) ki maan Amrah Bint-e-Masood ka intiqal hua to wo in ki khidmat mein maujood nahi thay. Unhon ne aa kar Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se poocha ya Rasul Allah! Meri walida ka jab intiqal hua to mein in ki khidmat mein hazir nahi tha. Kya agar mein koi cheez sadqa karoon to is se unhein faida pahunch sakta hai? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne isbat mein jawab diya to unhon ne kaha ke mein aap ko gawah banata hoon ke mera Mikhraf nami bagh in ki taraf se sadqa hai
.
.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Referencing of the Hadith:
Book Name | Number | Short Arabic Text |
|---|---|---|
صحيح البخاري |
2756
| أشهدك أن حائطي المخراف صدقة عليها |
صحيح البخاري |
2762
| أشهدك أن حائطي المخراف صدقة عليها |
صحيح البخاري |
2770
| أمه توفيت أينفعها إن تصدقت عنها قال نعم قال فإن لي مخرافا وأشهدك أني قد تصدقت به عنها |
جامع الترمذي | 669 | أمي توفيت أفينفعها إن تصدقت عنها قال نعم قال فإن لي مخرفا فأشهدك أني قد تصدقت به عنها |
سنن أبي داود | 2882 | أمي توفيت أفينفعها إن تصدقت عنها فقال نعم قال فإن لي مخرفا وإني أشهدك أني قد تصدقت به عنها |
سنن النسائى الصغرى | 3684 | أفأتصدق عنها قال نعم |
سنن النسائى الصغرى | 3685 | أفينفعها إن تصدقت عنها قال نعم |