الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الإجارة
Kitab: Ujrat ke masail ka bayan
باب هل يؤاجر الرجل نفسه من مشرك فى أرض الحرب:
Bab: Kya koi muslim Dar al-Harb mein kisi mushrik ki mazdoori kar sakta hai?
Hadith Number: 2275
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، عن مسلم، عن مسروق، حدثنا خباب، قال:" كنت رجلا قينا، فعملت للعاص بن وائل، فاجتمع لي عنده، فاتيته اتقاضاه، فقال: لا، والله لا اقضيك حتى تكفر بمحمد، فقلت: اما والله حتى تموت ثم تبعث فلا، قال: وإني لميت ثم مبعوث، قلت: نعم، قال: فإنه سيكون لي، ثم مال وولد فاقضيك، فانزل الله تعالى: افرايت الذي كفر بآياتنا وقال لاوتين مالا وولدا سورة مريم آية 77".
Hum se Umar Bin Hafs Bin Ghiyath ne bayan kiya, kaha ke mujh se mere baap ne bayan kiya, un se Aamash ne bayan kiya, un se Muslim Bin Subaih ne, un se Masruq ne, un se Khabbab Bin Arat (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mein lohar tha, mein ne Aas Bin Wail (mushrik) ka kaam kiya. Jab meri bahut si mazdoori us ke sar charh gayi to mein us ke paas taqaza karne aya, wo kehne laga ke Allah ki qasam! mein tumhari mazdoori us waqt tak nahi donga jab tak tum Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) se na phir jao. Mein ne kaha, Allah ki qasam! ye to us waqt bhi na hoga jab tu mar ke dobara zinda hoga. Us ne kaha, kya mein marne ke baad phir dobara zinda kiya jaonga ? Mein ne kaha ke han! is par wo bola phir kya hai. Wahin mere paas maal aur aulad hogi aur wahin mein tumhara qarz ada kar donga. Is par Quran Majeed ki ye ayat nazil hui «أفرأيت الذي كفر بآياتنا وقال لأوتين مالا وولدا» ”Ay Paighambar! kya tu ne is shakhs ko dekha jis ne humari aayaton ka inkar kiya, aur kaha ke mujhe zaroor wahan maal-o-aulad di jaye gi.“
.
.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| خباب بن الأرت التميمي، أبو عبد الله | صحابي | |
| مسروق بن الأجدع الهمداني، أبو عائشة | ثقة | |
| مسلم بن صبيح الهمداني، أبو الضحى | ثقة | |
| سليمان بن مهران الأعمش، أبو محمد | ثقة حافظ | |
| حفص بن غياث النخعي، أبو عمر | ثقة | |
| عمر بن حفص النخعي، أبو حفص | ثقة |