الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحج
Kitab: Hajj ke masail ka bayan
باب الجمع بين الصلاتين بعرفة:
Bab: Arafat mein do namazon (zuhr aur asr) ko mila kar parhna
Hadith Number: Q1662
وكان ابن عمر رضي الله عنهما إذا فاتته الصلاة مع الإمام جمع بينهما.
Aur Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ki agar namaz Imam ke sath chhoot jati to bhi jama karte
.
.
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 1662
وقال الليث: حدثني عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني سالم، ان الحجاج بن يوسف عام نزل بابن الزبير رضي الله عنهما سال عبد الله رضي الله عنه، كيف تصنع في الموقف يوم عرفة؟ , فقال سالم: إن كنت تريد السنة فهجر بالصلاة يوم عرفة , فقال عبد الله بن عمر: صدق، إنهم كانوا يجمعون بين الظهر والعصر في السنة، فقلت لسالم: افعل ذلك رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال سالم: وهل تتبعون في ذلك إلا سنته.
Laith ne bayan kiya ke mujh se Aqeel ne Ibn Shihab se bayan kiya, unhon ne kaha ke mujhe Salim ne khabar di ke Hajjaj Bin Yusuf jis saal Abdullah Bin Zubair (Radi Allahu Anhuma) se larne ke liye Makkah mein utra to is moqa par is ne Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) se poocha ke Arafa ke din wuquf mein aap kya karte thay? Is par Salim (Rahimahullah) bole ke agar tu sunnat par chalna chahta hai to Arafa ke din namaz dopahar dhalte hi parh lena. Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne farmaya ke Salim ne sach kaha, Sahaba (Radi Allahu Anhum) Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki sunnat ke mutabiq Zohar aur Asr ek hi sath parhte thay. Mein ne Salim se poocha ke kya Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne bhi isi tarah kiya tha? Salim ne farmaya aur kis ki sunnat par is masle mein chalte ho
.
.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة