الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحج
Kitab: Hajj ke masail ka bayan
باب التهجير بالرواح يوم عرفة:
Bab: Arafah ke din garmi mein dopahar ko rawana hona
Show diacritics
Hadith Number: 1660
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن سالم، قال:" كتب عبد الملك إلى الحجاج ان لا يخالف ابن عمر في الحج، فجاء ابن عمر رضي الله عنه وانا معه يوم عرفة حين زالت الشمس فصاح عند سرادق الحجاج، فخرج وعليه ملحفة معصفرة، فقال: ما لك يا ابا عبد الرحمن؟ فقال الرواح: إن كنت تريد السنة، قال: هذه الساعة، قال: نعم، قال: فانظرني حتى افيض على راسي ثم اخرج، فنزل حتى خرج الحجاج فسار بيني وبين ابي، فقلت إن كنت تريد السنة فاقصر الخطبة، وعجل الوقوف"، فجعل ينظر إلى عبد الله، فلما راى ذلك عبد الله، قال: صدق.
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha ke hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Ibn Shihab ne aur un se Salim ne bayan kiya ke Abdul Malik Bin Marwan ne Hajjaj Bin Yusuf ko likha ke Haj ke ahkam mein Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ke khilaf na kare. Salim ne kaha ke Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) Arafa ke din sooraj dhalte hi tashreef laye mein bhi un ke sath tha. Aap ne Hajjaj ke khaime ke paas buland awaz se pukara. Hajjaj bahar nikla is ke badan mein ek kusum mein rangi hui chadar thi. Is ne poocha Abu Abdul Rahman! Kya baat hai? Aap ne farmaya agar sunnat ke mutabiq amal chahte ho to jaldi uth kar chal khare ho jao. Is ne kaha kya isi waqt? Abdullah ne farmaya ke haan isi waqt. Hajjaj ne kaha ke phir thori si muhlat dijiye ke mein apne sar par pani daal loon yani ghusl kar loon phir nikalta hoon. Is ke baad Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) (sawari se) utar gaye aur jab Hajjaj bahar aaya to mere aur walid (Ibn Umar) ke darmiyan chalne laga to mein ne kaha ke agar sunnat par amal ka irada hai to khutba mein ikhtisar aur wuquf (Arafat) mein jaldi karna. Is baat par wo Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ki taraf dekhne laga Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne kaha ke ye sach kehta hai
.


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
عبد الله بن عمر العدوي، أبو عبد الرحمنصحابي
سالم بن عبد الله العدوي، أبو عبيد الله، أبو عبد الله، أبو عمرثقة ثبت
محمد بن شهاب الزهري، أبو بكرالفقيه الحافظ متفق على جلالته وإتقانه
مالك بن أنس الأصبحي، أبو عبد اللهرأس المتقنين وكبير المتثبتين
عبد الله بن يوسف الكلاعي، أبو محمدثقة متقن من أثبت الناس في الموطأ