الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحج
Kitab: Hajj ke masail ka bayan
باب طواف النساء مع الرجال:
Bab: Auraten bhi mardon ke sath tawaf karen
Show diacritics
Hadith Number: 1618
وقال لي عمرو بن علي، حدثنا ابو عاصم، قال: ابن جريج اخبرنا، قال: اخبرني عطاء،" إذ منع ابن هشام النساء الطواف مع الرجال، قال: كيف يمنعهن وقد طاف نساء النبي صلى الله عليه وسلم مع الرجال؟ قلت: ابعد الحجاب او قبل، قال: إي لعمري، لقد ادركته بعد الحجاب، قلت: كيف يخالطن الرجال؟ , قال: لم يكن يخالطن، كانت عائشة رضي الله عنها تطوف حجرة من الرجال لا تخالطهم، فقالت امراة: انطلقي نستلم يا ام المؤمنين، قالت: انطلقي عنك، وابت كن يخرجن متنكرات بالليل فيطفن مع الرجال، ولكنهن كن إذا دخلن البيت قمن حتى يدخلن واخرج الرجال، وكنت آتي عائشة انا وعبيد بن عمير وهي مجاورة في جوف ثبير، قلت: وما حجابها، قال: هي في قبة تركية لها غشاء وما بيننا وبينها غير ذلك، ورايت عليها درعا موردا".
Imam Bukhari rahmahu Allah ne kaha ke mujh se Amru bin Ali ne byaan kiya , kaha ke hum se Abu Asim ne byaan kiya , un se Ibn Juraij ne byaan kiya aur unhein Ata ne khabar di ke jab Ibn Hisham (jab woh Hisham bin Abdul Malik ki taraf se Makka ka haakim tha) ne auraton ko mardon ke saath tawaf karne se mana kar diya to is se unhon ne kaha ke tum kis daleel par auraton ko is se mana kar rahe ho ? Jab ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki paak biwiyon ne mardon ke saath tawaf kiya tha . Ibn Juraij ne poocha yeh parda (ki aayat nazil hone) ke baad ka waqia hai ya is se pehle ka ? Unhon ne kaha meri umr ki qasam! Maine unhein parda (ki aayat nazil hone) ke baad dekha . Is par Ibn Juraij ne poocha ke phir mard aurat mil jul jaate thay . Unhon ne farmaya ke ikhtilaat nahi hota tha , Aisha razi Allahu anha mardon se alag reh kar ek alag kone mein tawaf karti thin , in ke saath mil kar nahi karti thin . Ek aurat (Waqra naami) ne in se kaha Umm-ul-Moomineen! Chaliye (Hajr-e-Aswad ko) bosa dein . To Aap ne inkar kar diya aur kaha tu ja choom , main nahi choomti aur azwaj-e-mutahharat raat mein parda kar ke nikalti thin ke pehchani na jaatein aur mardon ke saath tawaf karti thin . Albatta auraten jab Kaaba ke andar jaana chahti thin to andar jaane se pehle bahar khari ho jaatein aur mard bahar aa jaate (to woh andar jaatein) main aur Ubaid bin Umair Aisha razi Allahu anha ki khidmat mein is waqt hazir hue jab Aap Thabeer (pahaar) par thehri hui thin , (jo Muzdalifah mein hai) Ibn Juraij ne kaha ke maine Ata se poocha ke is waqt parda kis cheez se tha ? Ata ne bataya ke ek Turki qubba mein thehri hui thin . Is par parda para hua tha . Hamare aur in ke darmiyan is ke siwa aur koi cheez hayil na thi . Is waqt maine dekha ke in ke badan par ek gulabi rang ka kurta tha .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
عائشة بنت أبي بكر الصديق، أم عبد اللهصحابي
عطاء بن أبي رباح القرشي، أبو محمدثبت رضي حجة إمام كبير الشأن
ابن جريج المكي، أبو خالد، أبو الوليدثقة
الضحاك بن مخلد النبيل، أبو عاصمثقة ثبت
عمرو بن علي الفلاس، أبو حفصثقة حافظ