الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحج
Kitab: Hajj ke masail ka bayan
باب من طاف بالبيت إذا قدم مكة، قبل أن يرجع إلى بيته، ثم صلى ركعتين، ثم خرج إلى الصفا:
Bab: Jo shakhs (hajj ya umrah ki niyat se) makkah mein aaye to apne ghar laut jane se pehle tawaf kare phir dogana tawaf ada kare phir safa pahar par jaye
Hadith Number: 1615
حدثنا اصبغ، عن ابن وهب، اخبرني عمرو، عن محمد بن عبد الرحمن، ذكرت لعروة، قال: فاخبرتني عائشة رضي الله عنها،"ان اول شيء بدا به حين قدم النبي صلى الله عليه وسلم، انه توضا، ثم طاف، ثم لم تكن عمرة، ثم حج ابو بكر وعمر رضي الله عنهما مثله، ثم حججت مع ابي الزبير رضي الله عنه، فاول شيء بدا به الطواف، ثم رايت المهاجرين , والانصار يفعلونه، وقد اخبرتني امي انها اهلت هي , واختها والزبير وفلان وفلان بعمرة، فلما مسحوا الركن حلوا.
Hum se Asbagh bin Faraj ne byaan kiya , un se Abdullah bin Wahab ne byaan kiya ke mujhe Amru bin Harith ne Muhammad bin Abdul Rahman Abul Aswad se khabar di , unhon ne kaha ke maine Urwah se (Hajj ka masla) poocha to unhon ne farmaya ke Aisha razi Allahu anha ne mujhe khabar di thi ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab (Makka) tashreef laye to sab se pehla kaam Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh kiya ke wazu kiya phir tawaf kiya aur tawaf karne se Umrah nahi hua . Is ke baad Abu Bakr aur Umar razi Allahu anhuma ne bhi isi tarah Hajj kiya . Phir Urwah ne kaha ke maine apne walid Zubayr razi Allahu anhu ke saath Hajj kiya , unhon ne bhi sab se pehle tawaf kiya . Muhajireen aur Ansar ko bhi maine isi tarah karte dekha tha . Meri walida (Asma bint Abi Bakr razi Allahu anhuma) ne bhi mujhe bataya ke unhon ne apni behen (Aisha razi Allahu anha) aur Zubayr aur falan falan ke saath Umrah ka ahram baandha tha . Jab in logon ne Hajr-e-Aswad ko bosa de liya to ahram khool dala tha .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| عائشة بنت أبي بكر الصديق، أم عبد الله | صحابي | |
| عروة بن الزبير الأسدي، أبو عبد الله | ثقة فقيه مشهور | |
| محمد بن عبد الرحمن الأسدي، أبو الأسود | ثقة | |
| عمرو بن الحارث الأنصاري، أبو أيوب، أبو أمية | ثقة فقيه حافظ | |
| عبد الله بن وهب القرشي، أبو محمد | ثقة حافظ | |
| أصبغ بن الفرج الأموي، أبو عبد الله | ثقة |