الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحج
Kitab: Hajj ke masail ka bayan
باب الطيب عند الإحرام وما يلبس إذا أراد أن يحرم ويترجل ويدهن:
Ihraam baandhne ke waqt khushboo lagana aur ihraam ke iraada ke waqt kya pehnna chahiye aur kanghi kare aur tel lagaaye.
Hadith Number: Q1537
وقال ابن عباس رضي الله عنهما: يشم المحرم الريحان , وينظر في المرآة , ويتداوى بما ياكل الزيت والسمن , وقال عطاء: يتختم ويلبس الهميان وطاف ابن عمر رضي الله عنهما وهو محرم وقد حزم على بطنه بثوب ولم تر عائشة رضي الله عنها بالتبان باسا للذين يرحلون هودجها.
Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne farmaya ke muhrim khushbu-dar phool soongh sakta hai . Isi tarah aaina dekh sakta hai aur in cheezon ko jo khayi jati hain bataur dawa bhi istemal kar sakte hain . Maslan zaitoon ka tail aur ghee waghera . Aur Ata ne farmaya ke muhrim angoothi pehan sakta hai aur hamyani baandh sakta hai . Ibn Umar razi Allahu anhuma ne tawaf kiya is waqt Aap muhrim thay lekin pait par ek kapra baandha rakha tha . Aisha razi Allahu anha ne jaang-ye mein koi muzaiqa nahi samjha tha . Abu Abdullah (Imam Bukhari rahmatullah alaihi) ne kaha ke Aisha razi Allahu anha ki muraad is hukm se in logon ke liye thi jo in ke haudaj ko oont par kasa karte thay .
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 1537
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن منصور، عن سعيد بن جبير، قال:" كان ابن عمر رضي الله عنهما يدهن بالزيت، فذكرته لإبراهيم، قال: ما تصنع؟ , بقوله:
Hum se Muhammad bin Yusuf Faryabi ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan Thauri ne byaan kiya , un se Mansoor ne , un se Saeed bin Jubair ne byaan kiya ke Ibn Umar razi Allahu anhuma sada tail istemal karte thay (ahram ke bawajood) maine is ka zikr Ibrahim Nakh'ee se kiya to unhon ne farmaya ke tum Ibn Umar razi Allahu anhuma ki baat naqal karte ho .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| إبراهيم النخعي، أبو عمران | ثقة | |
| منصور بن المعتمر السلمي، أبو عتاب | ثقة ثبت | |
| سفيان الثوري، أبو عبد الله | ثقة حافظ فقيه إمام حجة وربما دلس | |
| محمد بن يوسف الفريابي، أبو عبد الله | ثقة |