الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الزكاة
Kitab: Zakat ke masail ka bayan
باب الصدقة على اليتامى:
Yateemon par sadaqa karna bada sawab hai.
Hadith Number: 1465
حدثنا معاذ بن فضالة، حدثنا هشام، عن يحيى، عن هلال بن ابي ميمونة، حدثنا عطاء بن يسار، انه سمع ابا سعيد الخدري رضي الله عنه يحدث،" ان النبي صلى الله عليه وسلم جلس ذات يوم على المنبر وجلسنا حوله , فقال: إني مما اخاف عليكم من بعدي ما يفتح عليكم من زهرة الدنيا وزينتها، فقال رجل: يا رسول الله، اوياتي الخير بالشر؟ فسكت النبي صلى الله عليه وسلم، فقيل له: ما شانك تكلم النبي صلى الله عليه وسلم ولا يكلمك، فراينا انه ينزل عليه، قال: فمسح عنه الرحضاء، فقال: اين السائل؟ وكانه حمده , فقال: إنه لا ياتي الخير بالشر وإن مما ينبت الربيع يقتل او يلم إلا آكلة الخضراء , اكلت حتى إذا امتدت خاصرتاها استقبلت عين الشمس فثلطت وبالت ورتعت، وإن هذا المال خضرة حلوة فنعم صاحب المسلم ما اعطى منه المسكين , واليتيم , وابن السبيل او كما قال النبي صلى الله عليه وسلم، وإنه من ياخذه بغير حقه كالذي ياكل ولا يشبع ويكون شهيدا عليه يوم القيامة".
Hum se Maaz bin Fadhalah ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se Hisham Dastawai ne ‘ Yahya se byaan kiya . Un se Hilal bin Abi Maimoonah ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Ata bin Yasaar ne byaan kiya ‘ aur unhon ne Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu se suna ‘ woh kehte thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ek din mimbar par tashreef farma hue . Hum bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam ke ard-gird baith gaye . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main tumhare mutalliq is baat se darta hoon ke tum par duniya ki khush'haali aur is ki zebaish-o-araish ke darwaze khool diye jayeinge . Ek shakhs ne arz kiya . Ya Rasool Allah! Kya acchayi burayi paida kare gi ? Is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam khamosh ho gaye . Is liye us shakhs se kaha jaane laga ke kya baat thi . Tum ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ek baat poochi lekin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam tum se baat nahi karte . Phir hum ne mehsoos kiya ke Aap salla Allahu alaihi wasallam par wahi nazil ho rahi hai . Byaan kiya ke phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne paseena saaf kiya (jo wahi nazil hote waqt Aap salla Allahu alaihi wasallam ko aane lagta tha) phir poocha ke sawal karne wale sahib kahan hain . Hum ne mehsoos kiya ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne us ke (sawal ki) tareef ki . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke acchayi burayi nahi paida karti (magar be-mauqa istemal se burayi paida hoti hai) kyunke mausam-e-bahar mein baaz aisi ghaas bhi ugti hain jo jaan-lewa ya takleef-deh saabit hoti hain . Albatta haryali charne wala woh jaanwar bach jata hai ke khoob charta hai aur jab is ki dono kokhein bhar jati hain to sooraj ki taraf rukh kar ke pakhana peshab kar deta hai aur phir charta hai . Isi tarah yeh maal o daulat bhi ek khushgawar sabzazaar hai . Aur musalman ka woh maal kitna umda hai jo miskeen ‘ yateem aur musafir ko diya jaye . Ya jis tarah Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne irshad farmaya . Haan agar koi shakhs zakat haqdar hone ke baghair leta hai to is ki misal aise shakhs ki si hai jo khata hai lekin us ka pait nahi bharta . Aur Qayamat ke din yeh maal is ke khilaf gawah ho ga .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| أبو سعيد الخدري، أبو سعيد | صحابي | |
| عطاء بن يسار الهلالي، أبو محمد | ثقة | |
| هلال بن أبي ميمونة القرشي | ثقة | |
| يحيى بن أبي كثير الطائي، أبو نصر | ثقة ثبت لكنه يدلس ويرسل | |
| هشام بن أبي عبد الله الدستوائي، أبو بكر | ثقة ثبت وقد رمي بالقدر | |
| معاذ بن فضالة الزهراني، أبو زيد | ثقة |