الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجنائز
Kitab: Janaze ke ahkam o masail
باب إذا أسلم الصبي فمات هل يصلى عليه وهل يعرض على الصبي الإسلام:
Ek bacha Islam laya phir us ka intiqaal ho gaya, to kya us ki namaz janaza parhi jaayegi? Aur kya bache ke saamne Islam ki dawat pesh ki ja sakti hai?
Show diacritics
Hadith Number: 1355
وقال سالم: سمعت ابن عمر رضي الله عنهما , يقول: انطلق بعد ذلك رسول الله صلى الله عليه وسلم وابي بن كعب إلى النخل التي فيها ابن صياد، وهو يختل ان يسمع من ابن صياد شيئا قبل ان يراه ابن صياد، فرآه النبي صلى الله عليه وسلم وهو مضطجع يعني: في قطيفة له فيها رمزة او زمرة، فرات ام ابن صياد رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو يتقي بجذوع النخل، فقالت لابن صياد: يا صاف وهو اسم ابن صياد هذا محمد صلى الله عليه وسلم، فثار ابن صياد , فقال: النبي صلى الله عليه وسلم لو تركته بين، وقال شعيب في حديثه: فرفصه رمرمة او زمزمة، وقال إسحاق الكلبي وعقيل: رمرمة، وقال معمر: رمزة.
Aur Salim ne kaha ke main ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se suna woh kehte thay phir ek din Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aur Ubayy bin Ka'ab razi Allahu anhu donon mil kar in khajoor ke darakhton mein gaye . Jahan Ibn Sayyad tha (Aap salla Allahu alaihi wasallam chahte thay ke Ibn Sayyad Aap ko na dekhe aur) is se pehle ke woh Aap ko dekhe Aap salla Allahu alaihi wasallam ghaflat mein is se kuch baatein sun lein . Aakhir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is ko dekh liya . Woh ek chadar orhay para tha . Kuch gun-gun ya phun-phun kar raha tha . Lekin mushkil yeh hui ke Ibn Sayyad ki maan ne door hi se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko dekh liya . Aap salla Allahu alaihi wasallam khajoor ke tanoon mein chhup-chhup kar ja rahe thay . Us ne pukar kar Ibn Sayyad se keh diya Saf! yeh naam Ibn Sayyad ka tha . Dekho Muhammad aan pahunche . Yeh sunte hi woh uth khara hua . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya kaash is ki maan Ibn Sayyad ko baatein karne deti to woh apna haal kholta . Shuayb ne apni riwayat mein «ramramah farfasa» aur Aqeel ne «ramramah» naqal kiya hai aur Mamar ne «ramzah» kaha hai .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
معمر بن أبي عمرو الأزدي، أبو عروةثقة ثبت فاضل
عقيل بن خالد الأيلي، أبو خالدثقة ثبت
إسحاق بن يحيى العوصي، أبو محمدصدوق حسن الحديث