الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجنائز
Kitab: Janaze ke ahkam o masail
باب ما ينهى من الحلق عند المصيبة:
Bab: Ghami ke waqt sar mundwane ki mamanu’at.
Hadith Number: 1296
وقال الحكم بن موسى: حدثنا يحيى بن حمزة عن عبد الرحمن بن جابر ان القاسم بن مخيمرة حدثه , قال: حدثني ابو بردة بن ابي موسى رضي الله عنه , قال: وجع ابو موسى وجعا شديدا فغشي عليه وراسه في حجر امراة من اهله فلم يستطع ان يرد عليها شيئا , فلما افاق قال: انا بريء ممن برئ منه رسول الله صلى الله عليه وسلم إن رسول الله صلى الله عليه وسلم برئ من: الصالقة , والحالقة , والشاقة
Aur Hakam bin Musa ne byaan kiya ke hum se Yahya bin Hamzah ne byaan kiya , un se Abdur Rahman bin Jabir ne ke Qasim bin Mukhaimirah ne un se byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Abu Burdah bin Abu Musa ne byaan kiya ke Abu Musa Ashari razi Allahu anhu bimar pare ‘ aise ke un par ghashi tari thi aur un ka sar un ki ek biwi Umm Abdullah bint Abi Raumah ki god mein tha (woh ek zor ki cheekh maar kar rone lagi) Abu Musa razi Allahu anhu is waqt kuch bol na sake lekin jab un ko hosh hua to unhon ne farmaya ke main bhi is kaam se bezaar hoon jis se Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne bezari ka izhaar farmaya . Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne (kisi gham ke waqt) chilla kar rone wali ‘ sar mundwane wali aur gareban chaak karne wali auraton se apni bezari ka izhaar farmaya tha .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة