الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجنائز
Kitab: Janaze ke ahkam o masail
باب فى الجنائز، ومن كان آخر كلامه لا إله إلا الله:
Bab: Janazon ke bab mein jo hadeesen aayi hain un ka bayan aur jis shakhs ka aakhri kalam La ilaha illallah ho, us ka bayan.
Hadith Number: Q1237
وقيل لوهب بن منبه اليس لا إله إلا الله مفتاح الجنة قال بلى ولكن ليس مفتاح إلا له اسنان فإن جئت بمفتاح له اسنان فتح لك وإلا لم يفتح لك.
Aur Wahb bin Munabbih rahimahullah se kaha gaya ke kya «la ilaha illallah» Jannat ki kunji nahin hai ? To unhon ne farmaya ke zaroor hai lekin koi kunji aisi nahin hoti jis mein dandane na hon . Is liye agar tum dandane wali kunji lao ge to taala (qufl) khule ga warna nahin khule ga .
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 1237
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا مهدي بن ميمون، حدثنا واصل الاحدب، عن المعرور بن سويد، عن ابي ذر رضي الله عنه , قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اتاني آت من ربي فاخبرني او قال بشرني انه من مات من امتي لا يشرك بالله شيئا دخل الجنة , قلت: وإن زنى وإن سرق، قال: وإن زنى وإن سرق".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha ke hum se Mahdi bin Maymoon ne , kaha ke hum se Wasil bin Hayyan Ahdab (kubray) ne , un se Maroor bin Suwayd ne byaan kiya aur un se Abu Zar Ghifari razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya (ke khwab mein) mere paas mere Rab ka ek aane wala (farishta) aaya . Us ne mujhe khabar di , ya Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh farmaya ke us ne mujhe khushkhabri di ke meri ummat mein se jo koi is haal mein mare ke Allah Ta'ala ke saath us ne koi shareek na thehraya ho to woh Jannat mein jaye ga . Is par main ne poocha agarchay us ne zina kiya ho , agarchay us ne chori ki ho ? To Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke han agarchay zina kiya ho agarchay chori ki ho .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| أبو ذر الغفاري، أبو ذر | صحابي | |
| المعرور بن سويد الأسدي، أبو أمية | ثقة | |
| واصل بن حيان الأحدب | ثقة ثبت | |
| مهدي بن ميمون الأزدي، أبو يحيى | ثقة | |
| موسى بن إسماعيل التبوذكي، أبو سلمة | ثقة ثبت |