الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التهجد
Kitab: Tahajjud ka bayan
باب صلاة الضحى فى الحضر:
Bab: Chasht ki namaz apne shehr mein parhe.
Show diacritics
Hadith Number: 1179
حدثنا علي بن الجعد، اخبرنا شعبة، عن انس بن سيرين , قال: سمعت انس بن مالك الانصاري , قال:" قال رجل من الانصار وكان ضخما للنبي صلى الله عليه وسلم: إني لا استطيع الصلاة معك؟ فصنع للنبي صلى الله عليه وسلم طعاما فدعاه إلى بيته، ونضح له طرف حصير بماء فصلى عليه ركعتين , وقال: فلان بن فلان بن جارود، لانس رضي الله عنه، اكان النبي صلى الله عليه وسلم يصلي الضحى؟ , فقال: ما رايته صلى غير ذلك اليوم".
Hum se Ali bin Jad ne byaan kiya ke hum ko Shubah ne khabar di , un se Anas bin Sirin ne byaan kiya ke mein ne Anas bin Malik Ansari razi Allahu anhu se suna ke Ansar mein se ek shakhs (Utban bin Malik) ne jo bohat mote aadmi thay , Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se arz kiya ke mein Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saath namaaz parhne ki taqat nahin rakhta (mujh ko ghar par namaaz parhne ki ijazat dijiye to) unhon ne apne ghar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke liye khana pakwaya aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ko apne ghar bulaya aur ek chatayi ke kinare ko Aap salla Allahu alaihi wasallam ke liye paani se saaf kiya , Aap salla Allahu alaihi wasallam ne us par do rakat namaaz parhi . Aur falan bin falan bin Jarood ne Anas razi Allahu anhu se poocha ke kya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam chasht ki namaaz parha karte thay ? To Aap ne farmaya ke mein ne is roz ke siwa Aap salla Allahu alaihi wasallam ko kabhi yeh namaaz parhte nahin dekha .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
أنس بن مالك الأنصاري، أبو حمزة، أبو النضرصحابي
أنس بن سيرين الأنصاري، أبو موسى، أبو عبد الله، أبو حمزةثقة
شعبة بن الحجاج العتكي، أبو بسطامثقة حافظ متقن عابد
علي بن الجعد الجوهري، أبو الحسنثقة ثبت رمي بالتشيع