الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا كَانَ يَبْعَثُ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مِنَ الأُمَرَاءِ وَالرُّسُلِ وَاحِدًا بَعْدَ وَاحِدٍ:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka aamilon aur qaasidon ko yake baad digare bhejna.
Show diacritics
Hadith Number: Q7264
وقال ابن عباس بعث النبي صلى الله عليه وسلم دحية الكلبي بكتابه إلى عظيم بصرى ان يدفعه إلى قيصر
`Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Dihya Kalbi Radi Allahu Anhu ko apne khat ke saath Azeem-e-Busra ke paas bheja ke wo yeh khat Qaisar Shah-e-Room tak pahuncha de.


Show diacritics
Hadith Number: 7264
حدثنا يحيى بن بكير، حدثني الليث، عن يونس، عن ابن شهاب، انه قال: اخبرني عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، ان عبد الله بن عباس، اخبره، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" بعث بكتابه إلى كسرى، فامره ان يدفعه إلى عظيم البحرين يدفعه عظيم البحرين إلى كسرى، فلما قراه كسرى مزقه، فحسبت ان ابن المسيب، قال: فدعا عليهم رسول الله صلى الله عليه وسلم ان يمزقوا كل ممزق.
`Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Yunus ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, unhein Ubaidullah bin Abdullah bin Utba ne khabar di, unhein Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhuma ne khabar di ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne Kisra Parvez Shah-e-Iran ko khat bheja aur qasid Abdullah bin Huzafa Radi Allahu Anhu ko hukm diya ke khat Bahrain ke governor Munzir bin Sawi ke hawale karein wo ise Kisra tak pahunchaye ga. Jab Kisra ne wo khat parha to ise phaad diya. Mujhe yaad hai ke Said bin al-Musayyib ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne ise bad-dua di ke Allah unhein bhi tukde tukde kar de.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7265
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن يزيد بن ابي عبيد، حدثنا سلمة بن الاكوع، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال لرجل من اسلم:" اذن في قومك، او في الناس يوم عاشوراء ان من اكل فليتم بقية يومه، ومن لم يكن اكل فليصم".
`Hum se Masaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya Qattan ne bayan kiya, un se Yazid bin Abi Ubaid ne, un se Salama bin al-Akwa Radi Allahu Anhu ne ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne qabila-e-Aslam ke ek sahab Hind bin Asma se farmaya ke apni qaum mein ya logon mein elaan kar do Ashoora ke din ke jis ne kha liya ho wo apna baqiya din (be-khaye) poora kare aur jis ne na khaya ho wo roza rakkhe.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ وَصَاةِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وُفُودَ الْعَرَبِ أَنْ يُبَلِّغُوا مَنْ وَرَاءَهُمْ:
Wufood Arab ko Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ki yeh wasiyyat ke un logon ko jo maujood nahin hain deen ki baatein pahuncha den.
Show diacritics
Hadith Number: Q7266
قاله مالك بن الحويرث
Yeh Malik bin Huwairis Radi Allahu Anhu ne naql kiya hai.


Show diacritics
Hadith Number: 7266
حدثنا علي بن الجعد، اخبرنا شعبة. ح وحدثني إسحاق، اخبرنا النضر، اخبرنا شعبة، عن ابي جمرة، قال: كان ابن عباس يقعدني على سريره، فقال لي: إن وفد عبد القيس لما اتوا رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: من الوفد؟، قالوا: ربيعة، قال: مرحبا بالوفد او القوم غير خزايا ولا ندامى، قالوا: يا رسول الله، إن بيننا وبينك كفار مضر، فمرنا بامر ندخل به الجنة، ونخبر به من وراءنا، فسالوا عن الاشربة، فنهاهم عن اربع، وامرهم باربع: امرهم بالإيمان بالله، قال: هل تدرون ما الإيمان بالله؟، قالوا: الله ورسوله اعلم، قال: شهادة ان لا إله إلا الله وحده لا شريك له، وان محمدا رسول الله، وإقام الصلاة، وإيتاء الزكاة، واظن فيه صيام رمضان، وتؤتوا من المغانم الخمس، ونهاهم عن الدباء، والحنتم، والمزفت، والنقير، وربما قال: المقير، قال احفظوهن وابلغوهن من وراءكم".
`Hum se Ali bin al-Jad ne bayan kiya, kaha hum ko Shu'ba ne khabar di (doosri sanad) Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha ke aur mujh se Ishaq bin Rahwayh ne bayan kiya, kaha hum ko Nazr bin Shumail ne khabar di, kaha hum ko Shu'ba ne khabar di, un se Abu Jamra ne bayan kiya ke Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma mujhe khaas apne takht par bitha lete thay. Unhon ne ek baar bayan kiya ke qabila-e-Abdul Qais ka wafd aaya jab wo log Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat mein pahunche Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne poocha kis qaum ka wafd hai? Unhon ne kaha ke Rabi'a qabila ka (Abdul Qais usi qabile ka ek shakh hai) Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke mubarak ho is wafd ko ya yun farmaya ke mubarak ho bila ruswayi aur sharmindagi uthaye aaye ho. Unhon ne kaha: ya Rasul Allah! hamare aur Aap ke beech mein Mudar kafiron ka mulk parta hai. Aap humein aisi baat ka hukm dijiye jis se hum jannat mein dakhil hon aur peeche reh jaane walon ko bhi batayein. Phir unhon ne sharab ke bartanon ke mutalliq poocha to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne unhein chaar cheezon se roka aur chaar cheezon ka hukm diya. Aap ne iman billah ka hukm diya. Daryaft farmaya jaante ho iman billah kya cheez hai? Unhon ne kaha ke Allah aur us ka Rasul zyada jaante hain. Farmaya ke gawahi dena ke Allah ke siwa aur koi mabood nahi aur Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم Allah ke Rasul hain aur namaz qaim karne ka (hukm diya) aur zakat dene ka. Mera khayal hai ke hadees mein Ramzan ke rozon ka bhi zikr hai aur ganimat mein se paanchwan hissa (Bait al-Maal) mein dena aur Aap ne unhein dubba, hantam, muzaffat aur naqeer ke bartan (jin mein Arab log sharab rakhte aur banate thay) ke istemal se mana kiya aur baaz auqat muqayyar kaha. Farmaya ke unhein yaad rakkho aur unhein pahuncha do jo nahi aa sake hain.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ خَبَرِ الْمَرْأَةِ الْوَاحِدَةِ:
Ek aurat ki khabar ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 7267
حدثنا محمد بن الوليد، حدثنا محمد بن جعفر، حدثنا شعبة، عن توبة العنبري، قال: قال لي الشعبي: ارايت حديث الحسن عن النبي صلى الله عليه وسلم وقاعدت ابن عمر؟ قريبا من سنتين او سنة ونصف فلم اسمعه يحدث عن النبي صلى الله عليه وسلم غير هذا، قال: كان ناس من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم فيهم سعد، فذهبوا ياكلون من لحم، فنادتهم امراة من بعض ازواج النبي صلى الله عليه وسلم إنه لحم ضب، فامسكوا، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" كلوا او اطعموا فإنه حلال، او قال: لا باس به شك فيه ولكنه ليس من طعامي".
`Hum se Muhammad bin al-Waleed ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad bin Jafar ne, kaha hum se Shu'ba ne, un se Tauba bin Kaisan al-Anbari ne bayan kiya ke mujh se Sha'bi ne kaha ke tum ne dekha Imam Hasan Basri Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se kitni hadees (mursalan) riwayat karte hain. Mein Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ki khidmat mein taqreeban adhai saal raha lekin mein ne un ko Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se is hadees ke siwa aur koi hadees bayan karte nahi suna. Unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke sahabah mein se kai as-hab jin mein Saad Radi Allahu Anhu bhi thay (dastar-khwan par baithe hue thay) logon ne gosht khane ke liye haath barhaya to azwaj-e-mutahharat mein se ek zauja-e-mutahhara Ummul Momineen Maimoona Radi Allahu Anha ne aagah kiya ke yeh sande ka gosht hai. Sab log khane se ruk gaye, phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke khao (Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne «Kuloo» farmaya ya «At'imoo») is liye ke halal hai ya farmaya ke is khane mein koi haraj nahi albatta yeh janwar meri khorak nahi hai, mujh ko is ke khane se ek qism ki nafrat aati hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة