الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا جَاءَ فِي إِجَازَةِ خَبَرِ الْوَاحِدِ الصَّدُوقِ فِي الأَذَانِ وَالصَّلاَةِ وَالصَّوْمِ وَالْفَرَائِضِ وَالأَحْكَامِ:
Ek sache shakhs ki khabar par azaan, namaz, roze faraiz saare ahkaam mein amal hona.
Hadith Number: 7255
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن خالد، عن ابي قلابة، عن انس رضي الله عنه، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لكل امة امين وامين هذه الامة ابو عبيدة".
`Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shu'ba ne bayan kiya, un se Khalid bin Mihran ne bayan kiya, un se Abu Qulaba ne aur un se Anas Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Har ummat mein ek amanat-dar hota hai aur is ummat ke amanat-dar Abu Ubaida ibn al-Jarrah Radi Allahu Anhu hain.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7256
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن يحيى بن سعيد، عن عبيد بن حنين، عن ابن عباس، عن عمر رضي الله عنهم، قال:" وكان رجل من الانصار إذا غاب عن رسول الله صلى الله عليه وسلم وشهدته اتيته بما يكون من رسول الله صلى الله عليه وسلم، وإذا غبت عن رسول الله صلى الله عليه وسلم وشهده اتاني بما يكون من رسول الله صلى الله عليه وسلم".
`Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hammad bin Zaid ne bayan kiya, un se Yahya bin Said ne bayan kiya, un se Ubaid bin Hunain ne bayan kiya, un se Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhuma ne ke Umar Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke qabila-e-Ansar ke ek sahab thay (Aus bin Khauli naam) jab wo Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ki majlis mein shirkat na kar sakte aur mein shareek hota to unhein aa kar Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki majlis ki khabrein batata aur jab mein Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki majlis mein shareek na ho pata aur wo shareek hote to wo aa kar Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki majlis ki khabar mujhe batate.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7257
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن زبيد، عن سعد بن عبيدة، عن ابي عبد الرحمن، عن علي رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم" بعث، جيشا وامر عليهم رجلا، فاوقد نارا، وقال: ادخلوها فارادوا ان يدخلوها، وقال آخرون: إنما فررنا منها، فذكروا للنبي صلى الله عليه وسلم، فقال للذين ارادوا ان يدخلوها: لو دخلوها لم يزالوا فيها إلى يوم القيامة، وقال للآخرين: لا طاعة في معصية، إنما الطاعة في المعروف".
`Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ghandar ne bayan kiya, kaha hum se Shu'ba ne bayan kiya, un se Zubaid ne, un se Saad bin Ubaida ne, un se Abu Abdur Rahman ne aur un se Ali Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne ek lashkar bheja aur is ka ameer ek sahab Abdullah bin Huzafa Sahmi ko banaya, phir (us ne kya kiya ke) aag jalwayi aur (lashkariyon se) kaha ke is mein dakhil ho jao. Jis par baaz logon ne dakhil hona chaha lekin kuch logon ne kaha ke hum aag hi se bhag kar aaye hain. Phir is ka zikr Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se kiya to Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne un se farmaya ke jinhon ne aag mein dakhil hone ka irada kiya tha ke agar tum is mein dakhil ho jate to is mein qayamat tak rehte. Aur doosre logon se kaha ke Allah Ta'ala ki nafarmani mein kisi ki ata'at halal nahi hai ata'at sirf naik kaamon mein hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7258
حدثنا زهير بن حرب، حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا ابي، عن صالح، عن ابن شهاب، ان عبيد الله بن عبد الله اخبره، ان ابا هريرة، وزيد بن خالد، اخبراه،" ان رجلين اختصما إلى النبي صلى الله عليه وسلم".
`Hum se Zuhair bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Yaqub bin Ibrahim ne bayan kiya, un se un ke walid ne bayan kiya, un se Salih ne, un se Ibn Shihab ne, unhein Ubaidullah bin Abdullah khabar di aur unhein Abu Hurairah aur Zaid bin Khalid Radi Allahu Anhuma ne khabar di ke do shakhs Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke paas apna jhagda laye. Doosri sanad aur Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha (tafseel aage hadees-e-zail mein hai).
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7259
حدثنا زهير بن حرب، حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا ابي، عن صالح، عن ابن شهاب، ان عبيد الله بن عبد الله اخبره، ان ابا هريرة، وزيد بن خالد، اخبراه،" ان رجلين اختصما إلى النبي صلى الله عليه وسلم".
`Hum se Zuhair bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Yaqub bin Ibrahim ne bayan kiya, un se un ke walid ne bayan kiya, un se Salih ne, un se Ibn Shihab ne, unhein Ubaidullah bin Abdullah khabar di aur unhein Abu Hurairah aur Zaid bin Khalid Radi Allahu Anhuma ne khabar di ke do shakhs Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke paas apna jhagda laye. Doosri sanad aur Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha (tafseel aage hadees-e-zail mein hai).
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7260
وحدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري اخبرني عبيد الله بن عبد الله بن عتبة بن مسعود، ان ابا هريرة قال:" بينما نحن عند رسول الله صلى الله عليه وسلم إذ قام رجل من الاعراب، فقال: يا رسول الله، اقض لي بكتاب الله، فقام خصمه، فقال: صدق يا رسول الله، اقض له بكتاب الله واذن لي، فقال له النبي صلى الله عليه وسلم، قل: فقال: إن ابني كان عسيفا على هذا والعسيف الاجير فزنى بامراته فاخبروني، ان على ابني الرجم فافتديت منه بمائة من الغنم ووليدة، ثم سالت اهل العلم فاخبروني، ان على امراته الرجم، وانما على ابني جلد مائة وتغريب عام، فقال: والذي نفسي بيده لاقضين بينكما بكتاب الله، اما الوليدة والغنم فردوها، واما ابنك فعليه جلد مائة وتغريب عام، واما انت يا انيس لرجل من اسلم فاغد على امراة هذا فإن اعترفت فارجمها، فغدا عليها انيس فاعترفت فرجمها".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, unhein Zuhri ne, kaha mujh ko Ubaidullah bin Abdullah bin Utba bin Masood ne khabar di aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke hum Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke paas maujood thay ke dehatiyon mein se ek sahab khade hue aur kaha ke ya Rasul Allah! Kitab Allah ke mutabiq mera faisla farma dijiye. Is ke baad un ka muqabil fareeq khada hua aur kaha unhon ne sahih kaha ya Rasul Allah! hamara faisla Kitab Allah ke mutabiq kar dijiye aur mujhe kehne ki ijazat dijiye. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke kaho. Unhon ne kaha ke mera larka un ke yahan mazdoori kiya karta tha, «Asif» ba-ma'ni «al-Ajeer» mazdoor hai, phir us ne un ki aurat se zina kar liya to logon ne mujhe bataya ke mere bete par rajm ki saza ho gi lekin mein ne is ki taraf se sau bakriyon aur ek baandi ka fidya diya (aur larke ko chhuda liya) phir mein ne ahl-e-ilm se poocha to unhon ne bataya ke is ki biwi par rajm ki saza lagu ho gi aur mere larke ko sau kode aur ek saal ke liye jala-watni ki. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke is zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai! Mein tumhare darmiyan Kitab Allah ke mutabiq faisla karoon ga, baandi aur bakriyan to ise wapas kar do aur tumhare larke par sau kode aur ek saal jala-watni ki saza hai aur ay Unais! (qabila-e-Aslam ke ek sahabi) is ki biwi ke paas jao, agar wo zina ka iqrar kare to ise rajm kar do. Chunancha Unais Radi Allahu Anhu un ke paas gaye aur us ne iqrar kar liya phir Unais Radi Allahu Anhu ne is ko sangsar kar dala.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ بَعْثِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ الزُّبَيْرَ طَلِيعَةً وَحْدَهُ:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka Zubair Razi Allah anhu ko akele kaafiron ki khabar laane ke liye bhejna.
Hadith Number: 7261
حدثنا علي بن عبد الله بن المديني، حدثنا سفيان، حدثنا ابن المنكدر، قال: سمعت جابر بن عبد الله، قال:" ندب النبي صلى الله عليه وسلم الناس يوم الخندق فانتدب الزبير، ثم ندبهم فانتدب الزبير، ثم ندبهم فانتدب الزبير ثلاثا، فقال: لكل نبي حواري وحواري الزبير"، قال سفيان: حفظته من ابن المنكدر وقال له ايوب: يا ابا بكر حدثهم عن جابر، فإن القوم يعجبهم ان تحدثهم عن جابر، فقال في ذلك المجلس: سمعت جابرا، فتابع بين احاديث سمعت جابرا، قلت لسفيان فإن الثوري يقول يوم قريظة، فقال:" كذا حفظته منه كما انك جالس يوم الخندق قال سفيان: هو يوم واحد وتبسم سفيان.
`Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaina ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad bin al-Munkadir ne kaha ke mein ne Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhuma se suna, bayan kiya ke Gazwa-e-Khandaq ke din Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne (dushman se khabar lane ke liye) sahabah se kaha to Zubair Radi Allahu Anhu tayyar ho gaye phir un se kaha to Zubair Radi Allahu Anhu hi tayyar hue. Phir kaha, phir bhi unhon ne hi aamadagi dikhlayi. Is ke baad Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke har Nabi ke hawari (madadgaar) hote hain aur mere hawari Zubair hain. Aur Sufyan bin Uyaina ne bayan kiya ke mein ne yeh riwayat Ibn al-Munkadir se yaad ki aur Ayub ne Ibn al-Munkadir se kaha, ay Abu Bakr! (yeh Muhammad bin Munkadir ki kuniyat hai) un se Jabir Radi Allahu Anhu ki hadees bayan kijiye kyunke log pasand karte hain ke aap Jabir Radi Allahu Anhu ki ahadees bayan karein to unhon ne usi majlis mein kaha ke mein ne Jabir Radi Allahu Anhu se suna aur chaar ahadees mein pay-dar-pay yeh kaha ke mein ne Jabir Radi Allahu Anhu se suna. Ali bin Abdullah Madini ne kaha ke mein ne Sufyan bin Uyaina se kaha ke Sufyan Sauri to Gazwa-e-Quraiza kehte hain (bajaye Gazwa-e-Khandaq ke) unhon ne kaha ke mein ne itne hi yaqeen ke saath yaad kiya hai jaisa ke tum is waqt baithe ho ke unhon ne Gazwa-e-Khandaq kaha, Sufyan ne kaha ke yeh donon ek hi gazwa hain (kyunke) Gazwa-e-Khandaq ke furan baad usi din Gazwa-e-Quraiza pesh aaya aur wo muskuraye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {لاَ تَدْخُلُوا بُيُوتَ النَّبِيِّ إِلاَّ أَنْ يُؤْذَنَ لَكُمْ}:
Allah Taala ka (Surat Al-Ahzaab mein) farmaan "Nabi ke gharon mein na daakhil ho magar ijazat le kar jab tum ko khane ke liye bulaya jaaye".
Hadith Number: Q7262
فإذا اذن له واحد جاز.
Zahir hai ke ijazat ke liye ek shakhs ka bhi izn dena kafi hai.
Hadith Number: 7262
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن ابي عثمان، عن ابي موسى، ان النبي صلى الله عليه وسلم" دخل حائطا وامرني بحفظ الباب، فجاء رجل يستاذن، فقال: ائذن له وبشره بالجنة، فإذا ابو بكر، ثم جاء عمر، فقال: ائذن له وبشره بالجنة، ثم جاء عثمان، فقال: ائذن له وبشره بالجنة".
`Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Hammad ne bayan kiya, un se Ayub ne, un se Abu Usman ne aur un se Abu Musa Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ek bagh mein dakhil hue aur mujhe darwaza ki nigrani ka hukm diya, phir ek sahabi aaye aur ijazat chahi. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke unhein ijazat de do aur unhein jannat ki bisharat de do. Wo Abu Bakr Radi Allahu Anhu thay, phir Umar Radi Allahu Anhu aaye, Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke unhein ijazat de do aur unhein jannat ki bisharat de do, phir Usman Radi Allahu Anhu aaye, Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke unhein bhi ijazat de do aur jannat ki bisharat de do.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7263
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا سليمان بن بلال، عن يحيى، عن عبيد بن حنين، سمع ابن عباس، عن عمر رضي الله عنهم، قال:" جئت فإذا رسول الله صلى الله عليه وسلم في مشربة له، وغلام لرسول الله صلى الله عليه وسلم اسود على راس الدرجة، فقلت: قل هذا عمر بن الخطاب، فاذن لي".
`Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sulaiman bin Bilal ne bayan kiya, un se Yahya ne, un se Ubaid bin Hunain ne, unhon ne Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se suna aur un se Umar Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke mein hazir hua to Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم apne bala-khana mein tashreef rakhte thay aur Aap ka ek kala gulam seedhi ke oopar (nigrani kar raha) tha mein ne us se kaha ke kaho ke Umar bin Khattab khada hai aur ijazat chahta hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة