الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ إِذَا أُكْرِهَ حَتَّى وَهَبَ عَبْدًا أَوْ بَاعَهُ لَمْ يَجُزْ:
Agar kisi ko majboor kiya gaya aur aakhir us ne ghulam hibah kiya ya becha to na hibah saheeh ho ga na bai' saheeh ho gi.
Show diacritics
Hadith Number: 6947
حدثنا ابو النعمان، حدثنا حماد بن زيد، عن عمرو بن دينار، عن جابر رضي الله عنه" ان رجلا من الانصار دبر مملوكا ولم يكن له مال غيره، فبلغ ذلك رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: من يشتريه مني؟"، فاشتراه نعيم بن النحام بثمان مائة درهم، قال: فسمعت جابرا، يقول: عبدا قبطيا مات عام اول.
`Hum se Abu Nu'man ne bayan kiya, kaha hum se Hammad bin Zaid ne bayan kiya, un se Amr bin Dinar ne aur un se Jabir Radi Allahu Anhu ne ke ek Ansari sahabi ne kisi gulam ko mudabbir banaya aur un ke paas is ke siwa aur koi maal nahi tha. Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ko jab is ki ittela mili to daryaft farmaya. Ise mujh se kaun khareede ga chunancha Nu'aim bin al-Nahham Radi Allahu Anhu ne aath sau dirham mein khareed liya. Bayan kiya ke phir mein ne Jabir Radi Allahu Anhu se suna unhon ne bayan kiya ke wo ek Qibti gulam tha aur pehle hi saal mar gaya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مِنَ الإِكْرَاهِ:
Ikraah ki burai ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: Q6948
كره وكره واحد.
«kurhan» aur «karhan» ke maani ek hi hain .


Show diacritics
Hadith Number: 6948
حدثنا حسين بن منصور، حدثنا اسباط بن محمد، حدثنا الشيباني سليمان بن فيروز، عن عكرمة، عن ابن عباس، قال الشيباني،وحدثني عطاء ابو الحسن السوائي، ولا اظنه إلا ذكره عن ابن عباس رضي الله عنهما: يايها الذين آمنوا لا يحل لكم ان ترثوا النساء كرها سورة النساء آية 19 الآية، قال:" كانوا إذا مات الرجل كان اولياؤه احق بامراته، إن شاء بعضهم تزوجها، وإن شاءوا زوجها، وإن شاءوا لم يزوجها، فهم احق بها من اهلها، فنزلت هذه الآية في ذلك".
Hum se Husain bin Mansoor ne bayan kiya , kaha hum se Asbat bin Muhammad ne bayan kiya , kaha hum se Shaybani Sulayman bin Fayrooz ne bayan kiya , in se Ikrimah ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne , Shaybani ne kaha ke mujh se Ata Abu al-Hasan al-Sawai ne bayan kiya aur mera yahi khayal hai ke unhon ne yeh hadees Ibn Abbas razi Allahu anhuma se bayan ki . Surah al-Nisa ki aayat «ya ay-yuhal-lazheena aamanoo laa yahil-lu lakum an tarisun-nisaaa-a kurhan» bayan kiya ke jab koi shakhs (zamana e jahiliyat mein) mar jata to is ke waris is ki aurat ke haqdar bante agar in mein se koi chahta to is se shadi kar laita aur chahta to shadi na karta is tarah marne wale ke waris is aurat par aurat ke warison se zyada haq rakhte . Is par yeh aayat nazil hui (bewa aurat id-dat guzarne ke baad mukhtar hai woh jis se chahe shadi kare is par zabardasti karna hargiz jaiz nahi hai) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا اسْتُكْرِهَتِ الْمَرْأَةُ عَلَى الزِّنَا، فَلاَ حَدَّ عَلَيْهَا:
Jab aurat se zabardasti zina kiya gaya ho to us par hadd nahin hai.
Show diacritics
Hadith Number: Q6949
في قوله تعالى: {ومن يكرههن فإن الله من بعد إكراههن غفور رحيم}.
Allah Ta'ala ne (Surah al-Noor mein) farmaya «wa may-yukrih-hun-na fa-innallaaha mim-ba-di ikraahihin-na ghafoorur-raheemun» ”aur jo koi is ke saath zabardasti kare to Allah Ta'ala in ke saath is zabardasti ke baad maaf karne wala , raham karne wala hai .“


Show diacritics
Hadith Number: 6949
وقال الليث، حدثني نافع، ان صفية بنت ابي عبيد اخبرته: ان عبدا من رقيق الإمارة وقع على وليدة من الخمس، فاستكرهها حتى اقتضها، فجلده عمر الحد، ونفاه، ولم يجلد الوليدة من اجل انه استكرهها، قال الزهري: في الامة البكر يفترعها الحر، يقيم ذلك الحكم من الامة العذراء بقدر قيمتها، ويجلد، وليس في الامة الثيب في قضاء الائمة غرم، ولكن عليه الحد.
Aur Layth bin Saad ne bayan kiya ke mujh se Nafi ne bayan kiya , unhein Safiy-yah bint Abi Ubaid ne khabar di ke hukoomat ke ghulamon mein se ek ne hissa e khums ki ek baandi se suhbat kar li aur is ke saath zabardasti kar ke is ki bakarat tor di to Umar razi Allahu anhune ghulam par hadd jaari karayi aur usay shehar-badar bhi kar diya lekin baandi par hadd nahi jaari ki . Kyunke ghulam ne is ke saath zabardasti ki ku . Zuhri ne aaisi kunwari baandi ke mutalliq kaha jis ke saath kisi aazad ne hum-bistari kar li ho ke hakim kunwari baandi mein is ki wajah se is shakhs se itne daam bhar le jitne bakarat jaate rehne ki wajah se is ke daam kam ho gaye hain aur is ko koray bhi lagaye agar aazad mard sayyiba londi se zina kare tab khareede . Imamon ne yeh hukm nahi diya hai ke is ko kuch maali tawan dena pare ga balkay sirf hadd lagayi jaye gi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6950
حدثنا ابو اليمان، حدثنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:"هاجر إبراهيم بسارة، دخل بها قرية فيها ملك من الملوك، او جبار من الجبابرة، فارسل إليه ان ارسل إلي بها، فارسل بها، فقام إليها، فقامت توضا وتصلي، فقالت: اللهم إن كنت آمنت بك وبرسولك، فلا تسلط علي الكافر، فغط حتى ركض برجله".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya , kaha hum se Shuayb ne bayan kiya , in se Abu al-Zinad ne , in se Aaraj ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Ibrahim alaihissalam ne Sarah alaihas-salaam ko saath le kar Hijrat ki to ek aaisi basti mein pahunche jis mein badshahon mein se ek badshah ya zhahalimon mein se ek zhahalim rehta tha is zhahalim ne Ibrahim alaihissalam ke paas yeh hukm bheija ke Sarah alaihas-salaam ko is ke paas bheijein Aap ne Sarah ko bheij diya woh zhahalim in ke paas aaya to woh (Sarah alaihas-salaam) wuzu kar ke namaz parh rahi thien unhon ne dua ki ke Ae Allah! Agar main tujh par aur tere Rasool par iman rakhti hoon to tu mujh par kafir ko na musal-lat kar phir aisa hua ke woh kam-bakht badshah achanaak kharaate lene aur gir kar paon hilane laga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ يَمِينِ الرَّجُلِ لِصَاحِبِهِ إِنَّهُ أَخُوهُ، إِذَا خَافَ عَلَيْهِ الْقَتْلَ أَوْ نَحْوَهُ:
Agar koi shakhs dusre Musalman ko apna bhai kahe.
Show diacritics
Hadith Number: Q6951
وكذلك كل مكره يخاف، فإنه يذب عنه المظالم ويقاتل دونه، ولا يخذله فإن قاتل دون المظلوم فلا قود عليه، ولا قصاص وإن قيل له لتشربن الخمر او لتاكلن الميتة او لتبيعن عبدك او تقر بدين، او تهب هبة وتحل عقدة او لنقتلن اباك او اخاك في الإسلام، وما اشبه ذلك وسعه ذلك، لقول النبي صلى الله عليه وسلم المسلم اخو المسلم، وقال بعض الناس: لو قيل له لتشربن الخمر او لتاكلن الميتة، او لنقتلن ابنك او اباك او ذا رحم محرم لم يسعه لان هذا ليس بمضطر، ثم ناقض، فقال: إن قيل له لنقتلن اباك او ابنك او لتبيعن هذا العبد او تقر بدين او تهب يلزمه في القياس، ولكنا نستحسن ونقول البيع والهبة وكل عقدة في ذلك باطل فرقوا بين كل ذي رحم محرم، وغيره بغير كتاب ولا سنة، وقال النبي صلى الله عليه وسلم، قال إبراهيم لامراته هذه اختي وذلك في الله، وقال النخعي إذا كان المستحلف ظالما فنية الحالف وإن كان مظلوما فنية المستحلف.
Aur is par qasam khayi is dar se ke agar qasam na khaye ga to koi zhahalim is ko maar daale ga ya koi aur saza de ga isi tarah har shakhs jis par zabardasti ki jaye aur woh darta ho to har Musalman par lazim hai ke is ki madad kare zhahalim ka zhulm is par se dafa kare is ke bachane ke liye jang kare is ko dushman ke hath mein na chhorr de phir agar is ne mazhloom ki himayat mein jang ki aur is ke bachane ki gharaz se zhahalim ko maar hi dala to is par qisas lazim na ho ga (na diyat lazim ho gi) aur agar kisi shakhs se yun kaha jaye tu sharab pee le ya murdar kha le ya apna ghulam beich daal ya itne qarz ka iqrar kare (ya is ki dastawaiz likh de) ya falan cheez hiba kar de ya koi aqd torr daal nahi to hum tere deeni baap ya bhai ko maar daalein ge to is ko yeh kaam karne durust ho jayein ge kyunke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Musalman doosre Musalman ka bhai hai . Aur baaz log kehte hain ke agar is se yun kaha jaye tu sharab pee le ya murdar kha le nahi to hum tere bete ya baap ya mahram rishta-dar , bhai , chacha , mamoon waghaira ko maar daalein ge to is ko yeh kaam karne durust na hon ge na woh muzhtar kehlaye ga phir in baaz logon ne apne qaul ka doosre masla mein khilaf kiya . Kehte hain ke kisi shakhs se yun kaha jaye hum tere baap ya bete ko maar daalte hain nahi to tu apna yeh ghulam beich daal ya itne qarz ka iqrar kar le ya falan cheez hiba kar de to qiyas yeh hai ke yeh sab muamle sahih aur nafizh hon ge magar hum is masla mein istihsan par amal karte hain aur yeh kehte hain ke aaisi halat mein bai aur hiba aur har ek aqd iqrar waghaira batil ho ga in baaz logon ne nata-war aur ghair nata-war mein bhi farq kiya hai . Jis par Quran wa hadees se koi daleel nahi hai aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ibrahim alaihissalam ne apni biwi Sarah ko farmaya yeh meri behen hai Allah ki raah mein deen ki ru se aur Ibrahim Nakhai ne kaha agar qasam lene wala zhahalim ho to qasam khane wale ki niyat moatabar ho gi aur agar qasam lene wala mazhloom ho to is ki niyat moatabar ho gi .


Show diacritics
Hadith Number: 6951
حدثنا يحيى بن بكير حدثنا الليث عن عقيل عن ابن شهاب ان سالما اخبره ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما اخبره ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال: «المسلم اخو المسلم، لا يظلمه، ولا يسلمه، ومن كان في حاجة اخيه، كان الله في حاجته» .
`Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, unhein Salim ne khabar di aur unhein Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne khabar di ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Musalman musalman ka bhai hai na us par zulm kare aur na ise (kisi zalim ke) supard kare aur jo shakhs apne kisi bhai ki zaroorat poori karne mein laga ho ga Allah Ta'ala is ki zaroorat aur haajat poori kare ga.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6952
حدثنا محمد بن عبد الرحيم، حدثنا سعيد بن سليمان، حدثنا هشيم، اخبرنا عبيد الله بن ابي بكر بن انس، عن انس رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" انصر اخاك ظالما او مظلوما، فقال رجل: يا رسول الله، انصره إذا كان مظلوما، افرايت إذا كان ظالما كيف انصره؟، قال: تحجزه او تمنعه من الظلم، فإن ذلك نصره".
Hum se Muhammad bin Abdullah al-Ansari ne bayan kiya , kaha hum se hamare walid ne bayan kiya , kaha hum se Sumama bin Abdullah bin Anas ne bayan kiya , aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Abu Bakr razi Allahu anhu ne unhein (Zakat) ka hukm-nama likh kar bheija jo Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farz qarar diya tha ke mutafar-riq sadqa ko ek jagah jama na kiya jaye aur na mujtame sadqa ko mutafar-riq kiya jaye Zakat ke khauf se .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
«12