الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا جَاءَ فِي قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَهُوَ الَّذِي يَبْدَأُ الْخَلْقَ ثُمَّ يُعِيدُهُ}:
Bab: Aur Allah Paak ne farmaya“Allah hi hai jis ne makhlooq ko pehli dafa paida kiya, aur wahi phir dobara (maut ke baad) zinda kare ga aur ye (dobara zinda karna) to us par aur bhi aasaan hai”.
Show diacritics
Hadith Number: Q3190
قال الربيع بن خثيم والحسن كل عليه هين هين وهين مثل لين ولين وميت وميت وضيق وضيق افعيينا سورة ق آية 15 افاعيا علينا حين انشاكم وانشا خلقكم لغوب سورة فاطر آية 35 النصب اطوارا سورة نوح آية 14، طورا كذا وطورا كذا عدا طوره اي قدره.
Aur Rabi Bin Khashaim aur Imam Hasan Basri ne kaha ke yun to dono yaani (pehli martaba paida karna phir dobara zinda kar dena) us ke liye bilkul asan hai (lekin ek ko yaani paidayish ke baad dobara zinda karne ko zyada asan zahir ke aitibar se kaha) (mushaddad aur mukhaffaf) dono tarah parhna jayiz hai aur Surah Qaaf mein jo lafz "afayaiina" aaya hai, is ke maane hain ke kya humein pehli baar paida karne ne aajiz kar diya tha. Jab us Allah ne tum ko paida kar diya tha aur tumhare madde ko paida kiya aur isi surat mein (Allah Ta'ala ke irshad mein) "lughoob" ke maane thakan ke hain aur Surah Nuh mein jo farmaya "atwaran" is ke maane ye hain ke mukhtalif suraton mein tumhein paida kiya. Kabhi nutfa aise khoon ki phatki phir gosht phir haddi poast. Arab log bola karte hain "ada tawrahu" yaani falan apne martabe se badh gaya. Yahan "atwaran" ke maane rutbe ke hain
.


Show diacritics
Hadith Number: 3190
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، عن جامع بن شداد، عن صفوان بن محرز، عن عمران بن حصين رضي الله عنهما، قال: جاء نفر من بني تميم إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: يا بني تميم ابشروا، قالوا: بشرتنا فاعطنا فتغير وجهه فجاءه اهل اليمن، فقال: يا اهل اليمن اقبلوا البشرى إذ لم يقبلها بنو تميم، قالوا: قبلنا فاخذ النبي صلى الله عليه وسلم يحدث بدء الخلق والعرش فجاء رجل، فقال:" يا عمران راحلتك تفلتت ليتني لم اقم".
Hum se Muhammad Bin Kaseer ne bayan kiya, kaha hum ko Sufyan Thauri ne khabar di, unhein Jami Bin Shaddad ne, unhein Safwan Bin Muhriz ne aur un se Imran Bin Husain (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Bani Tamim ke kuch log Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein aaye to Aap ne un se farmaya ke Ae Bani Tamim ke logo! Tumhein bisharat ho. Wo kehne lage ke bisharat jab Aap ne hum ko di hai to ab humein kuch mal bhi dijiye. Is par Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke chehra-e-mubarak ka rang badal gaya, phir Aap ki khidmat mein Yemen ke log aaye to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un se bhi farmaya ke Ae Yemen walo! Banu Tamim ke logon ne to khushkhabri ko qabool nahi kiya, ab tum ise qabool kar lo. Unhon ne arz kiya ke hum ne qabool kiya. Phir Aap makhluq aur Arsh-e-Ilahi ki ibtida ke bare mein guftagu farmane lage. Itne mein ek (namaloom) shakhs aaya aur kaha ke Imran! Tumhari ontni bhag gayi. (Imran Radi Allahu Anhuma kehte hain) kash, mein Aap ki majlis se na uthta to behtar hota
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3191
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثنا جامع بن شداد، عن صفوان بن محرز انه حدثه، عن عمران بن حصين رضي الله عنهما، قال: دخلت على النبي صلى الله عليه وسلم وعقلت ناقتي بالباب فاتاه ناس من بني تميم، فقال:" اقبلوا البشرى يا بني تميم، قالوا: قد بشرتنا فاعطنا مرتين، ثم دخل عليه ناس من اهل اليمن، فقال: اقبلوا البشرى يا اهل اليمن إذ لم يقبلها بنو تميم، قالوا: قد قبلنا يا رسول الله، قالوا: جئناك نسالك عن هذا الامر، قال: كان الله ولم يكن شيء غيره وكان عرشه على الماء وكتب في الذكر كل شيء وخلق السموات والارض فنادى مناد ذهبت ناقتك يا ابن الحصين فانطلقت فإذا هي يقطع دونها السراب فوالله لوددت اني كنت تركتها".
Hum se Umar Bin Hafs Bin Ghiyath ne bayan kiya, kaha ke mujh se mere baap ne bayan kiya, kaha ke hum se Aamash ne bayan kiya, kaha hum se Jami Bin Shaddad ne bayan kiya, un se Safwan Bin Muhriz ne aur un se Imran Bin Husain (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke mein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hua. Aur apne ont ko mein ne darwaze hi par baandh diya. Is ke baad Bani Tamim ke kuch log Aap ki khidmat mein hazir hue. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un se farmaya "Ae Banu Tamim! Khushkhabri qabool karo." Unhon ne do-bar kaha ke jab Aap ne humein khushkhabri di hai to ab mal bhi dijiye. Phir Yemen ke chand log khidmat-e-Nabwi mein hazir hue. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un se bhi yahi farmaya ke khushkhabri qabool kar lo Ae Yemen walo! Banu Tamim walon ne to nahi qabool ki. Wo bole: Ya Rasul Allah! Khushkhabri hum ne qabool ki. Phir wo kehne lage hum is liye hazir hue hain taake Aap se is (aalam ki paidayish) ka haal poochein. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Allah Ta'ala azal se maujood tha aur is ke siwa koi cheez maujood na thi aur us ka Arsh pani par tha. Lauh-e-Mahfooz mein us ne har cheez ko likh liya tha. Phir Allah Ta'ala ne aasman aur zameen ko paida kiya." (Abhi ye baatein ho hi rahi theen ke) ek pukarane wale ne awaz di ke Ibn-ul-Husain! Tumhari ontni bhag gayi. Mein is ke peechhe dauda. Dekha to wo sarab ki aad mein hai (mere aur is ke beech mein sarab haail hai yaani wo reti jo dhoop mein pani ki tarah chamakti hai) Allah Ta'ala ki qasam, mera dil bahut pachtaya ke kash, mein ne ise chhod diya hota (aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki hadees suni hoti)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3192
وروى عيسى، عن رقبة عن قيس بن مسلم عن طارق بن شهاب، قال: سمعت عمر رضي الله عنه، يقول: قام فينا النبي صلى الله عليه وسلم مقاما فاخبرنا عن بدء الخلق حتى دخل اهل الجنة منازلهم، واهل النار منازلهم، حفظ ذلك من حفظه، ونسيه من نسيه".
Aur Isa ne Raqaba se riwayat kiya, unhon ne Qais Bin Muslim se, unhon ne Tariq Bin Shihab se, unhon ne bayan kiya ke mein ne Umar Bin Khattab (Radi Allahu Anhu) se suna, Aap ne kaha ke ek martaba Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mimbar par khade ho kar humein waaz farmaya aur ibtida-e-khalq ke bare mein humein khabar di. Yahan tak ke jab Jannat wale apni manzilon mein dakhil ho jayenge aur Jahannum wale apne thikanon ko pahunch jayenge (wahan tak sari tafseel ko Aap ne bayan farmaya) jise is hadees ko yaad rakhna tha us ne yaad rakha aur jise bhoolna tha wo bhool gaya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3193
حدثني عبد الله بن ابي شيبة، عن ابي احمد، عن سفيان، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" اراه، قال الله تعالى: شتمني ابن آدم وما ينبغي له ان يشتمني ويكذبني، وما ينبغي له اما شتمه، فقوله: إن لي ولدا واما تكذيبه، فقوله: ليس يعيدني كما بداني".
Mujh se Abdullah Bin Abi Shaiba ne bayan kiya, un se Abu Ahmad ne bayan kiya, un se Sufyan Thauri ne un se Abu-uz-Zinad ne, un se Aaraj ne, aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Allah Ta'ala farmata hai ke Ibn-e-Adam ne mujhe gali di aur is ke liye munasib na tha ke wo mujhe gali deta. Us ne mujhe jhutlaya aur is ke liye ye bhi munasib na tha. Is ki gali ye hai ke wo kehta hai, mera beta hai aur is ka jhutlana ye hai ke wo kehta hai ke jis tarah Allah ne mujhe pehli baar paida kiya, dobara (maut ke baad) wo mujhe zinda nahi kar sakega
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3194
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا مغيرة بن عبد الرحمن القرشي، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لما قضى الله الخلق كتب في كتابه فهو عنده فوق العرش إن رحمتي غلبت غضبي".
Hum se Qutaiba Bin Said ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Mugheera Bin Abdur Rahman Qurashi ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Abu-uz-Zinad ne bayan kiya, un se Aaraj ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jab Allah Ta'ala makhluq ko paida kar chuka to apni kitab (Lauh-e-Mahfooz) mein, jo is ke paas Arsh par maujood hai, us ne likha ke meri rehmat mere ghusse par ghalib hai."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا جَاءَ فِي سَبْعِ أَرَضِينَ:
Bab: Saat zameenon ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: Q3195
وقول الله تعالى الله الذي خلق سبع سموات ومن الارض مثلهن يتنزل الامر بينهن لتعلموا ان الله على كل شيء قدير وان الله قد احاط بكل شيء علما سورة الطلاق آية 12 والسقف المرفوع سورة الطور آية 5 السماء، سمكها سورة النازعات آية 28 بناءها، الحبك سورة الذاريات آية 7استواؤها وحسنها، واذنت سورة الانشقاق آية 2 سمعت واطاعت، والقت سورة الانشقاق آية 4 اخرجت ما فيها من الموتى، وتخلت سورة الانشقاق آية 4 عنهم، طحاها سورة الشمس آية 6 دحاها سورة النازعات آية 30 بالساهرة سورة النازعات آية 14 وجه الارض كان فيها الحيوان نومهم وسهرهم.
Aur Allah Ta'ala ne (Surah Al-Talaq mein) farmaya "allah-ul-lazi khalaqa sab'a samawatin wa-minal ardhi mislahunna yatanazzalu-l-amru bainahunna litalamu ann-allaha ala kulli shai-in qadirun wa-ann-allaha qad ahata bikulli shai-in ilman" " Allah Ta'ala hi wo zaat hai jis ne paida kiye saat aasman aur aasman hi ki tarah saat zameenein. Allah Ta'ala ke ahkam un ke darmiyan utarte hain. Ye is liye taake tum ko maloom ho ke Allah Ta'ala har cheez par qadir hai aur Allah Ta'ala ne har cheez ko apne ilm ke aitibar se gher rakha hai." Aur Surah Al-Tur mein "wa-s-saqfi-l-marfoo-i" se murad aasman hai aur Surah Al-Naziat mein jo "rafa'a samkaha" hai "samkun" ke maane bina imarat ke hain. Aur Surah Al-Zariyat mein jo "hubukun" ka lafz aaya hai is ke maane barabar hona yaani hamwar aur khoobsurat hona. Surah Iza-s-Sama-u-n-Shaqqat mein jo lafz "azinat" hai is ka maane sun liya aur maan liya, aur lafz "alqat" ka maane jitne murde is mein thay un ko nikal kar bahar daal diya, khali ho gayi. Aur Surah Al-Layl mein jo lafz "tahaha" hai is ke maane bichhaya. Aur Surah Al-Naziat mein jo "sahira" ka lafz hai is ke maane roye zameen ke hain, wahin jandar rehte sote aur jate hain
.


Show diacritics
Hadith Number: 3195
حدثنا علي بن عبد الله، اخبرنا ابن علية، عن علي بن المبارك، حدثنا يحيى بن ابي كثير، عن محمد بن إبراهيم بن الحارث، عن ابي سلمة بن عبد الرحمن، كانت بينه وبين اناس خصومة في ارض، فدخل على عائشة فذكر لها ذلك، فقالت: يا ابا سلمة اجتنب الارض فإن رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" من ظلم قيد شبر طوقه من سبع ارضين".
Hum se Ali Bin Abdullah Madini ne bayan kiya, kaha hum ko Ismail Bin Aliyya ne khabar di, unhein Ali Bin Mubarak ne kaha, un se Yahya Bin Abi Kaseer ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Ibrahim Bin Harith ne, un se Abu Salama Bin Abdur Rahman ne un ka ek doosre sahab se ek zameen ke bare mein jhagda tha. Wo Aisha (Radi Allahu Anha) ki khidmat mein hazir hue aur un se waqiya bayan kiya. Unhon ne (jawab mein) farmaya: Abu Salama! Kisi ki zameen (ke na-haqq lene) se bacho, kyunke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya hai ke agar ek balisht ke barabar bhi kisi ne (zameen ke bare mein) zulm kiya to (Qiyamat ke din) sath zameenon ka tauq ise pehnaya jaye ga
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3196
حدثنا بشر بن محمد، اخبرنا عبد الله، عن موسى بن عقبة، عن سالم، عن ابيه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من اخذ شيئا من الارض بغير حقه خسف به يوم القيامة إلى سبع ارضين".
Hum se Bishr Bin Muhammad ne bayan kiya, unhein Abdullah Bin Mubarak ne khabar di, unhein Musa Bin Uqba ne, unhein Salim Bin Abdullah Bin Umar ne aur un se un ke walid ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jis ne kisi ki zameen mein se kuch na-haqq le liya to Qiyamat ke din ise saat zameenon tak dhansaya jaye ga."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3197
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا عبد الوهاب، حدثنا ايوب، عن محمد بن سيرين، عن ابن ابي بكرة، عن ابي بكرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" الزمان قد استدار كهيئته يوم خلق الله السموات والارض السنة اثنا عشر شهرا منها اربعة حرم، ثلاثة متواليات ذو القعدة، وذو الحجة، والمحرم، ورجب مضر الذي بين جمادى وشعبان".
Hum se Muhammad Bin مثنیٰ ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdul Wahhab Saqafi ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ayub Sakhtiyani ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Muhammad Bin Sireen ne bayan kiya, un se Abu Bakra ke sahibzade (Abdur Rahman) ne bayan kiya aur un se Abu Bakra (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Zamana ghoom phir kar isi halat par aa gaya jaise is din tha jis din Allah Ta'ala ne aasman aur zameen paida ki thi. Saal barah mahinon ka hota hai, char mahine is mein se hurmat ke hain. Teen to pay dar pay. Zil Qada, Zil Hijjah aur Muharram aur (chautha) Rajab Muzar jo Jumadi-ul-Ukhra aur Shaban ke beech mein padta hai."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة