الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ السَّلَمِ فِي كَيْلٍ مَعْلُومٍ:
Bab: Maap muqarrar kar ke salam karna.
Show diacritics
Hadith Number: 2239
حدثنا عمرو بن زرارة، اخبرنا إسماعيل بن علية، اخبرنا ابن ابي نجيح، عن عبد الله بن كثير، عن ابي المنهال، عن ابن عباسرضي الله عنهما، قال: قدم رسول الله صلى الله عليه وسلم المدينة والناس يسلفون في الثمر العام والعامين، او قال: عامين او ثلاثة، شك إسماعيل، فقال:" من سلف في تمر، فليسلف في كيل معلوم ووزن معلوم".
Hum se Amr Bin Zurarah ne bayan kiya, kaha ke hum ko Ismail Bin Aliyyah ne khabar di, unhein Ibn Abi Najeeh ne khabar di, unhein Abdullah Bin Kaseer ne, unhein Abu Minhal ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke jab Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Madinah tashreef laye to (Madinah ke) log phalon mein ek saal ya do saal ke liye bai-salam karte thay. Ya unhon ne ye kaha ke do saal aur teen saal (ke liye karte thay) shak Ismail ko hua tha. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jo shakhs bhi khajoor mein bai-salam kare, ise muqarrara paimane ya muqarrara wazan ke sath karni chahiye
.

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: Q2240
حدثنا محمد، اخبرنا إسماعيل، عن ابن ابي نجيح، بهذا في كيل معلوم ووزن معلوم.
Hum se Muhammad ne bayan kiya, kaha ke hum ko Ismail ne khabar di, un se Ibn Abi Najeeh ne bayan kiya ke bai-salam muqarrara paimane aur muqarrara wazan mein honi chahiye
.

بَابُ السَّلَمِ فِي وَزْنٍ مَعْلُومٍ:
Bab: Bay' salam muqarrara wazan ke sath jaiz hai.
Show diacritics
Hadith Number: 2240
حدثنا صدقة، اخبرنا ابن عيينة، اخبرنا ابن ابي نجيح، عن عبد الله بن كثير، عن ابي المنهال، عن ابن عباس رضي الله عنه، قال: قدم النبي صلى الله عليه وسلم المدينة وهم يسلفون بالتمر السنتين والثلاث، فقال:" من اسلف في شيء، ففي كيل معلوم ووزن معلوم إلى اجل معلوم".
Hum se Sadaqah Bin Fadl ne bayan kiya, unhein Sufyan Bin Uyainah ne khabar di, unhein Ibn Abi Najeeh ne khabar di, unhein Abdullah Bin Kaseer ne, unhein Abu Minhal ne aur un se Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke jab Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Madinah tashreef laye to log khajoor mein do aur teen saal tak ke liye bai-salam karte thay. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne unhein hidayat farmayi ke jise kisi cheez ki bai-salam karni hai, ise muqarrara wazan aur muqarrara muddat ke liye thahra kar kare
.

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: Q2241
حدثنا علي، حدثنا سفيان، قال: حدثني ابن ابي نجيح، وقال: فليسلف في كيل معلوم إلى اجل معلوم.
Hum se Ali ne bayan kiya, un se Sufyan ne bayan kiya, kaha ke mujh se Ibn Abi Najeeh ne bayan kiya. (Is Riwayat mein hai ke) Aap ne farmaya bai-salaf muqarrara wazan mein muqarrara muddat tak ke liye karna chahiye
.

Show diacritics
Hadith Number: 2241
حدثنا قتيبة، حدثنا سفيان، عن ابن ابي نجيح، عن عبد الله بن كثير، عن ابي المنهال، قال: سمعت ابن عباس رضي الله عنه، يقول: قدم النبي صلى الله عليه وسلم، وقال: في كيل معلوم ووزن معلوم إلى اجل معلوم.
Hum se Qutaiba ne bayan kiya, un se Sufyan ne bayan kiya, un se Ibn Abi Najeeh ne, un se Abdullah Bin Kaseer ne, aur un se Abu Minhal ne bayan kiya ke mein ne Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) se suna unhon ne farmaya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) (Madinah) tashreef laye aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke muqarrara wazan aur muqarrara muddat tak ke liye (bai-salam) honi chahiye
.

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2242
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن ابن ابي المجالد، وحدثنا يحيى، حدثنا وكيع، عن شعبة، عن محمد بن ابي المجالد، حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، قال: اخبرني محمد او عبد الله بن ابي المجالد، قال: اختلف عبد الله بن شداد بن الهاد، وابو بردة في السلف، فبعثوني إلى ابن ابي اوفى رضي الله عنه، فسالته، فقال:" إنا كنا نسلف على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم، وابي بكر، وعمر في الحنطة، والشعير، والزبيب، والتمر"، وسالت ابن ابزى، فقال: مثل ذلك.
Hum se Abul Waleed ne bayan kiya, kaha ke hum se Shuba ne bayan kiya, un se Ibn Abi Mujalid ne (teesri sanad) aur hum se Yahya ne bayan kiya, un se Waki ne bayan kiya, un se Shuba ne, un se Muhammad Bin Abi Mujalid ne. (doosri sanad) hum se Hafs Bin Umar ne bayan kiya, un se Shuba ne bayan kiya, kaha ke mujhe Muhammad aur Abdullah Bin Abi Mujalid ne khabar di, unhon ne bayan kiya ke Abdullah Bin Shaddad Bin Al-Haad aur Abu Burdah mein bai-salam ke mutalliq baham ikhtilaf hua. To in hazrat ne mujhe Ibn Abi Aufa (Radi Allahu Anhu) ki khidmat mein bheja. Chunanche mein ne un se poocha to unhon ne kaha ke hum Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam), Abu Bakr aur Umar (Radi Allahu Anhuma) ke zamanon mein gehoon, jau, munaqqa aur khajoor ki bai-salam karte thay. Phir mein ne Ibn Abza (Radi Allahu Anhu) se poocha to unhon ne bhi yahi jawab diya
.

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2243

بَابُ السَّلَمِ إِلَى مَنْ لَيْسَ عِنْدَهُ أَصْلٌ:
Bab: Is shakhs se salam karna jis ke paas asal maal hi maujood na ho.
Show diacritics
Hadith Number: 2244
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد الواحد، حدثنا الشيباني، حدثنا محمد بن ابي المجالد، قال: بعثني عبد الله بن شداد، وابو بردة، إلى عبد الله بن ابي اوفى رضي الله عنه، فقالا: سله، هل كان اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم في عهد النبي صلى الله عليه وسلم يسلفون في الحنطة؟ قال عبد الله:" كنا نسلف نبيط اهل الشام في الحنطة، والشعير، والزيت، في كيل معلوم إلى اجل معلوم"، قلت: إلى من كان اصله عنده، قال: ما كنا نسالهم عن ذلك، ثم بعثاني إلى عبد الرحمن بن ابزى، فسالته، فقال: كان اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم يسلفون على عهد النبي صلى الله عليه وسلم، ولم نسالهم الهم حرث ام لا. حدثنا إسحاق، حدثنا خالد بن عبد الله، عن الشيباني، عن محمد بن ابي مجالدبهذا، وقال: فنسلفهم في الحنطة، والشعير، وقال عبد الله بن الوليد، عن سفيان، حدثنا الشيباني، وقال والزيت، حدثنا قتيبة، حدثنا جرير، عن الشيباني، وقال: في الحنطة، والشعير، والزبيب.
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Abdul Wahid ne bayan kiya, un se Shaibani ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Abi Mujalid ne bayan kiya, kaha ke mujhe Abdullah Bin Shaddad aur Abu Burdah ne Abdullah Bin Abi Aufa (Radi Allahu Anhuma) ke yahan bheja aur hidayat ki ke un se poocho ke kya Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke ashab Aap ke zamane mein gehoon ki bai-salam karte thay ? Abdullah (Radi Allahu Anhu) ne jawab diya ke hum Sham ke Anbaat (ek kashtkar qaum) ke sath gehoon, jawar, zaitoon ki muqarrara wazan aur muqarrara muddat ke liye sauda kiya karte thay. Mein ne poocha kya sirf usi shakhs se aap log ye bai kiya karte thay jis ke paas asal maal maujood hota tha ? Unhon ne farmaya ke hum is ke mutalliq poochte hi nahi thay. Is ke baad in donon hazrat ne mujhe Abdur Rahman Bin Abza (Radi Allahu Anhu) ke khidmat mein bheja. Mein ne un se bhi poocha. Unhon ne bhi yahi kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke ashab Aap ke ahad-e-mubarak mein bai-salam kiya karte thay aur hum ye bhi nahi poochte thay ke un ke kheti bhi hai ya nahi. Hum se Ishaq Bin Shahin ne bayan kiya, kaha ke hum se Khalid Bin Abdullah ne bayan kiya, un se Shaibani ne, un se Muhammad Bin Abi Mujalid ne yahi hadees. Is Riwayat mein ye bayan kiya ke hum un se gehoon aur jau mein bai-salam kiya karte thay. Aur Abdullah Bin Waleed ne bayan kiya, un se Sufyan ne, un se Shaibani ne bayan kiya, is mein unhon ne zaitoon ka bhi naam liya hai. Hum se Qutaiba ne bayan kiya, un se Jarir ne bayan kiya, un se Shaibani ne, aur is mein bayan kiya ke gehoon, jau aur munaqqa mein (bai-salam kiya karte thay)
.

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2245

Hadith Number: 2246
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، اخبرنا عمرو، قال: سمعت ابا البختري الطائي، قال: سالت ابن عباس رضي الله عنه، عن السلم في النخل، قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن بيع النخل، حتى يوكل منه، وحتى يوزن"، فقال الرجل: واي شيء يوزن، قال رجل: إلى جانبه حتى يحرز، وقال معاذ: حدثنا شعبة عن عمرو، قال ابو البختري سمعت ابن عباس رضي الله عنه، نهى النبي صلى الله عليه وسلم، مثله.
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha ke hum se Shuba ne bayan kiya, unhein Amr ne khabar di, unhon ne kaha ke mein ne Abul Bakhtari Taayi se suna, unhon ne kaha ke mein ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se khajoor ke darakht mein bai-salam ke mutalliq poocha to aap ne farmaya ke darakht par phal ko bechne se Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne us waqt tak ke liye mana farmaya tha jab tak wo khane ke qabil na ho jaye ya is ka wazan na kiya ja sakay. Ek shakhs ne poocha ke kya cheez wazan ki jaye gi. Is par Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ke qareeb hi baithe hue ek shakhs ne kaha ke matlab ye hai ke andaza karne ke qabil ho jaye aur Muaz ne bayan kiya, un se Shuba ne bayan kiya, un se Amr ne ke Abul Bakhtari ne kaha ke mein ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se suna ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mana kiya tha. Phir yahi hadees bayan ki
.

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة