الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَنْ سَجَدَ لِسُجُودِ الْقَارِئِ:
Bab: Sunne wala usi waqt sajda kare jab parhne wala kare.
Hadith Number: Q1075
وقال ابن مسعود لتميم بن حذلم وهو غلام فقرا عليه سجدة فقال: اسجد فإنك إمامنا فيها.
Aur Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne Tamim bin Hazlam se kaha ke woh larka tha us ne sajday ki aayat parhi sajdah kar . Kyunki tu is sajday mein hamara imam hai .
Hadith Number: 1075
حدثنا مسدد، قال: حدثنا يحيى، حدثنا عبيد الله، قال: حدثني نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يقرا علينا السورة فيها السجدة فيسجد ونسجد حتى ما يجد احدنا موضع جبهته".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , kaha ke hum se Ubaidullah Umari ne byaan kiya kaha ke hum se Nafey ne byaan kiya un se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam hamari maujoodgi mein aayat-e-sajdah parhte aur sajdah karte to hum bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saath (hujoom ki wajah se) is tarah sajdah karte ke peshani rakhne ki jagah bhi na milti jis par sajdah karte .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ ازْدِحَامِ النَّاسِ إِذَا قَرَأَ الإِمَامُ السَّجْدَةَ:
Bab: Imam jab sajda ki ayat parhe aur log hajoom karen to beharhaal sajda karna chahiye.
Hadith Number: 1076
حدثنا بشر بن آدم، قال: حدثنا علي بن مسهر، قال: اخبرنا عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يقرا السجدة ونحن عنده فيسجد ونسجد معه، فنزدحم حتى ما يجد احدنا لجبهته موضعا يسجد عليه".
Hum se Bishr bin Adam ne byaan kiya , kaha ke hum se Ali bin Mus-hir ne byaan kiya , kaha ke hamen Ubaidullah Umari ne khabar di , unhen Nafey ne aur Nafey ko Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aayat-e-sajdah ki tilawat agar hamari maujoodgi mein karte to Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saath hum bhi sajdah karte thay . Is waqt itna azdhaam ho jata ke sajdah ke liye peshani rakhne ki jagah na milti jis par sajdah karne wala sajdah kar sake .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ رَأَى أَنَّ اللَّهَ عَزَّ وَجَلَّ لَمْ يُوجِبِ السُّجُودَ:
Bab: Is shakhs ki daleel jis ke nazdeek Allah Taala ne sajda-e-tilawat ko wajib nahi kiya.
Hadith Number: Q1077
وقيل لعمران بن حصين الرجل يسمع السجدة ولم يجلس لها قال: ارايت لو قعد لها كانه لا يوجبه عليه، وقال سلمان: ما لهذا غدونا، وقال عثمان رضي الله عنه: إنما السجدة على من استمعها، وقال الزهري: لا يسجد إلا ان يكون طاهرا فإذا سجدت وانت في حضر فاستقبل القبلة فإن كنت راكبا فلا عليك حيث كان وجهك وكان السائب بن يزيد لا يسجد لسجود القاص.
Aur Imran bin Hussain Sahabi se aik aise shakhs ke mutaliq daryaft kiya gaya jo aayat-e-sajdah sunta hai magar woh sunne ki niyat se nahi baitha tha to kya us par sajdah wajib hai . Aap ne is ke jawab mein farmaya agar woh is niyat se baitha bhi ho to kya (goya unhon ne sajdah tilawat ko wajib nahi samjha) Salman Farsi ne farmaya ke hum sajdah tilawat ke liye nahi aaye . Usman razi Allahu anhu ne farmaya ke sajdah un ke liye zaroori hai jinhon ne aayat-e-sajdah qasd se suni ho . Zuhri ne farmaya ke sajdah ke liye taharat zaroori hai agar koi safar ki halat mein na ho balke ghar par ho to sajdah qibla ru ho kar kiya jaye ga aur sawari par qibla ru hona zaroori nahi jidhar bhi rukh ho (usi taraf sajdah kar lena chahiye) Sa'ib bin Yazid wa'izon o qissa khwanon ke sajdah karne par sajdah na karte .
Hadith Number: 1077
حدثنا إبراهيم بن موسى، قال: اخبرنا هشام بن يوسف، ان ابن جريج اخبرهم، قال: اخبرني ابو بكر بن ابي مليكة، عن عثمان بن عبد الرحمن التيمي، عن ربيعة بن عبد الله بن الهدير التيمي، قال ابو بكر: وكان ربيعة من خيار الناس عما حضر ربيعة من عمر بن الخطاب رضي الله عنه" قرا يوم الجمعة على المنبر بسورة النحل حتى إذا جاء السجدة نزل فسجد وسجد الناس، حتى إذا كانت الجمعة القابلة قرا بها، حتى إذا جاء السجدة، قال: يا ايها الناس إنا نمر بالسجود فمن سجد فقد اصاب، ومن لم يسجد فلا إثم عليه، ولم يسجد عمر رضي الله عنه، وزاد نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، إن الله لم يفرض السجود إلا ان نشاء".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamen Hisham bin Yusuf ne khabar di aur unhen Ibn Jurayj ne khabar di , unhon ne kaha ke mujhe Abu Bakr bin Abi Mulaykah ne khabar di , unhen Usman bin Abdur Rahman Taymi ne aur unhen Rabee'ah bin Abdullah bin Hudair Taymi ne kaha . . . Abu Bakr bin Abi Mulaykah ne byaan kiya ke Rabee'ah bohat acche logon mein se thay Rabee'ah ne woh haal byaan kiya jo Umar bin Khattab razi Allahu anhu ki majlis mein unhon ne dekha . Umar razi Allahu anhu ne juma ke din mimbar par Surah An-Nahl parhi jab sajdah ki aayat ( «wa lillahi yasjudu ma fis samawaat») aakhir tak pohanche to mimbar par se utre aur sajdah kiya to logon ne bhi un ke saath sajdah kiya . Doosre juma ko phir yahi surat parhi jab sajdah ki aayat par pohanche to kehne lage logo! hum sajdah ki aayat parhte chale jate hain phir jo koi sajdah kare us ne accha kiya aur jo koi na kare to us par kuch gunaah nahi aur Umar razi Allahu anhu ne sajdah nahi kiya aur Nafey ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se naqal kiya ke Allah Ta'ala ne sajdah tilawat farz nahi kiya hamari khushi par rakha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ قَرَأَ السَّجْدَةَ فِي الصَّلاَةِ فَسَجَدَ بِهَا:
Bab: Jis ne namaz mein ayat-e-sajda tilawat ki aur namaz hi mein sajda kiya.
Hadith Number: 1078
حدثنا مسدد، قال: حدثنا معتمر، قال: سمعت ابي، قال: حدثني بكر، عن ابي رافع، قال:" صليت مع ابي هريرة العتمة فقرا: إذا السماء انشقت سورة الانشقاق آية 1 فسجد فقلت: ما هذه؟ قال: سجدت بها خلف ابي القاسم صلى الله عليه وسلم، فلا ازال اسجد فيها حتى القاه".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha ke hum se Mu'tamar bin Sulaiman ne byaan kiya , kaha ke main ne apne baap se suna kaha ke hum se Bakr bin Abdullah Muzani ne byaan kiya , un se Abu Rafi ne kaha ke main ne Abu Hurairah razi Allahu anhu ke saath namaaz isha parhi . Aap ne «iza as-samaa un shaqqat» ki tilawat ki aur sajdah kiya . Main ne arz kiya ke aap ne yeh kya kiya ? Unhon ne is ka jawab diya ke main ne is mein Abul Qasim salla Allahu alaihi wasallam ki iqtida mein sajdah kiya tha aur hamesha sajdah karta hoon ga ta'aanke Aap salla Allahu alaihi wasallam se ja miloon .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ لَمْ يَجِدْ مَوْضِعًا لِلسُّجُودِ مِنَ الزِّحَامِ:
Bab: Jo shakhs hajoom ki wajah se sajda-e-tilawat ki jagah na paye.
Hadith Number: 1079
حدثنا صدقة بن الفضل، قال: اخبرنا يحيى بن سعيد، عن عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يقرا السورة التي فيها السجدة، فيسجد ونسجد معه حتى ما يجد احدنا مكانا لموضع جبهته".
Hum se Sadaqah bin Fadl ne byaan kiya , un se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , un se Ubaidullah ne , un se Nafey ne , aur un se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam kisi aisi surah ki tilawat karte jis mein sajdah hota phir Aap salla Allahu alaihi wasallam sajdah karte aur hum bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saath sajdah karte yahan tak ke hum mein kisi ko apni peshani rakhne ki jagah na milti . (Maloom hua ke aisi halat mein sajdah na kiya jaye to koi harj nahi hai) «wallahu aalam» .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة