الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا جَاءَ فِي سُجُودِ الْقُرْآنِ وَسُنَّتِهَا:
Bab: Sajda-e-tilawat aur us ke sunnat hone ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 1067
حدثنا محمد بن بشار، قال: حدثنا غندر، قال: حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، قال: سمعت الاسود، عن عبد الله رضي الله عنه، قال:" قرا النبي صلى الله عليه وسلم النجم بمكة فسجد فيها وسجد من معه غير شيخ اخذ كفا من حصى او تراب، فرفعه إلى جبهته، وقال: يكفيني هذا، فرايته بعد ذلك قتل كافرا".
Hum se Muhammad bin Bashshar ne byaan kiya , kaha ke hum se Ghundar Muhammad bin Jafar ne byaan kiya kaha ke hum se Shu'bah ne byaan kiya aur un se Abu Ishaq ne unhon ne kaha ke main ne Aswad se suna unhon ne Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se ke Makkah mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Surah An-Najm ki tilawat ki aur sajdah tilawat kiya Aap salla Allahu alaihi wasallam ke paas jitne aadmi thay (Musalman aur kafir) un sab ne bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saath sajdah kiya albatta aik boorha shakhs (Umayyah bin Khalaf) apne haath mein kankari ya mitti utha kar apni peshani tak le gaya aur kaha mere liye yahi kaafi hai main ne dekha ke baad mein woh boorha halat-e-kufr mein hi mara gaya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ سَجْدَةِ تَنْزِيلُ السَّجْدَةُ:
Bab: Soorat Alif-Laam-Meem Tanzeel mein sajda karna.
Show diacritics
Hadith Number: 1068
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن سعد بن إبراهيم، عن عبد الرحمن، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يقرا في الجمعة في صلاة الفجر الم {1} تنزيل سورة السجدة آية 0-1 السجدة و هل اتى على الإنسان سورة الإنسان آية 1".
Hum se Muhammad bin Yusuf Faryabi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , unhon ne Saad bin Ibrahim bin Abdur Rahman bin Auf se byaan kiya , un se Abdur Rahman bin Hurmuz A'raj ne , un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam juma ke din fajr ki namaaz mein «Alif Laam Meem Tanzeel As-Sajdah» aur «Hal ata alal insaan» (Surah Dahr) parha karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ سَجْدَةِ {ص}:
Bab: Soorat Saad mein sajda karna.
Show diacritics
Hadith Number: 1069
حدثنا سليمان بن حرب، وابو النعمان، قالا: حدثنا حماد، عن ايوب، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" ص ليس من عزائم السجود، وقد رايت النبي صلى الله عليه وسلم يسجد فيها".
Hum se Sulaiman bin Harb aur Abul Nu'man bin Fadl ne byaan kiya , un donon ne kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne byaan kiya , un se Ayyub ne byaan kiya , un se Ikrimah ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne farmaya ke Surah Saad ka sajdah kuch takeedi sajdon mein se nahi hai aur main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko sajdah karte huay dekha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ سَجْدَةِ النَّجْمِ:
Bab: Soorat-un-Najm mein sajda ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: Q1070
قاله ابن عباس رضي الله عنهما عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Is ko Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se naqal kiya hai .


Show diacritics
Hadith Number: 1070
حدثنا حفص بن عمر، قال: حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، عن الاسود، عن عبد الله رضي الله عنه،" ان النبي صلى الله عليه وسلم قرا سورة النجم فسجد بها، فما بقي احد من القوم إلا سجد، فاخذ رجل من القوم كفا من حصى او تراب فرفعه إلى وجهه وقال: يكفيني هذا، فلقد رايته بعد قتل كافرا".
Hum se Hafs bin Umar ne byaan kiya , kaha ke hum se Shu'bah ne , Abu Ishaq se byaan kiya , un se Aswad ne , un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Surah An-Najm ki tilawat ki aur is mein sajdah kiya is waqt qaum ka koi fard (Musalman aur kafir) bhi aisa na tha jis ne sajdah na kiya ho . Albatta aik shakhs (Umayyah bin Khalaf) ne haath mein kankari ya mitti le kar apne chehra tak uthayi aur kaha ke mere liye yahi kaafi hai . Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne kaha ke baad mein main ne dekha ke woh kufr ki halat hi mein qatal hua .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ سُجُودِ الْمُسْلِمِينَ مَعَ الْمُشْرِكِينَ:
Bab: Musalmanon ka mushrikon ke sath sajda karna halaanke mushrik na-paak hai (us ko wudu kahan se aaya).
Show diacritics
Hadith Number: Q1071
والمشرك نجس ليس له وضوء. وكان ابن عمر رضي الله عنهما يسجد على غير وضوء.
Halanke mushrik napak hai (us ko wuzu kahan se aaya) aur Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma be-wuzu sajdah kiya karte thay .


Show diacritics
Hadith Number: 1071
حدثنا مسدد، قال: حدثنا عبد الوارث، قال: حدثنا ايوب، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما،" ان النبي صلى الله عليه وسلم سجد بالنجم وسجد معه المسلمون والمشركون والجن والإنس"، ورواه بن طهمان، عن ايوب.
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha ke hum se Abdul Waris ne byaan kiya , kaha hum se Ayyub Sakhtiyani ne byaan kiya , un se Ikrimah ne , un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Surah An-Najm mein sajdah kiya to Musalmanon , mushrikon aur jinn o ins sab ne Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saath sajdah kiya . Is hadees ki riwayat Ibrahim bin Tahman ne bhi Ayyub Sakhtiyani se ki hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ قَرَأَ السَّجْدَةَ وَلَمْ يَسْجُدْ:
Bab: Sajda ki ayat parh kar sajda na karna.
Show diacritics
Hadith Number: 1072
حدثنا سليمان بن داود ابو الربيع، قال: حدثنا إسماعيل بن جعفر، قال: اخبرنا يزيد بن خصيفة، عن ابن قسيط، عن عطاء بن يسار، انه اخبره،" انه سال زيد بن ثابت رضي الله عنه، فزعم انه قرا على النبي صلى الله عليه وسلم والنجم فلم يسجد فيها".
Hum se Sulaiman bin Dawood Abul Rabi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ismail bin Jafar ne byaan kiya , kaha ke hamen Yazid bin Khusayfah ne khabar di , unhen (Yazid bin Abdullah) Ibn Qasit ne , aur unhen Ata bin Yasar ne ke unhon ne Zaid bin Sabit razi Allahu anhu se sawal kiya . Aap ne yaqeen ke saath is amar ka izhaar kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saamne Surah An-Najm ki tilawat aap ne ki thi aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is mein sajdah nahi kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1073
حدثنا آدم بن ابي إياس، قال: حدثنا ابن ابي ذئب، قال: حدثنا يزيد بن عبد الله بن قسيط، عن عطاء بن يسار، عن زيد بن ثابت، قال:" قرات على النبي صلى الله عليه وسلم والنجم فلم يسجد فيها".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya , kaha ke hum se Ibn Abi Zi'b ne byaan kiya , kaha ke hum se Yazid bin Abdullah bin Qasit ne byaan kiya , un se Ata bin Yasar ne , un se Zaid bin Sabit razi Allahu anhu ne kaha ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saamne Surah An-Najm ki tilawat ki aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne is mein sajdah nahi kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ سَجْدَةِ: {إِذَا السَّمَاءُ انْشَقَّتْ}:
Bab: Soorat Iza-s-samaa’un-shaqqat mein sajda karna.
Show diacritics
Hadith Number: 1074
حدثنا مسلم بن إبراهيم، ومعاذ بن فضالة، قالا: اخبرنا هشام، عن يحيى، عن ابي سلمة، قال:" رايت ابا هريرة رضي الله عنه قرا: إذا السماء انشقت سورة الانشقاق آية 1 فسجد بها، فقلت: يا ابا هريرة الم ارك تسجد؟ قال: لو لم ار النبي صلى الله عليه وسلم يسجد لم اسجد".
Hum se Muslim bin Ibrahim aur Muaz bin Fudalah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Hisham bin Abi Abdullah Dastawa'i ne byaan kiya , un se Yahya bin Abi Kaseer ne , un se Abu Salamah ne kaha ke main ne Abu Hurairah razi Allahu anhu ko Surah «iza as-samaa un shaqqat» parhte dekha . Aap ne is mein sajdah kiya main ne kaha ke aye Abu Hurairah! kya main ne aap ko sajdah karte huay nahi dekha hai . Aap ne kaha ke agar main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko sajdah karte na dekhta to main bhi na karta .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
12»