الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْحَجِّ
The Book of Hajj
بَابُ وُجُوبِ الْحَجِّ وَفَضْلِهِ:
Chapter. It is obligatory to perform Hajj (once in a life time) and its superiority.
Show diacritics
Hadith Number: Q1513
وقول الله: ولله على الناس حج البيت من استطاع إليه سبيلا ومن كفر فإن الله غني عن العالمين سورة آل عمران آية 97.
Aur Allah paak ne (Surah Aal-e-Imran mein) farmaya logon par farz hai ke Allah ke liye Khana-e-Kaaba ka Hajj karein jis ko wahan tak raah mil sake . Aur jo na maane (aur bawajood qudrat ke Hajj ko na jaye) to Allah saare jahan se be-niyaz hai .


Show diacritics
Hadith Number: 1513
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن سليمان بن يسار، عن عبد الله بن عباس رضي الله عنهما , قال:" كان الفضل رديف رسول الله صلى الله عليه وسلم، فجاءت امراة من خثعم فجعل الفضل ينظر إليها وتنظر إليه، وجعل النبي صلى الله عليه وسلم يصرف وجه الفضل إلى الشق الآخر، فقالت: يا رسول الله، إن فريضة الله على عباده في الحج، ادركت ابي شيخا كبيرا لا يثبت على الراحلة افاحج عنه، قال: نعم وذلك في حجة الوداع".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya , unhon ne kaha ke humein Imam Malik ne khabar di unhein Ibn Shihab ne , unhein Sulayman bin Yasaar ne , aur un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Fadhal bin Abbas (Hajjat-ul-Wada mein) Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath sawari ke peeche baithe hue thay ke qabila-e-Khath'am ki ek khoobsurat aurat aayi . Fadhal us ko dekhne lage woh bhi unhein dekh rahi thi . Lekin Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Fadhal razi Allahu anhu ka chehra baar baar doosri taraf mor dena chahte thay . Is aurat ne kaha Ya Rasool Allah! Allah ka fareezah-e-Hajj mere walid ke liye ada karna zaroori ho gaya hai . Lekin woh bahut boorhe hain oontni par baith nahi sakte . Kya main in ki taraf se Hajj (badal) kar sakti hoon ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan . Yeh Hajjat-ul-Wada ka waqia tha .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain