الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الزَّكَاة
The Book of Zakat
بَابُ صَدَقَةِ الْفِطْرِ عَلَى الْحُرِّ وَالْمَمْلُوكِ:
Chapter. Sadaqat-ul-Fitr (is compulsory) on a slave as well as on a free Muslim.
Hadith Number: Q1511
وقال الزهري في المملوكين للتجارة يزكى في التجارة ويزكى في الفطر.
Aur Zuhri ne kaha jo ghulam laundi saudagari ka maal hon to in ki salana zakat bhi di jaye gi aur in ki taraf se sadqa-e-fitr bhi ada kiya jaye .
Hadith Number: 1511
حدثنا ابو النعمان، حدثنا حماد بن زيد، حدثنا ايوب، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" فرض النبي صلى الله عليه وسلم صدقة الفطر او قال: رمضان على الذكر والانثى والحر والمملوك صاعا من تمر او صاعا من شعير، فعدل الناس به نصف صاع من بر"، فكان ابن عمر رضي الله عنهما يعطي التمر فاعوز اهل المدينة من التمر فاعطى شعيرا، فكان ابن عمر يعطي عن الصغير , والكبير حتى إن كان ليعطي عن بني، وكان ابن عمر رضي الله عنهما يعطيها الذين يقبلونها، وكانوا يعطون قبل الفطر بيوم او يومين. قال ابوعبدالله بني يعني بني نافع قال کانوا يعطون ليجمع لاللفقراء.
Hum se Abu Nu'man ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Ayub ne byaan kiya ‘ un se Nafi ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne sadqa-e-fitr ya yeh kaha ke sadqa-e-Ramzan mard , aurat , aazad aur ghulam (sab par) ek saa' khajoor ya ek saa' jau farz qarar diya tha . Phir logon ne aadha saa' gehoon is ke barabar qarar de liya . Lekin Ibn Umar razi Allahu anhuma khajoor diya karte thay . Ek martaba Madina mein khajoor ka qahet para to Aap ne jau sadqa mein nikala . Ibn Umar razi Allahu anhuma chote bare sab ki taraf se yahan tak ke mere beton ki taraf se bhi sadqa-e-fitr nikalte thay . Ibn Umar razi Allahu anhuma sadqa-e-fitr har faqeer ko jo isay qabool karta , de diya karte thay . Aur log sadqa-e-fitr ek ya do din pehle hi de diya karte thay . Imam Bukhari rahmatullah alaihi ne kaha mere beton se Nafi ke bete muraad hain . Imam Bukhari rahmatullah alaihi ne kaha woh Eid se pehle jo sadqa de dete thay to ikhatta hone ke liye na fuqara ke liye (phir woh jama kar ke fuqara mein taqseem kar diya jata) .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة