الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الزَّكَاة
The Book of Zakat
بَابٌ في الرِّكَازِ الْخُمُسُ:
Chapter. There is Khumus on Rikaz.
Show diacritics
Hadith Number: Q1499
وقال مالك وابن إدريس الركاز دفن الجاهلية في قليله وكثيره الخمس وليس المعدن بركاز , وقد قال النبي صلى الله عليه وسلم: في المعدن جبار وفي الركاز الخمس واخذ عمر بن عبد العزيز من المعادن من كل مائتين خمسة , وقال الحسن ما كان من ركاز في ارض الحرب ففيه الخمس وما كان من ارض السلم ففيه الزكاة , وإن وجدت اللقطة في ارض العدو فعرفها وإن كانت من العدو ففيها الخمس وقال بعض الناس المعدن ركاز مثل دفن الجاهلية لانه يقال اركز المعدن إذا خرج منه شيء , قيل له قد يقال لمن وهب له شيء او ربح ربحا كثيرا او كثر ثمره: اركزت ثم ناقض , وقال: لا باس ان يكتمه فلا يؤدي الخمس.
Aur Imam Malik rahmatullah alaihi aur Imam Shafi rahmatullah alaihi ne kaha rikaz jahiliyat ke zamane ka khazana hai . Is mein thora maal nikle ya bahut paanchwan hissa liya jaye ga . Aur kaan rikaz nahi hai . Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kaan ke baare mein farmaya is mein agar koi gir kar ya kaam karta hua mar jaye to is ki jaan muft gayi . Aur rikaz mein paanchwan hissa hai . Aur Umar bin Abdul Aziz khalifa kaanoon mein se chaliswan hissa liya karte thay . Do sau rupayon mein se paanch rupaiya . Aur Imam Hasan Basri rahmatullah alaihi ne kaha jo rikaz dar-ul-harb mein paye to is mein se paanchwan hissa liya jaye aur jo aman aur sulah ke mulk mein mile to is mein se zakat chaliswan hissa li jaye . Aur agar dushman ke mulk mein pari hui cheez mile to us ko puhanchwa de (shayad musalman ka maal ho) agar dushman ka maal ho to is mein se paanchwan hissa ada kare . Aur baaz logon ne kaha ma'dan bhi rikaz hai jahiliyat ke dafeena ki tarah kyunke Arab log kehte hain «arkazal-ma'danu» jab is mein se koi cheez nikle . In ka jawab yeh hai agar kisi shakhs ko koi cheez hiba ki jaye ya woh nafa kamaye ya us ke bagh mein mewa bahut nikle . To kehte hain «arkazat» (halanke yeh cheezein bil-ittifaq rikaz nahi hain) phir in logon ne apne qaul ke aap khilaf kiya . Kehte hain rikaz ka chuppa lena kuch bura nahi paanchwan hissa na de .


Show diacritics
Hadith Number: 1499
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن سعيد بن المسيب، وعن ابي سلمة بن عبد الرحمن، عن ابي هريرةرضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم , قال:" العجماء جبار , والبئر جبار والمعدن جبار وفي الركاز الخمس".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke humein Imam Malik ne khabar di ‘ unhein Ibn Shihab ne ‘ un se Saeed bin Musayyab aur Abu Salamah bin Abdul Rahman ne byaan kiya ‘ aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya jaanwar se jo nuqsan puhanche is ka kuch badla nahi aur kunwein ka bhi yahi haal hai aur kaan ka bhi yahi hukm hai aur rikaz mein se paanchwan hissa liya jaye .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain