الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجَنَائِزِ
The Book of Al-Janaiz (Funerals)
بَابُ الْمَيِّتُ يَسْمَعُ خَفْقَ النِّعَالِ:
Chapter. A dead person hears the footsteps (of the living).
Show diacritics
Hadith Number: 1338
حدثنا عياش، حدثنا عبد الاعلى، حدثنا سعيد , قال: وقال لي خليفة، حدثنا يزيد بن زريع , حدثنا سعيد، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه , عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" العبد إذا وضع في قبره , وتولي , وذهب اصحابه حتى إنه ليسمع قرع نعالهم، اتاه ملكان فاقعداه , فيقولان له: ما كنت تقول في هذا الرجل محمد صلى الله عليه وسلم؟ فيقول: اشهد انه عبد الله ورسوله، فيقال: انظر إلى مقعدك من النار ابدلك الله به مقعدا من الجنة، قال النبي صلى الله عليه وسلم: فيراهما جميعا، واما الكافر او المنافق , فيقول: لا ادري كنت اقول ما يقول الناس، فيقال: لا دريت ولا تليت، ثم يضرب بمطرقة من حديد ضربة بين اذنيه فيصيح صيحة يسمعها من يليه إلا الثقلين".
Hum se Ayash bin Waleed ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Abdul Ala ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Saeed bin Abi Arubah ne byaan kiya . (Doosri sanad) Imam Bukhari rahimahullah ne kaha ke mujh se Khaleefa bin Khayyat ne byaan kiya ‘ un se Yazid bin Zuray ne ‘ un se Saeed bin Abi Arubah ne ‘ un se Qatadah ne aur un se Anas razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke aadmi jab qabr mein rakkha jata hai aur dafan kar ke is ke log peeth mor kar rukhsat hote hain to woh un ke jooton ki awaaz sunta hai . Phir do farishte aate hain ise bithate hain aur poochte hain ke is shakhs (Muhammad salla Allahu alaihi wasallam) ke mutaliq tumhara kya aeteqad hai ? Woh jawab deta hai ke main gawahi deta hoon ke woh Allah ke bande aur us ke Rasool hain . Is jawab par is se kaha jata hai ke yeh dekh Jahannam ka apna ek thikana lekin Allah Ta'ala ne Jannat mein tere liye ek makaan is ke badle mein bana diya hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir is banda-e-momin ko Jannat aur Jahannam donon dikhayi jaati hain aur raha kafir ya munafiq to is ka jawab yeh hota hai ke mujhe maloom nahin ‘ main ne logon ko ek baat kehte suna tha wahi main bhi kehta raha . Phir is se kaha jata hai ke na tu ne kuch samjha aur na (achhe logon ki) pairwi ki . Is ke baad ise ek lohay ke hathaure se bare zor se maara jata hai aur woh itne bhayanak tareeqe se cheekhta hai ke insaan aur jinn ke siwa ardgard ki tamam makhlooq sunti hai .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain