الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجَنَائِزِ
The Book of Al-Janaiz (Funerals)
بَابُ رِثَاءِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ سَعْدَ ابْنَ خَوْلَةَ:
Chapter. The sorrow of the Prophet ﷺ for Sa’d bin Khaula.
Hadith Number: 1295
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن عامر بن سعد بن ابي وقاص عن ابيه رضي الله عنه , قال:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يعودني عام حجة الوداع من وجع اشتد بي , فقلت: إني قد بلغ بي من الوجع وانا ذو مال ولا يرثني إلا ابنة افاتصدق بثلثي مالي، قال: لا، فقلت: بالشطر، فقال: لا، ثم قال: الثلث والثلث كبير او كثير، إنك ان تذر ورثتك اغنياء خير من ان تذرهم عالة يتكففون الناس، وإنك لن تنفق نفقة تبتغي بها وجه الله إلا اجرت بها حتى ما تجعل في في امراتك، فقلت: يا رسول الله اخلف بعد اصحابي؟ , قال: إنك لن تخلف فتعمل عملا صالحا إلا ازددت به درجة ورفعة، ثم لعلك ان تخلف حتى ينتفع بك اقوام ويضر بك آخرون، اللهم امض لاصحابي هجرتهم ولا تردهم على اعقابهم"، لكن البائس سعد بن خولة يرثي له رسول الله صلى الله عليه وسلم ان مات بمكة.
Hum se Abdullah bin Yusuf Tanisi ne byaan kiya ‘ unhein Imam Malik ne khabar di . Unhein Ibn Shihab ne ‘ unhein Aamir bin Saad bin Abi Waqqas ne aur unhein un ke waalid Saad bin Abi Waqqas razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Hujjat-ul-Wida ke saal (10 hijri mein) meri iyadat ke liye tashreef laaye . Main sakht bimar tha . Main ne kaha ke mera marz shiddat ikhtiyar kar chuka hai mere paas maal o asbab bohat hai aur meri sirf ek larki hai jo waaris ho gi to kya main apne do tihayi maal ko khairat kar doon ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke nahin . Main ne kaha aadha . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya nahin . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ek tihayi kar do aur yeh bhi bari khairat hai ya bohat khairat hai agar tu apne waarisyon ko apne peeche maaldaar chhor jaye to yeh is se behtar ho ga ke muhtaji mein unhein is tarah chhor kar jaye ke woh logon ke saamne haath phelate phirein . Yeh yaad rakho ke jo kharch bhi tum Allah ki raza ki niyat se karo ge to is par bhi tumhein thawab mile ga . Hatta ke is luqma par bhi jo tum apni biwi ke munh mein rakkho . Phir main ne poocha ke ya Rasool Allah! mere sathi to mujhe chhor kar (Hujjat-ul-Wida kar ke) Makkah se ja rahe hain aur main un se peeche reh raha hoon . Is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yahan reh kar bhi agar tum koi nek amal karo ge to is se tumhare darje buland hon ge aur shayad abhi tum zinda raho ge aur bohat se logon ko (Musalmanon ko) tum se faida pahunche ga aur bohaton ko (kuffar o murtadeen ko) nuqsan . (Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne dua farmayi) Ae Allah! mere sathiyon ko hijrat par istiqlal ata farma aur un ke qadam peeche ki taraf na lauta . Lekin museebat zada Saad bin Khawlah thay aur Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne un ke Makkah mein wafat pa jaane ki wajah se izhaar-e-gham kiya tha .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة